Saturday, November 15, 2014

BAATIL TAREEQE SE LOGON KA MAAL KHAANE KI HURMAT: (HARAM ZARIYA E AAMDANI KA BAYAN)





Bismillahirrahmanirraheem

BAATIL TAREEQE SE LOGON KA MAAL KHAANE KI HURMAT: (HARAM ZARIYA E AAMDANI KA BAYAN)


1- Allah Tala Ka Irshad Hai

"Aapas Me Ek Dusre Ka Maal Baatil Tareeqe Se Na Khao"

(Surah Baqarah 188)

2- "Aiy Imaan Walon ! Aapas Me Ek Dusre Ke Maal Baatil Tareeqe Se Na Khao, Len-Den Aapas Ki Raza'mandi Se Hona Chahiye"

(Surah Nisa 29)

HARAM TIJAARAT KE CHAND BUNIYAADI USOOL:

Kitab Wa Sunnat Ke Dalail Aur Ulema Wa Fuqaha Ke Aqwaal Wa Fatawa Ko Pesh E Nazar Rakhte Hue Haram Tijaarat Ke Darj'zel Usool Muqarra Kiye Gaye Hain

1- Har Najas Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Kyonki Uska Khaana Haram Hai Jaise Suwar Ka Ghost Etc)

2- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Jaise Murdaar Wa Khoon Etc)

3- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jiski Adaayegi Ki Taaqat Na Ho (Jaise Bhaaga Hua Ghulam Etc)

4- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Bay'ee Aur Mush'tari (Seller Aur Buyer) Ke Nuksaan Par Mush'tamil Ho (Jaise Expiry Dawa Etc)

5- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Dhoka Ho Wah Haram Hai (Jaise Paani Me Machhli Ka Sauda Etc)

6- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Bhi Fariqain Ki Raza'mandi Na Ho, Wah Haram Hai (Jaise Zabardasti Kuch Bikwaana)

7- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Bhi Qaabil Farokht Cheez Ya Qeemat Majhool Ho Haram Hai (Jaise Hamila Ke Hamal Ka Sauda Karna)

8- Har Us Tareeqe Se Tijaarat Haram Hai Jisse Shariat Ne Mana Kiya Hai (Jaise Mahaz Haath Lagakar Sauda Karna)

9- Har Haram Zariye Se Tijaarat Haram Hai (Jaise Zinakari Ke Zariye Maal Kamaana)

10- Har Wah Tijaarat Jo Jue (Speculation) Par Mush'tamil Ho Wah Haram Hai (Jaise Lottery Etc)

11- Har Wah Tijaarat Jo Jumah Ki Azaan Hone Ke Baad Ki Jaaye Wah Haram Hai (Jaise Azaan E Juma Ke Baad Masjid Ke Baahir, Topiyan, Kitaabein, Perfume Aur Miswaak Etc Farokht Karna Ya Apne Karobaar Jaari Rakhna)

12- Jin Ashya Ki Tijaarat Se Shar'an Roka Gaya Hai Unki Tijaarat Haram Hai (Jaise Kutta Billi Etc)

13- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Qabza Me Na Ho (Jaise Ek Hi Jagah Padi Hui Cheez Ko Aage Se Bechte Jaana)

14- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Jo Gunaah Ka Zariya Ho (Jaise Buzurgaane Deen Ki Murtiyan Aur Tasweer Jo Shirk Ka Zariya Hai)

15- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Milkiyat Me Na Ho (Jaise Bayanah Par Aage Ghar Farokht Kar Dena Etc)

16- Har Nasha'war Cheez Ki Farokht Haram Hai (Jaise Smack Aur Drugs)

17- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jisme Kisi Bhi Tarah Ka Sood Ka Dakhal Ho (Jaise 10rs Ke Badle 9 Rs Lena Etc)

Note: Kuch Ulema Ne In Tamam Usoolon Ko Darj'zel 2 Usoolon Me Jama Karne Ki Koshish Ki Hai

1- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Kaise Murdaar, Suwar, But Aur Tamam Najasatein Etc)

2- Har Sood Par Mush'tamal Tijaarat Haram Hai (Jaise 1Rs Ke Badle 2Rs Khareedna Etc)

3- Har Dhoke Par Mush'tamal Tijaarat Haram Hai (Jaise Hawa Me Parinde, Pani Me Machhli, Aur Tamam Majhool Ashya Ki Tijaarat Etc)

Note: Aur Kuch Ulema Ne Haram Tijaarat Ke Sirf 2 Usool Ho Zikr Farmaaye Hain

1- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai

2- Har Haram Zariye Se Tijaarat Haram Hai,

Mukhtasar Lafzon Me Khilaaf E Sharai Har Karobaar, Tijaarat Aur Khareed Farokht Haram Hai,

Beher'haal Haram Karobaar Ko Samjhne Ke Liye Har Darj'zel 4 Point Pesh E Nazar Rakh Sakte Hain

1- Jin Ashya Ki Tijaarat Haram Hai

2-Tijaarat Ki Chand Na'jayez Sooratein

3- Soodi Tijaarat Aur Len Den

4- Chand Deegar Haram Zariya E Aamdani,

InShaAllah Agle Posts Me Inhi Points Par Guftughu Hogi....