Saturday, November 1, 2014

SHIA AUR KHULEFA E RASHIDEEN KI KHILAAFAT KA AITRAAF:





Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR KHULEFA E RASHIDEEN KI KHILAAFAT KA AITRAAF:


Shia Kutub Me Hz Ali (Ra) Aur Shia Ke Deegar Imamon Ki Taraf Se Khilaafat E Siddeeq Wa Farookh Aur Dhul Nurain (Ra) Ka Aitraf Mazkoor Hai,

Hz Ali (Ra), Hz Abu Bakr (Ra) Ke Mutaalliq Farmaate Hain

"Unhone Kaji Ko Seedha Kiya (Yani Jitne Fitno Ne Bhi Sar Uthaaya Unka Istehsaal Kiya), Aur Badi Kaamyaab Siyaasat Ki, Sunnat Ko Zinda Rakha Aur Deen Ke Khilaaf Shajishon Ki Sar'kobi Ki, Wah Duniya Se Paak Saaf Hokar Gaye, Unhone Khair Ko Haasil Kiya Aur Sharr Se Mahfooz Rahe Aur Allah Ki Ita'at Aur Taqwa Ka Haq Ada Kiya"

(Nahjatul Balagha Page 350)

Isi Tarah Jab Hz Umar Bin Khattab (Ra) Ne Hz Ali (Ra) Se Roomiyon Ke Saath Jihaad Me Apni Shirkat Ke Mutaalliq Mashwarah Kiya Toh Hz Ali (Ra) Ne Jawaab Diya

"Aap Khud Tashreef Na Le Jaayen Balke Kisi Tajurbeh'kar Shakhs Ki Sipaah'salari Me Lashkar Rawaana Kar Den, Agar Allah Ne Ghalba Ata Farmaya Toh Yahi Aapki Khwaahish Hai, Agar Khuda Na'khwaasta Shikasht Ho Gayi Toh Aapka Wajood Musalmano Ke Liye HausLe Ka Ba'as Hoga,

Aapki Adam Maujudagi Me Koi Aisi Shakhsiyat Nazar Nahin Aati Jo Musalmano Ke Liye Mar'ja Ki Haisiyat Rakhti Ho "

(Nahjatul Balagha Page 192 Matbua Berut)

Isse Bhi Zyada Wazaahat Nahjatul Balagha Ki Is Ibaarat Me Hain

Hz Ali (Ra) Ne Hz Umar (Ra) Se Farmaya

"Musalmano Ki Fatah Wa Nusrat Qillat Wa Kasrat Me Nahin, Balke Ye Allah Ka Waada Hai Ke Deen E Islam Ko Ghalba Ata Farmaayega Aur Allah Ka Ye Waada Poora Hokar Rahega,

Aap Khud Tashreef Na Le Jayen Kyonki Aapki Haisiyat Haar (Necklace) Ke Us Dhaage Jaisi Hai Jisme Motion Ko Pur Diya Jaata Hai, Agar Dhaga Toot Jaaye Toh Moti Bikhar Jaate Hain,

Musalmano Ki Tadad Agarche Kam Hai Magar Unhe Imaan Ki Quwwat Hi Kaafi Hai,

Aap Chakki Ka Qatab Hain Jiske Gird Chakki Ghoomti Hai, Aap Qayem Rahenge Toh Chakki Ghoomti Rahegi, Agar Aap Maidaan E Jung Me Shirkar Ke Liye Chale Gaye, Toh Dushman Ye Soch Sakta Hai Ke Ye Musalmano Ki Buniyaad Aur Markaz Hain, Unhe Khatam Kar Diya Jaaye Toh Musalmano Ko Aasaani Se Shikast Di Ja Sakti Hai,

Aur Wah Ye Soch Kar Aap Par Poori Shiddat Se Hamla'war Honge,

Isliye Mera Mashwara Hai Ke Aapka Madeena Me Rahna Maidaan E Jung Me Jaane Se Bahtar Hai "

(Nahjatul Balagha Page 203-204 Matbua Berut)

Isi Tarah Aap (Ra) Ne Ameerul Momineen Hz Usman (Ra) Ko Farmaya

"Logon Ne Mere Aur Aapke Darmiyaan Ikhtelaaf Wa Nafrat Paida Karne Ki Koshish Ki Hai, Unhone Aapke Khilaaf Mukhtalif Shikaayatein Ki Hain, Magar Main Aapse Kah Sakta Hoon, Jo Ham Jaante Hain Wah Aap Bhi Jaante Hain, Hamare Paas Koi Aisi Imtiyaazi Cheez Nahin Hai Jisse Aapko Ba'khabar Karne Ki Zaroorat Ho,

Jo Kuch Hamne Suna Wah Aapne Bhi Suna, Jo Hamne Dekha Wah Aapne Bhi Dekha,

Jis Tarah Ham Rasoollullah (Sws) Ke Sahaba Hain Usi Tarah Aap Bhi,

Ek Lihaaz Se Aapko Abu Bakr Wa Umar (Ra) Se Bhi Zyada Fazeelat Haasil Hai Aur Wah Ye Ke Aapko Rasoollullah (Sws) Ke Damaad Hone Ka Sharf Haasil Hai, Jabke Un Dono Ko Ye Sharf Haasil Nahin Ho Saka"

(Nahjatul Balagha Page 234)

Hz Ali (Ra) Khulefa E Salaasa KI Khilaafat Ka Iqraar Wa Aitraaf Karte Hue Ameer Mu'awiya (Ra) Ke Khat Ke Jawab Me Farmaate Hain

"Yani Meri Bayyat Un Logon Ne Ki Hai Jinhone Abu Bakr, Umar (Ra) Ki Bayt Ki Thi.........Shoura Ka Haq Muhajireen Wa Ansaar Ko Haasil Hai, Agar Wah Kisi Shakhs Ko Apna Imam Wa Sar'baraah Bana Len Toh Usi Me Allah Ki Raza Hai, Aur Gar Koi Muhajireen Wa Ansaar Ke Banaaye Hue Us Imam Ko Imaamat Ko Tasleem Nahin Karta, Use Majboor Kiya Jaayega Aur Agar Wah Inkaar Kare Toh Usse Jung Ki Jaayegi Kyunki Wah Musalmano Ka Rasta Chhod'kar Elahdegi Ka Rasta Akhtiyar Karna Aur Inteshar Failana Chahta Hai"

(Nahjatul Balagha Pg 366)

Ye Nas Is Qadr Waazeh Hai Ke Agar Is Par Zara Sa Bhi Ghaur Kar Kiya Jaaye Toh Khilaafat Ka Masla Hal Ho Sakta Hai,

Is Nas Me Hazrat Ali (Ra) Ne Wazaahat Ki Hai Ke Khilaafat Wa Imaamat Ka In'eqaat Nas Wa Ta'een (Nomination) Ke Zariye Nahin Balke Intekhaab Se Hota Hai, Aur Ye Akhtiyaat Muhajireen Wa Ansaar Ko Haasil Hai,

Wah Jise Musalmano Ka Khalifa Muntakhab Karen len Uski Bayyat Zaroori Hai,

Jab Ke Shia Deen Me Kisi Ko Khaleefa Wa Imaam Banaane Ka Akhtiyaar Bando Ke Paas Nahin Balke Allah Taala Ke Paas Hai,

Chunanche Shia Ke Nazdeek Khilaafat Wa Imaamat Hz Ali (Ra) Ka Haq Is Liye Tha Ke Allah Taala Ne Nas Ke Zariye Aap Ko Musalmano Ka Khaleefa Banaaya Tha Magar Hz Ali (Ra) Ka Ye Irshaad Mauqaf Ki Waazeh Tardeed Karta Hai

Shia Mufassireen Ali Bin Ibraheem Qaimi Likhta Hai

Ek Din Rasoollullah (Sws) Ne Hafsa (Aapki sws Ki Biwi) Se Kaha

"Mere Baad Abu Bakr Khaleefa Honge Aur Unke Baad Tere Waalid

(Yani Hz Umar)"

Hz Hafsa (Ra) Ne Kaha


"Aapko Kaise Malum Hua ??"

Farmaya:-"Mujhe Allah Ne Batlaaya Hai "

(Tafseer Qaimi 2/376, Surah Tahreem Matbua Maktaba Najaf)

Isi Tarah Nahjatul Balagha Ki Ek Aur Waazeh Ibaarat Hai Jisse Saabit Hota Hai Ke Hz Ali (Ra) Khilaafat Wa Imaamat Ko Mansoos Nahin Samjhte They,

Chunanche Hz Usman (Ra) Ki Shahadat Ke Baad Jab Aapko Khaleefa Banne Ki Pesh'kash Ki Gayi Toh Aapne Farmaya

"Mujhe Khaleefa Wa Imam Banaane Aur Meri Bayyat Karne Ki Bajaaye Kisi Aur Ko Talaash Karo... Jisko Tum Khaleefa Banaoge Main Uski Ita'at Tumse Bhi Zyada Karunga, Tumhare Liye Khaleefa Banne Ki Ba'nisbat Mera Wazeer Banna Bahtar Hai"

(Nahjatul Balagha Page 136)

Isse Sabit Hota Hai Ke Aapki Khilaafat Mansoos Man Allah Nahin, Jaisa Ke Shia Qaum Ka Aqeeda Hai Warna Aap Radd Na Karte Kyunki Shia Deen Me Khilaafat Nubuwwat Ki Tarah Hai Toh Jis Tarah Nubuwwat Radd Nahin Ho Sakti, Khilaafat Wa Imamat Bhi Radd Nahin Ho Sakti,

Is Nas Se Ye Bhi Saabit Hota Hai Ke Hz Ali (Ra) Us Waqt Tak Khaleefa Nahin They, Kyonke Aapka Irshaad Hai

" Jisko Tum Khaleefa Banaoge Main Uski Ita'at Karunga"

Agar Khilaafat Aapki Sharai Haq Hoti Toh Aap Ye Na Farmate

"Jisko Tum Khaleefa Banaoge"

Balke Farmate

"Allah Ne Mujhe Musalmano Ka Khaleefa Wa Imam Banaya Hai Tum Par Meri Ita'at Farz Hai"

Nez

"Khaleefa Banne Ki Ba'nisbat Mera Wazeer Banna Bahtar Hai"

Ye Alfaaz Bhi Is Baat Par Dalaalat Karte Hain Ke Aap (Ra) Shahadat E Usman (Ra) Ke Waqt Tak Khaleefa Na They,

Saabit Hua Ke In'eqaat E Khilaafat Ka Inhesaar Ahl Hal Wa Aqad Par Hai....

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks