Friday, October 31, 2014

SAHABA (RA) KE BAARE ME SHIA HAZRAAT KA MAUQAF : (PART- 1)






Bismillahirrahmanirraheem

SAHABA (RA) KE BAARE ME SHIA HAZRAAT KA MAUQAF : (PART- 1)


Khuda Ki Makhlooq Me Bahtareen Aur Kaaynaat Ke Aala Tareen Afraad Yani Rasoollullah (sws) Ke Saathion Ke Baare Me Ahle Bayt Ka Nuqta E Nazar Aur Mauqaf Ye Tha Jo Ham Mukhtalif Hawaalon Se Pichhle Posts Me Bayan Kar Chuke Hai,

Jahan Tak Shia Hazraat Ka Taalluq Hai Jo Ahle Bayt Ki Muhabbat Aur Pairwi Ke Daawe'daar Hain, Sahaba Kiram (Ra) Ke Baare Me Unka Nuqta E Nazar Usse Ek Dum Mukhtalif Aur Juda Hai, Shia Log Unki Mujahidaana Haal Sunkar Jalte Hain, Jinme Wah Hamesha Masroof Rahe,

Shia Log Sahaba Kiram (Ra) Ki Un Azeem Us Shaan Futuhaat Ka Zikr Sunkar Kudhte Hain Jinhone Unke Aaba Wa Ajdaad Ko Zaleel Karke Rakh Diya Tha, Unki Shaukat Wa Azmat Ko Tukde Tukde Karke Unki Jamiat Ko Paara Paara Kar Diya Tha, Unki Bastion Aur Kufr Ke Addon Ko Raud Daala Tha,

Rasoollullah (Sws) Ke Wah Saathi Jinhone Shirk Aur Shirk Karne Walon Ko Khasta Wa Kharaab Karke Rakh Diya Tha, Pattharon Ke Banaaye Gaye Un Maboodon Aur Taraashi Moortion Ko, Jinke Rubaru Ye Jhukte Aur Pooja Karte They Nest'nabood Karke Chhoda Tha, Unke Asar Wa Iqtedaar Ko Pamaal Karke Rakh Diya, Imaartein Aur Mahfooz Panaah'gahon Ko Ujaad Kar Rakh Diya

Aur Fir WahaH Allah Ki Tauheed Aur Islam Ka Lehraata Parcham Buland Kiya,

Majoosion (Fire Worshipper) Aur Yahoodion Ne Apni Jamaatein Ikatthi Ki, Mufsideen Aur Takhreeb'karon (Jasoos) Ko Saath Milaaya Ke Is Phailti Hui Roshni Ke Aage Bandh Baandhen,

Us Sailaabe Tand O Tezz Ka Raasta Roken, Sab Keena Rakhne Waalon, Hasad Karne Waalon Aur Inteqaam Ki Aag Me Jalne Waalon Ne Jama Hokar Aal e Bayt Ki Muhabbat Ka Lubaada Odh Liya,

Halaanke Aal E Bayt Se In Hazraat Ka Koi Waasta Nahin, Aur Fir Apni Kalam Aur Talwaarein Un Mujahideen Ke Khilaaf Soont Kar Khade Ho Gaye Jo Rasoollullah (Sws) Ke Dost Aur Aap (Sws) Ki Muhabbat Me Sar'shaar Aapke Mahboob Saathi They, Jinhe Aap (Sws) Ki Pairwi Wa Itteba Me Maut Bhi Azeez Thi, Jo Aap (Sws) Ke Liye Har Umdah Cheez Ko Tark Kar Dene Aur Aap (Sws) Ke Adna Ishaare Par Apni Aulaad, Maa, Baap Aur Apni Jaane Qurbaan Kar Diya Karte They,

Jo Aap (Sws) Hi Ke Naqs E Kadam Par Chalne Waale Aur Aap (Sws) Hi Ke Bataaye Hue Tareeqe Par Ghaam'zan Rahe

Rizwaanullah Alaihim Azmain

Ek Kam'bakht Shia Ne Yahan Tak Kah Diya Ke

"Sirf 4 Aadmion Ke Siwa, Nabi E Akram (Sws) Ke Baad Sab Ke Sab Murtad Ho Gaye"

(Kitab Saleem Bin Qais Al Amri Page 92 Matbua Berut)

Isi Tarah Ki Aur Bhi Bahut Si Baatein In Logon Ne Apni Kitaabon Me Likhi Hain,

Muhammad Yaqoob Kulaini Ne, Jise Shia Hazraat Ke Yahan Imam Bukhari (Rh) Jaisa Maqaam Haasil Hai, Isse Bhi Bad'tar Ek Baat Kahi Hai, Usne Likha Hai

"Nabi E Kareem (Sws) Ke Baad Sirf 3 Aadmi Miqdad Bin Aswad (ra), Abu Zar Ghifari (ra) Aur Salman Farsi (Ra) Ke Elaawah Sab Ke Sab Murtad They"

Yahi Baat Majlisi Bhi Kahta Hai Ke

"Aap (Sws) Ki Wafaat Ke Baad Sirf 3 Aadmi Bache, Abu Zarr, Miqdad Aur Salman (Ra), Baaqi Sabke Sab Halaaq Ho Gaye"

(Hayat Al Quloob Al Majlisi 2/640)
Kaash Ko In Logon Se Pooche Ke Aap (Sws) Ke Ahle Bayt Kahan Gaye ??

Ahle Bayt Mese Aap (Sws) Ke Chacha Abbas (Ra), Aap (Sws) Ke Chacha Zaad Bhai Ibn Abbas (Ra), Hz Ali (Ra) Ke Bhai Aqeel (Ra), Balke Khud Hz Ali (Ra) Aur Rasoollullah (Sws) Ke Dono Nawaase Hz Hasan Wa Hussain (Ra) Kahan Gaye ??

Kya Shiaon Ko Allah Tala Se Sharm Nahin Aati ??

Isi Par Bas Nahin, Kulaini Ne Apni Kitab Me Ek Dusre Maqaam Par Isse Bhi Zyada Shakht Ek Aur Baat Kahi Hai, Likhta Hai

"Log Ghabra Jaate Hain Jab Ham Ye Kahte Hain Ke

"Log (yani Sahaba Kiram) Murtad Ho Gaye "

Iske Baad Kahta Hai Ke

"Rasoollullah (Sws) Ki Wafaat Ke Baad Log Ahle Jaahiliyat Ki Taraf Palat Aaye, Ansaar Alag Ho Gaye (Yani Hz Abu Bakr Ra Se) Aur Kisi Acchi Baat Par Alag Nahin Hue (Yani Unka Intekhaab Haq Ke Liye Ya Baatil Ke Difa Ke Liye Nahin Tha, Balke Unhone Tassub Wa Hamiyat Ki Wajah Se Ek Baatil Ki Jagah Dusra Baatil Muntakhab Kar Liya)

Hashiya Nowes Maloon Ne Is Riwayat Ke Zaman Me Yahi Likha Hai,

"Log SaaD Ke Haath Par Bait Karne Lage, Aur Zamana Jahiliyat Ki Tarah Qaseede Padhne Lage (Bilkul Aur Saraasar Jhoot),

Aiy Saad ! Tujh Hi Se Ummeedeein Hain, Tere Baal Kanghi Kiye Hue Aur Tu Bahut Taqat'war Hai"

(Kitab Rozatul Man Al Kaafi 8/296)

Iska Matlab Ye Hua Ke Ek Bhi Baaqi Na Bacha ?? Na Abu Zarr, Na Salman Aur Na Miqdad (Ra) ??

Ek Ham Asr Shia Musannif Ne Isse Bilkul Alag Baat Kahi Hai, Baaqi Sab Hazraat E Shia Nauzu'billah Ye Daawa Karte Hain Ke Sahaba Kiram (Ra) Islam Laane Ke Baad Fir Murtad Ho Gaye Lekin Un Qeena Parwaazon Ka Ek Musannif Sirre Se Sahaba (Ra) Ke Daakhil E Islam Hone Ki Ka

Munkir Hai, Wah Hamen Jawab Dete Hue Kahta Hai Ke

"Ham (Ba'qaul Uske) Shia Hazraat Par Ye Tohmat Lagaakar Insaaf Nahin Karte Ke Shia Rasoollullah (Sws) Ke Sahaba ko Kaafir Kahte Hain,


Aur Ain Is Waqt Jab Wah Jawab Deta Hai Is Baat Ka Iqraar Wah Asbaat Bhi KarTa Hai Jo Hamne Bayan Ki

Likhta Hai, Iske Ba'wajood Main Yahi Kahunga

"Arab Us Waqt Tak Aap (Sws) Par Imaan Nahin Laaye Jab Tak Ke Dawat E Islaamiya Ne Unke Kaan Acchi Tarah Khat'khataye Nahin"

Muhammad (Sws) Ne Sab Se Pahle Unhe Islam Ki Daawat Di, Pas Wahi Imaan Laaya, Jo Imaan Laaya Unmese Kuch Peeche Hat Gaye Aur Islam Ki Daawat Qubool Na Ki, Aise Bhi They Jinhone Bahut Der Kar Di, Kuch Aise Bhi They Jo Islam Me Daakhil Hue Lekin Andar Se Munaafiq They, Baaz Aise Log Bhi Daakhil Hue Jinme Darr Aur Khauff Ki Wajah Se Zameen Tang Ho Chuki Thi, Aur Kisi Ne Bhi Islam Aqali Taur Par Qubool Nahin Kiya, Sirf Ek Sakhsiyat Thi Jisne Apni Marzi Aur Baseerat Se Islam Qubool Kiya, Jo Apne Shahar Se Haq Ki Talab Me Nikla Khatraat Wa Masaib Se Do'chaar Hua Aur Bila'aakhir Muhammad (Sws) Ke Paas Aaya Aur Aap (Sws) Par Imaan Le Aaya (Yani Hz Salman Farsi )

(Kitab Shia Was Sunnah Fil Meezaan Pg 20-21, Ye KitaB Berut Se Shaye Hui Hai, Ye Kisi Ghair Maroof Shia Musannif Ne Likhi Hai Jo Allama Ehsaan Ilaahi Zaheer (Rh) Ki Kitab Ash Shia Was Sunnah Ke Jawab Me Likhi Gayi Hai)

Isi Tarah Ki Aur Bahut Si Khuraa'faat Unki Kitaabon Me Paayi Jaati Hain,

Hamne Khud Unki Apni Kitaabon Se Kai Hawaale Naqal Karke Aapko Dikhaaya Hai Ke Sahaba Kiram (Ra) Ke Baare Me Hazraat E Shia Ka Tasawwur Aur Nuqta E Nazar Kiya Hai,

Picchle Posts Me Ham Ye Bhi Bata Chuke Hain Ke Ahle Bayt Sahaba (Ra) Ko Kis Nazar Se Dekhte They..

To Be Continued.....


#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks