Thursday, November 27, 2014

WITR - FARZ YA WAAJIB NAHIN BALKE SUNNAT HAI: (MUQALLIDEEN KE SHUBUHAAT KA JAWAAB): PART- 2

Bismillahirrahmanirraheem

WITR - FARZ YA WAAJIB NAHIN BALKE SUNNAT HAI: (MUQALLIDEEN KE SHUBUHAAT KA JAWAAB): PART- 2


WITR KE WAAJIB HONE KE HANAFI DALAIL AUR UNKA JAYEZA:

1- Hz Bareedah (Ra) Farmate Hain Ke Maine Nabi E Akram Sallalaho aLaihi Wasallam Ko Farmate Suna Ke Farmaate They

"Witr Haq (Wajib) Hain, Jisne Witr Na Padhi Wah Ham Mese Nahin, Witr Haq (Wajib) Hain, Jisne Witr Nahin Padi Wah Ham Mese Nahin, Witr Haq (Wajib) Hai, Jisne Witr Nahin Padhi Wah Ham Mese Nahin"

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 544 Author Maulana Anwar Sahab Deobandi)

JAWAB:

1- Lafz Haq, Ba'mayena Waajib Nahin Balke Ba'mayena Saabit Hai,

Kyonke Yahi Lafz Bolkar Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne 1,3,5, Aur 7 Witr Padhne Ki Ijaazat Di Hai,

2- Is Hadith Ki Sanad Me Obaidullah Abu Muneeb Raawi Hai,

Imam Bukhari Farmate Hain Ke Uske Paas Munakeer Hain

(Tahzeeb 7/67)

Allama Zahbi, Ibn Jawzi, Allama Nawawi,

Aur Allama Albani Ne Is Hadith Ko Zaeff Qarar Diya Hai

(Arwa Ul Ghaleel Page 146, Badrul Muneer 4/348)

2- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) nabi E Akram Sallalahi Alaihi Wasallam Se Riwayat Karte Hain Ke Aapne Farmaya

"Apni Raat Ki aakhiri Namaz Ko Witr Banaao"

(Bukhari Jild 1 Page 136, Muslim Jild 1 Page 257)

3- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Subah Hone Se Pahle Pahle Witr Padh Liya Karo"

(Muslim 1/257)

4- Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Subah Hone Se Pahle Witr Padh Liya Karo"

(Muslim 1/258)

5- Hz Jabir (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"JAISE Ye Andesha Ho Ke Wah Raat Ke Aakhiri Hissa Me Na Uth Sakega Toh Use Chahiye Ke Wah Shuru Raat Hi Me Witr Padh Le aur Jaise Ye Ummeed Ho Ke Wah Raat Ke Aakhiri Hissa Me Uth Jaayega Toh Use Chahiye Ke Raat Ke Aakhiri Hissa Me Witr Padhe, Kyonke Raat Ke Aakhiri Hissa Ki Namaz FarIshton Ke Haazir Hone Ka Waqt Hai, Aur Ye Afzal Hai

(Sahih Muslim 1/258)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 544-545)

Deobandi Aalim Maulana Anwar Sahab In Hadithon Ko Apni Kitab Me Likhne Ke Baad, Wajah Istadalal Me Farmate Hain Ke

"Aapne Sahaba Kiram (ra) Ko Witr Padhne Ka Huqm Diya Hai, Aur Ye Kanoon Hai Ke Amr Wajoob Ke Liye Hota Hai, Jab Tak Ke Dusre Maane Muraad Lene Ka Qareena Na Ho"

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 551)

JAWAB:

1- Anwar Sahab Aapne Apni Aadat Ke Mutaabik Yahan Dandi Maari Hai, Kyonke Amr Nafs Witr Ke Mutaalliq Nahin Balke Raat Ke Aakhiri Hissa Me Aur Namaz Tahajjud Ke Aakhir Me Padhne Ke Mutaalliq Hai,

Chunanche Hadith Ke Raawi Sayyedena Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Farmate Hain

Imam Nafe Se Riwayat Hai Ke Sayyedena Abdullah Bin Umar (Ra) Farmate Hain Ke

"Jo Shakhs Raat Ki Namaz (Tahajjud) Padhe Toh Wah Witr Ko Namaz Ke Aakhir Me Padhe Rasoollulah (Sws) Yahi Huqm Diya Karte They"

(Muslim Kitab Us Salaat ul Musaafireen Hadith No. 1754)

Rawi Hadith Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Ki Is Wazaahat Se Saabit Hua Ke Amr Nafs Witr Ke Mutaalliq Nahin Balke Uske Waqt Ke Baare Me Hai,

Maulana Shabbir Ahmad Usmani Farmate Hain Ke

"Namaz E Tahajjud Padhne Waale Ko Ye Huqm Hai Ke Wah Namaz Ke Aakhir Me Witr Padhe"

(Fatah Maham 2/313)

Yahi Wajah Hai Ke Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Nakz Witr Ke Qayel They, Yani Agar Raat Ko Namaz E Isha Ke Waqt Agar Witr Padh Liye Jaayen Aur Fir Subah Ke Waqt Tahajjud Ke Waqt Utha Jaaye Toh Unke Nazdeek Dobara Witr Ada Kiye Jaaayen

(Musnad Ahmad Ba'hawala Majmua Al Zawaid 2/246, Musannif Abdurrazzaq 3/29)

Is Tafseel Se Saabit Hua Ke Amr La Lafz Witr Padhne Ke Mutaalliq Nahin Balke Waqt Witr Ke Baare Me Hai,

Lekin Anwar Sahab Apne Taqleedi Mauqaf Ko Saabit karne Ke Liye Hadith E Nabawi Me Manawi Tahreef Karte Hue Zara Bhi Haya (Sharm) nahin Karte

2- Mulla Ali Qari Ne (Mirqaat 3/164), Allama Sindhi Ne (Hashiya Sunan Nisai Page 347) Me, Maulana Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Ne (Ash'atul A'aat 1/570) Me,

Shah Anwar Sahab Kashmiri Ne (Arful Shazi Ala Tirmizi 1/220) Me, Maulana Khaleel Ahmad Saharan'puri Ne (Bazal al Majhood Page 2/232) Me,

Maulana Muhammad Yousuf Banori Ne (Mu'arifus Sunan 4/127) Me, Maulana Taqi Usmani Ne (Dars E Tirmizi 2/240) Me, Akaabireen E Ahnaaf Ne Saraahat Ki Hai Ke

"Amr Wajoob Par Nahin Balke Istehbab Par Mahmool Hai"

3- WajooB Ke Maane Par Kaunsa Qareena Hai, Iski Ba'hawala Saraahat Karen,

Muhtaram Aapke Paas Sirf Amr Ka Lafz Hai Aur Usse Aap Dawa Wajoob Karte Hain,

Dar'asal Aap Quran Wa Sunnat Ke Pairo'kaar Nahin Balke Muqallid Aama Hain, Jaise Aapke Bade Ne Kaha Waise Aapne

Maan Liya,

Warna Amr Ka Lafz Toh Aur Bhi Mutaaddid Maqamaat Par Hai, Magar Aap Use Waajib Nahin Kahte, Chand Misaalen Pesh E Khidmat Hai Mulaheza Karen


1- NabI E Akram (Sws) Ne Daayen Haath Se Wuzu Karne Ka Huqm Diya Hai

(Musnad Ahmad 2/354, Abu Dawood Hadith No 414r, Ibn Majah Hadith No 406)

Is Huqm Ke Ba'wajood Hanafi Wajib Toh Kya Sunnat Bhi Nahin Maante Aur Daayen Taraf Se Shuru Karne Ko Mustahab Kahte Hain

(Sharah Wiqaya 1/9, Hidaya 1/2, Wa'ala Sunan 1/118)

2- Insaan Aurat Se Ham'bistari Kare Aur Mukarrar Karne Ka Irada Kare Toh Nabi (Sws) Ne Dobara Wuzu Karne Ka Huqm Diya Hai

(Muslim Kitab Ul Haiz Hadith No. 707)

Magar Hanafi Iske WajooB Ke Munkir Hain Aur Isko Istehbab Par Mahmool Karte Hain

(Fatah Al Maham 1/465)

3- Mayyit Ko Ghusl Dene Wale Ko Nabi (Sws) Ne Ghusl Karne Ka Huqm Diya Hai

(Abu Dawood Kitab Ul Janaiz 3161 Wa Musnad Ahmad 2/433, Baiheqi 1/303)

Magar Hanafi Is Huqm Se Wajoob Tasleem Nahin Karte

(Raddul Mukhtar Mai Fatawa Shami 1/170, Dars Tirmizi 3/278)..

Is Tarah Ke Bahut Si Hadith Hain Jinke Hanafi Munkir Hain..

2- Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Jo Shakhs Witr Padhe Be'ghair So Jaaye Ya Padhna Bhool Jaaye Use Chahiye Ke Wah Subah Uth Kar Ya Jab Yaad Aaye Witr Padh Le"

(Mustadark Hakim 1/302, Dare Kutni 2/22)

Anwar Sahab Aage Wajah Istadlal Me Farmate Hain

"Witr Rah Jaane Ki Soorat Me Qaza Karne Ka Huqm Diya Hai, Isse Malum Hota Hai Ke Witr Wajib Hain, Kyonke Qaza Farz Ya Wajib Hi Ki Ki Jaati Hai"

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 552)

JAWAB:

1-Muhtaram Pahle Aap Quran Wa Hadith Se Ye Saabit Karen Ke Qaza Sirf Farz Aur Waajib Ki Hoti Hai, yE Mahaz Aapka Qayaas Faasid Aur Nazariyah Baatil Hai, Aur Is Par Quran Wa Hadith Ki Koi Daleel Maujood Nahin, Ham Apne Deen Wa Imaan Ki Muhkami Ki Bina Par Poore Yaqeen Ke Saath Ye Baat Karte Hain Ke Qaza Se Wajoob Saabit Nahin Hota,

2- Sunan Rawatib Ki Qaza Ka Nabi E Akram (Sws) Ne Hukm Bhi Diya Hai Aur Khud Bhi Qaza Padhi Hai,

Aap (Sws) Ka Irshad hai Ke Jis Shakhs Ne Sunan Fajr Na Padhi Ho Wah Tule E Aftaab Ke Baad Padh Le

(Tirmzi Hadith 423)

Aur Ek Hadith Me Hai Ke Jiski Sunan Fajr Rah Jaaye Hatta Ke Sooraj Tulu Ho Jaaye Toh Wah Aftaab Tulu Hone Ke Baad Padh Le

(Baiheqi 2/484, Dare Kutni 1/383)...

3- Hz Ash'as Bin Qais (Ra) Farmate Hain Ke Main Hz Umar (ra) Ke Ghar Ek Dafa Mahmaan Bana, Aap Raat Ke Kisi Hisse Me Uthe, Biwi Ko Bulaa Kar Saranjish Ki, Fir Mujhe Awaaz Ki Ke

Aiy Ash'as, Maine Arz Kiya, Main Haazir Hoon,

Faramaya:- "Meri Jaanib Se 3 Baatein Yaad Rakho Ye Maine Rasoollullah (Sws) Se (Sunkar) Yaad Rakhi Thi

1- Kisi Se Ye Na Poocho Ke Wah Apni Biwi Ko Kyon Maar Raha Hai,

2- Aur Kisi Se Ye Na Poocho Ke Use Apne Doston Me Se Kis Par Aitmaad Hai, Aur Kis Par Nahin,

3- Witr Padhe Be'ghair Na So "

(Mustadark Hakim 1/175)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 547)

JAWAB:

1- Muhtaram Ne Ye Wazahat Nahin Ki Ke Is Hadith Se Wajoob Witr Ka Masla Kaise Saabit Hota Hai, Agar Anwar Sahab Is Hadith Se Wajoob Witr Saabit Karte Hain Ke Nabi Akram (Sws) Ne Sone Se Pahle Witr Padhne Ki Naseehat Ki Hai Toh Usse Wajoob Witr Saabit Nahin Hota, Balke Hanafiya Ke Istadlal Ke Mawafiq Raat Ko Witr Padh Kar Sone Ka Wajoob Saabit Hota Hai,

Lekin Ye unke Bhi Mawafiq Nahin, Kyonke Unke Nazdeek Bki Aakhiri Raat Me Witr Padhna Mustahab Hai

(Fatawa Alam Giri 1/111)

2- Is Hadith Ki Sanad Me Abdur Rahman Al Musli Rawi Hai, Ise Azdi Ne Za'afa Me Shumar Karte Hue Kaha Hai Ke

"feyah Nazar Isme Kalaam Hai"

(Tahzeeb 6/272)

Iske Elawa Uski Kisi Se Tauseeq Manqool Nahin, Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ne Taqreeb Me Use Maqbool Qarar Diya Hai,

Yani Mutabe'at Ki Soorat Me Warna Lain ul Hadith Hai,

Khulasa Kalaam Ye Hai Ke Ye Hadith Zaeef Hai,

3- Is Ki Sanad Me Aztaraab Hai, Baaz Rawion Ne An Abdullah, An abdullah Bin Abdurrahman Al Musli Kah Kar Naqal Kiya Hai

(Baiheqi 7/305)

Jabke Baaz Ne An Dawood Bin Abdullah Kah Kar Naqal Kiya Hai

(Musnad Ahmad 1/20, Musnad Tyalaisi Page 10, Mustadarak Hakim 4/175)

Al'gharz Ye Azataraab Hai, Jisko Door Karne Ka Koi Qareena Maujood Nahin..

4- Amr Se Wajoob Saabit Nahin Hota, Tafseel Pahle Arz Kar Di GayI Hai, Iske Elawa Amr Nafs Witr Ke Mutaalliq Nahin Balke Witr Padhne Ke Waqt Ke Bare Me Hai

4- Is Hadith Ke Bar'ashk Hz Umar (ra) Ka Amal Wah Ye Tha Ke Ap Hamesha Witr Hamesha Aakhiri Raat Me Padha Karte They

(Abu Dawood Kitab Ul Witr Hadith 1434)

4- Hz Khaarja Bin Khuzafa Adwi (Ra) Farmate Hain Ke Rasoollullah (Sws) Hamare Paas Tashreeef Laaye Aur Farmaya

"Be'shaq Allah Tala Ne Tumhari Madad Ki Hai, Ya Tumhare Liye Ek Namaz Zayad Ki Hai, Jo Tumhare

Liye Surkh Oonton Se Bhi Bahtar Hai, Wah Namaz Witr Hai, Ise Allah Tala Ne Tumhare Liye Isha Se Lekar Subah Saadik Tak Muqarrar Kiya Hai

(Abu Dawood 1/201, Tirmizi 1/103, Mustadrak Hakim 1/36)


(Hadith Aur Ahle Hadith Page 547)

JAWAB:

1-"Amad Kam" Ka Mana Waajib Nahin, Kyonki Zayad Yahan Jins Me Nahin Balke Ghair Jins Me Hai, Jaisa Ke Hadith Me Aata Hai Ke

Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Bayan Karte Hain Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya Ke

"Be'shaq Allah Tala Ne Tumhare Liye Namaz Se Dusri Namaz Tak Ek Namaz zayad Ki Hai, Jo Tumhare Liye Surkh Oonton Se Zyada Bahtar Hai, Aagaah Raho Wah Namaz Fajr Se Pahle Ki 2 Rakat Hain"

(Baiheqi 2/469)

Ye Riwayat Sanad Sahih Hai Jaisa Ke Imam Hakim Wagerah Ne Saraahat Ki Hai

(Nasburraya 1/112)

Is Hadith Me Ghaur Karen Ke Ye Unhi Alfaaz Me Marwi Hai, Farq Sirf Itna Hai Ke Anwar Sahab Ki Pesh Kardah Hadith Me Witr Ka Lafz Hai Jabke Is Me "Rakat Qabl Fajr" Ke Alfaz Hain,

Agar Anwar Sahab Ke Qayede Ko Tasleem Kar Liya Jaaye Toh Subah Ki Sunnatein bhi Waajib Qarar Paati Hain

3- Is Hadith Se Saabit Hua Ke Witr Sirf Tulu Fajr Tak Hi Insaan Padhne Ka Majaaz Hai, Kyonke "Ala Tulu Al Fajr" Kah Kar Tahdeed Kar Di Gayi Hai,

Magar Hanafiya Ke Nazdek Uske Baad Bhi Jayez Hai

(Fatawa Alam Giri 1/111)

4- Ye Riwayat Zaeef Hai Usme Ek Raawi Abdullah Bin Rashid Zauqi Majhool Hai

(Meezaan 2/420)

Uski Ibn Habban Ke Elawa Aur Kisi Ne Tauseeq Nahin Ki, Jabke Ibn Habban Raawion Ki Tauseeq Karne Me Mutsa'hal Hain, Iske Elawa Khud Ibn Habban Farmate Hain Ke

" is Khabar Ki Sanad Me Andhera Hai, Baaz Raawion Ka Baaz Se Sama Maalum Nahin"

(Kitab Al Ash'qaat 3/111)

Iske Elawa Iski Sanad Me Inqa'ta Hai Jaisa Ke Imam Bukhari Ne Saraahat Ki Hai

(Ibn Adi 3/930)

Ibn HabBan Bhi Kahte Hain Ke Iski Sanad Me Inqa'ta Hai Aur Matan Baatil Hai

(Talkhees Al Habeer 2/16)

Algharz Ye Riwaayat Zaeff Hai...

Iski Tarah Ki Aur Bhi Ahaadith HaiN Jo Anwar Sahab Ne Apni Kitab Hadith Aur Ahle Hadith Me Naqal Ki Hain Un Hadithon Ka Bhi Yahi Haal Hai,

InShaAllah Agle Post Me Unki Wazaahat Ki Jaayegi....