Thursday, October 30, 2014

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT: (PART-3)





Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT: (PART-3)


Shia Musannif Majlisi Ne Toosi Se Ek Motbar Riwayat Bayaan Ki Hai, Jisme Wah Bayaan Karta Hai Ke Hz Ali (Ra) Ne Apne Saathion Se Kaha

"Main Tumhe Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Ke Baare Me Naseehat Karta Hoon Ke Unhe Gaaliyan Mat Dena, Isliye Ke Woh Tumhare Nabi (Sws) Ke Saathi Hain, Wah Unke Saathi Hain Jinhone Na Khud Deen Me Koi Nayi Cheez Daakhil Ki Aur Na Hi Kisi Bidati Ko Izzat Di,

Haan ! Mujhe Rasoollullah (Sws) Ne Unke Baare Me Ye Naseehat Ki Hai"

( HayaT Ul Quloob Al Majlisi 2/621)

Note : Majlisi Ka Poora Naam Mulla Muhammad Baqar Bin Muhammad Bin Taqi Majlisi Hai, 1035 Hijri Me Paida Hua Aur 1110 Hijri Me Faut Hua, Ahle Sunnat Ke Shadeed Tareen Dushmano Mese Hai, Mutaakhireen Shia Me Us Jaisa Bad'go, Gandi'zubaan Aur Fahash'go Koi Nahin..

Muhajireen Aur Ansaar Dono Ki Tareef Karte Hue Kahte Hain Ke

"Imam Ke Ta'een Inte'khaab Ka Akhtiyaar Unhi Ke Haanthon Me Hai, Wahi Qarn E Awwal Me Musalmano Me Hal Wa Aqad Ke Malik Samjhe Jate They, Aur Kisi Ko Ye Haq Nahin Tha Ke Unki Kisi Baat Ko Radd Karen Ya Unke Be'ghair Koi Kaam Kare Ya Unki Kisi Baat Se Muh Phere, Isliye Wahi Musalmano Me ahle Tareen Log They,

Aur Yahi Baat Mu'waiya Bin Sufiyan (Ra) Ne Ameer E Sham Ko Momineen Ki Hukumat Aur Musalmano Par Hukmarani Ke Jawab Me Likhi, Imam Wah Hain Jinhe Muhammad (Sws) Je Saathi Imam Banaaye"

Iski Zaman Me Khud Hz Ali (Ra) Hz Mu'awiya (Ra) Ka Zikr Karte Hain Aur Isse Ye Baat Saabit Karte Hain Ke Hz Mu'awiya (Ra) Imamat Ke Sabse Zyada Haqdaar They,

Ye Baat Khud Shia Hazraat Ki Kitaab Me Maujood Hai

"Majlis E Shoura Muhajir Aur Ansaar Sahaba (Ra) Par Mushtamal Hogi Wah Jis Par Mutawaffiq Ho Jaayen Aur Jise Imamat Ke Liye Naam'zad Kar Den Usi Me Allah Ki Mashiyat Aur Raza Hogi, Agar unmese (Yani Sahaba Mese) Kisi Par Kisi Qism Ki Koi Qaabil E Aitraaz Baat Ya Bidat Paayi Jaaye Toh Use Khaarij Kar Diya Jaayega, Aur Uska Maamla Allah Ke Supurd Kar Diya Jaayega"

(Nahjatul Balagha 3/7 Matbua Berut)

Hz Ali (Ra) Bin Abu Talib Aur Unke Is Qaul Ke Baare Me Shia Kya Mauqaf Akhtiyaar Karte Hain, Wah Kahte Hain

1- Majlis e Shoura Nabi (Sws) Ke Muhajir Aur Ansaar Sahaba Par Mushtamal Hogi, Aur Shia Hazraat Ke Aqeede Ke Bar'ashq Tamam Akhtiyaaraat Unhi Ke Haathon Me Honge

2- Sahaba (Ra) Ka Kisi Shakhs Par Mutawaffiq Ho Jaana Allah Ki Khushnudi Ka Sabab Hai, Aur Is Pak Wa Bartar Zaat Ki Raza Ki Alaamat Hai,

3- Unke Zamane Me Imamat Unke Intekhaab Aur Marzi Ke Be'ghair Qayem Nahin Ho Sakti Thi

Note: Isse Shia Hazraat Ka Ye Ishkaal Rafa Ho Gaya Ke Islam Me Imamat Wa Khilaafat Ta'een Wasiyat Ya Kisi Ko Naamzad Ko Dene Se Amal Me Aati Hai, Jaisa Ke Ye Hazraat Apne Masoom Aimma Ki Tardeed Karte Hue Samjhte Hain, Balke Waazeh Ho Gaya Ke Islam Me Imamat Wa Khilaafat shoura Aur Intekhaab Hi Ke Zariye Amal Me Aati Hai,

4- Koi Bhi Sahaba Ki Baat Radd Nahin Karta Aur Na Unke Huqm Se Inheraaf Karta Hai, Siwaaye Uske Jo Bidati, Baghi Aur Musalmano Ki Raah Se Hat Kar Kisi Aur Kisi Dagar Par Chal Nikla Ho

5- Sahaba Ke Mukhaalif Ko Qatal Kar Diya Jaayega Aur Iska Faisla Talwaar Karegi,

6- Isse Badhkar Ye Ke Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Aur Unse Muhabbat Karne Waale Muhajir Aur Ansaar (Ra) Jo Allah Se Raazi Ho Gaye Aur Allah Jinse Raazi Ho Gaya, Aur Unhi Ke Naqse Qadam Par Chalne Waali Hz Ali (Ra) Ki Aulaad Ki Mukhaalifat Ki Wajah Se Allah Ke Yahan Pakad Hogi,

Hz Hussain (Ra) Ke Bete Jinka Naam Hz Zainul Abideen (Rh) Hai Aur Jo Qaum Shia Ke 4th Imam Hain, Apne Waqt Me Ahle Bayt Ke Sar'baraah They,

Nabi (Sws) Ke SaathioN Ko Yaad Karte Aur Namazon Me Unke Liye Rahmat Aur Maghfiraton Ki Dua Karte Isliye Ki Unhone Tauheed Ki Daawat Aur Allah Tala Ki Makhlook Tak Allah Ka Paigham Pahunchane Me Nabi E Kareem (Sws) Ki Madad Ki,

Wah Kahte Hain

" Ya Allah ! Unke Liye Main Tujhse Teri Raza Aur Maghfirat Ki Dua Maangta Hoon, Khaas Taur Par Muhammad (Sws) Ke Un Saathion Ke Liye Jinhone Sahaba (Ra) Ke Saath Hasan Sulook Kiya, Jinhone Unki Madad Me Museebatein Jheli, Unki Nusrat Ki Aur Unka Istaqbaal Karne Ke Liye Daude, Unki Daawat Ko Qubool Karne Me Sabqat Le Gaye,

Aap (Sws) Ki Risaalat Ka Elaan Sunte Hi Use Qubool Kar Liya, Aap (Sws) Ke Paigham Ko Pahuchaane Ke Liye Apni Biwion Aur Aulaad Ko Chhod Diya, Unki Nubauuwat Ke Istehqam Ki Khatir Apne Baapon Aur Beton Ko Qatal Kar Diya,

Un (Ra) Ki Jamaat Se Talluqaat Qayem Ho Gaya Toh UnLogon Ne Apne Qabeelon Ko Chhod Diya,

Jab Aap (Sws) Ki Qaraabat Ke ZeR e Saaye Jagah Mil Gayi Toh Tamam Rishtey'darian Khatam Kar Di,

Ya Allah ! Tujhe Aur Tujhse Muhabbat Karne Waalon Ko Nahin

Chhoda, Unse Raazi Hoja Jo Tere Haq Ke Liye Ladte Rahe, Sab Kuch Unhone Tere Liye Aur Teri Khusnoodi Ki Khaatir Kiya, Unka Teri Wajah Se Apne Dyaaron Ko Chhodna Aur Apne Mu'aas Ki Wus'at Wa Faraawani Se Nikal Kar Tangi Me Mubtela Hona Qubool Kar, Unhone Teri Deen Ko Istehkaam Bakhsha, Ya Allah Tabeen Par Bhi Apni Rahmat Wa Maghfirat Nazil Farma Jo Ye Duayen Maangte Hain

Rabbana Agh'firlana wal Ikh'waninal Lazeena Sabaqoona Bil Imaan "......

Jo Bhi Ki Simat Chale, Usi Taraf Gaye, Jis Taraf Wah Gaye, Agar Wah Unhi Ke Naqase'qadam Par Chale Toh Unki Nusrat Me Koi Shak Nahin,

Wahi (Yani Sahaba) Unke Liye Minaar e Hidaayat Hain, Ye Unhi Ke Maeen Wa Madad'gaar Hain, Unki Ke Pairo Aur Unhi Ki Hidaayat Se Hidaayat Haasil Karne Waale Hain, Unse Ittefaaq Rakhte Hain Aur Sahaba (Ra) Ne Jo Un Tak Pahuchaya, Usme Un Par Koi Ilzaam Nahin Dete"

(Saheefa Kaamila Zainul Abideen Page 12 Matbua Kolkata Hind 1248 H)

Unki Aulaad Me Se Hasan Bin Ali (Rh), Jo Hasan Askari Ke Naam Se Mashoor Aur Shia Ke 11we Imam Hain, Apne Tafseer Me Kahte Hain

Moosa (As) Kaleemullah Ne Apne Rabb Se Poocha

"Kya Dusre Ambiya Ke Sahaba Aapke Nazdeek Mere Sahaba Se Zyada Izzat Waale Hain ?"

Allah Ne Farmaya-

"Aiy Moosa Kya Tu Nahin Jaanta Ke Muhammad (Sws) Ke Sahaba Ko Dusre Tamam Rasoolon Ke Sahaba Par Waho Bartari Haasil Hai Jo Muhammad (Sws) Ko Dusre Tamam Nabion Aur Rasoolon Par Hai"

(Tafseer Hasan Askari Page 65 Matbua Hind, Al Burhan 3/228, Ye Ibaarat Al Burhaan Se Li Gayi Hai,)

Iske Baad Hasan Askari Ki Tafseer Me Likha Hai

" Jo Aadmi Bhi Aal E Muhammad Aur Aap (Sws) Ke Bahtareen Sahaba (Ra) Mese Kisi Ke Saath Bhi Bughz Rakhe, Allah Usko Aisa Azaab Dega Ke Agar Use Tamam Makhlooq Par Taqseem Kar Diya Jaaye Toh Sab Ke Sab Halaaq Ho Jaayen"

( Tafseer Hasan Askari Pg 196)

Isi Tarah Bahut Saari Riwayaat Hain Ham Itni Riwayaton Par Hi Iktefa Karte Hain..

In ShaAllah Agle Post Me Shia Aur Unka Sahaba Ke Baare Me Aqeede Ke Baare Me Guftughu Karenge....

Allah Tala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Ki Taufeeq De.... Aaameeen

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks