Saturday, October 4, 2014

EK MASJID ME FARAIZ KI DUSRI JAMAT





Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:
Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Ek Masjid me Faraiz ki Dusre Jamat.

Jawab :

Ek he Masjid me Farz Namaz ki Dusre Jama'at Jaiz wa Durust hai' eske Dalill hasab Zel hai :
Hazrat Abu Saeed khudri r.a se Marwi hai' Farmate hai ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Ek Admi ko 

Akele Namaz padte hue Dekha tou Farmaya :

''keya koi Aysa Saks Nahi hai' jo Esper Sadka karte hue uske Sath Namaz Ada kare''

[Sunan Abu Daood ,kitab al Salat Hadees No-487,574, Musnad Ahmed jild-3 Safa-63,75 Hadees No-10594,11380,Sunan Al Dharmi kitab al salat Hadees No-1333,1408, Shaikh Albani r.al ne es hadees ko Sahi kaha hai]

(Abdul Rahman Mubarak puri r.al ) Es Hadees se Estedalal karte hue Masjid me Farz Namaz ki Dusre Jamat Qayam karne ko jaiz Qarar dete hai.
 

[Toufatul houzi jild-2,safa-11]

(Samas Al hak Azim Abadi r.al) Enhone v Es Hadees se ek he Masjid me Dusre Jamat k juz per Estedalal keya hai.
 

[A'un almabud Darsh Sunan Abu daood jild-1 safa-225]

Baaz Akabir ese Makruh Samjhte hai Maslan :

(Abdullah bin Masood r.a ,Imam Malik r.al,Imam Safaii r.al,Imam Abu Hanifa r.al)

jisse Masjid me ek Martaba ba-jamat Namaz Ada ki ja chuki ho' Us me Dobara Jamat karne se jayada behtar hai k Akele-Akele Namaz pad le jaye.
 

[Jamai Tirmizi jild-1 safa-30 Rakam 204, sareh al sanata jild-3 Safa-437,Alama lil safaii jild-1 safa-180]
(Albani r.al) ese k Qayal hai [Tamam al mana safa-157] unke Dalill Hasab jel hai :

1-Hazrat Abu bakra r.a se Marwi hai Farmate hai :
 

''Rasulla Sallahu Alaihe Wasallam Madina k gardnuwa se Aaye' tou Namaz padna chate the leken logo ko Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Dekha k unhone Namaz padle hai' lehaza Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Apne ghar tasreef le gaye' waha apne Ghar walo ko jama keya' Aur unke Sath Namaz pad le''

 [Tamam al manta safa-155,Majmua al jaud jild-2 safa-45, (Hasan) ]


2-Imam Alqama Aur Imam Asud r.al Hazrat Abdulla bin Masood r.a k sath Masjid me Tasreef laye ''Loog unke Taraf mutawazza hue' Aur wo Namaz Ada ker chuke the Esleye Hazrat Abdullah bin Masood r.a Apne 2no Sathio k humrah ghar ki taraf rawana ho gaye'fer waha unke Sath Namaz padle''.
 

[Musannif Abdul razzak jild-2 safa-409,3883 , Almazmua al kaber Safa-938]

(Rajeh) Masjid me Sudre Jamat (karaheyat k sath) Jaiz nahi hai'jaisa k Ibteda me bayan keya jane wala Dalail es baab me kaafi hai, Albatta Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Aur Hazrat Abdullah bin Masood r.a k Mazkura Amal ki Wajah se yahi Malum hota hai k es me kuch karaheyat jarur Mozud hai.
Mazeed Tafseer jankare k leye apne Ulma se mele.

Via- Imran Khab Salafi