Friday, November 21, 2014

MARD AUR AURAT KI NAMAZ ME FARQ AUR MUQALLIDEEN KE MUGHAALTON KA JAWAB: (PART-1)






Bismillahirrahmanirraheem

MARD AUR AURAT KI NAMAZ ME FARQ AUR MUQALLIDEEN KE MUGHAALTON KA JAWAB: (PART-1)


Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Namaz Usi Tarah Padho Jis Tarah Mujhe Padhte Hue Dekha"

(Sahih Bukhari Kitab Ul Azaan Hadith No. 631)

Is Farmaan Se Mukhaatib Tamam Ummati Hain Chaahe Wah Mard Hon Ya Autateon, Lihaaza Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Koi Farq Nahin (Magar Jiski Takhsees Khud Allah Ke Rasool Kar Den),

Isliye Ahnaaf Ne Jo Baaz Tafreeq Ki Hain Wah Tamam Ki Tamam Be'asal Aur Quran Wa Sunnat Se Ghair Saabit Shuda Hain,

POINT TO BE NOTED:

Hanafiya Ke Nazdeek Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Farq Hai, Poori Namaz Me Toh Nahin Balke Baaz Masail Me Unka Daawa Hai Ke Auratein Mardon Ke Bar'ashq Amal Karen,

Ye Masail Tadad Me Kitne Hain ?? Unki Sahih Tadad Ki Nishan'dehi Hamen Kisi Fiqh Ki Kitaab Se Dast'yaab Nahin Hui,

Albatta Hamne Sarsari Taur Par Deobandi Aur Barelwi Ulema Ki Tahreeraat Ka Mutaala Karke 18 Masail Malum Kiye Hain, Jo Is Tarah Hain

1- Aurtein Takbeer Tahreema Ke Waqt Shaano Tak Haath Uthaayen

2- Daayen Haath Ki Hatheli Baayen Pusht Par Rakhen,

3- Seena Par Haath Bandhen,

4- Ruku Me Kam Jhuken, Mahaz Itna Ke Haath Ghutno Tak Pahunch Jaaye, Peeth Seedhi Na Karen,

5- Ruku Me Ungaliyon Ko Kushaada Na Karen

6- Ruku Me Haathon Par Sahara Na Den

7- Ruku Me Ghutno Ko Jhuka Len,

8- Ruku Me Ghutno Par Sirf Haath Rakhen, Zor Se Na Pakden,

9- Ruku Me Simti Rahen,

10- Ruku Me Baghalein Na Kholen Balke Samete Rahen, Aur Peeth Raano Se Aur Unko Pindalion Se Milaayen, Aur Pindaliyan Zameen Se,

11- Sajdah Me Kunhiyon Tak Baazu Zameen Me Bichha Den,

12- Qaayda Me Dono Paoun Baaher Nikaal Kar Sureen Par Baithen, Koi Paaon Khada Na Karen

13- Qaayeda Aur Sajdon Me Haath Ki Ungaliyan Milaayen

14- Aage Se Koi Guzre Toh Haath Par Haath Maaren

15- Subah Ki Namaz Andhere Hi Me Ada Karen

16- Ruku Me Paon Ko Qareeb Qareeb Karen Hatta Ke Takhne Mil Jaayen,

17- Dono Haathon Ke Darmiyaan Maatha Rakh Kar Sajda Karen

18- Sajdah Me Paon Ko Khada Na Karen, Balke Daahini Taraf Nikaal Den

(Namaz Ki Sabse Badi Kitan Pg 253, Bahesti Zewar Page 1615 Hissa 2, Majmua Rasail 1/308 (Okarwi), Namaz Masnoon Wa Bahaar e Shariat 3/63-68)

Ye 18 Masail Hamne Mazkoorah Kitab Par Sarsari Nazar Daal Kar Aapke Saamne Rakh Diye Hain,

Hanafiya Ka Dawa Hai Ke Mzkoorah 18 Masail Me Mard Aur Aurat Ki Namaz Ada Karne Me Farq Hai,

Goya Mard Aur Aurat Ke Liye Alag Alag Ahkaam Wa Masail Hain,

Agar In Masalon Par Thodi Si Mahnat Ki Jaaye, Aur Fiqh Hanafi Ki Maroof Wa Mutaddid Awwal Kutub Ka Mutaala Kiya Jaaye Toh Yaqeenan Is Fehrist (List) Ko Mazeed Lamba Bhi Kiya Ja Sakta Hai,

Is Taweel Fehrist Ke Asbaat Ke Liye Deobandi Alim Anwar Sahab (Musannif Hadith Aur Ahle Hadith) Ne Kalam Uthaaya Hai,

Ham Unke Mamnu Hain Ke Unhone Quran Wa Hadith Ka Mutaala Karke Un Mazkoor Masail Par Dalail Jama Kiye Hain, Aur Hamen Dawat E Fikr Di Hai,

Ham Allah Ke Karam Se Giroh'bandi Aur Firqa'parasti Ke Qayel Nahin, Balke Haq Baat Ko Qabool Karne Ke Liye Har Waqt Tayyar Hain,

Agar Waqi Mazkoorah Masail Ki Taqseem Saabit Ho Aur Har Masla Par Quran Wa Hadith Rasool (Sws) Se Taqseem Saabit Ho Toh Ham Maanne Ke Liye Tayyar Hain,

Chalo Ham Mazeed Riyayat Dete Hain Aur Anwar Sahab Ko Aqwaal Sahaba Kiram (Ra) Bhi Pesh Karne Ka Haq Dete Hain, Haan Albatta Sanadan Sahih Ho Aur Kisi Sahabi Se Uske Khilaaf Marwi Na Ho,

Aiyye Anwar Sahab Deobandi (Musannif Hadith Aur Ahle Hadith) Ke Dalail Mulaaheza Karen

ANWAARI DALAIL YA ZULMAAT:

1- Hz Wail Bin Hajar (Ra) Farmate Hain Ke Mujhe Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Aiy Wail Bin Hujr (Ra) Jab Tum Namaz Padho Toh Apne Dono Haath Kaano Tak Uthaao Aur Aurat Apne Dono Hath Apni Chhati Ke Baraabar Uthaaye"

(Mu'azzam Tibraani 22/18)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 479)

JAWAB:

1- Iski Sanad Me, Imam Yahya Bint Abdul Jabbar Raawiyah Majhool Hai,

Allama Haythami Farmate Hain Ke

"Main Inhe Nahin Jaanta"

(Mjmua Al Zawaid Page 103 Jild 9)

Jo Iski Sehat Ka Muddai Hai Wah Umm Yahya Ki Adaalat Wa Siqaat Saabit Kare,

2- Ye Asar Khud Hanafiyah Ke Khilaaf Hai, Kyonki Hanafaiya Ke Nazdeek Aurat Ke Mutaalliq Ye Irshaad Hai Ke Wah Kandhe Tak Haath Uthaaye Kyonke Ye Uske Liye Zyadah Astar (Parda'poshi Ka Zariya) Hai

(Hidaya 1/64, Mustamli page 200, Sharah Wiqaya 1/76)

Goya Imam Abu Hanifa (Rh) Se Hasan Ne Ye Riwayat Bhi Naqal Ki Hai Ke Aurat Mard Ki Tarah Hi Haath Uthaaye, Isliye Ke Kaf Parda Me Daakhil Nahin Jabke Sahab E Hidaya Ne Pahle Qaul Ko Tarjeeh Di Hai

(Bahrur Raiq

1/305)

Baher'haal Ye Unke Sawaab Deed Par Hai Ke Kis Riwayat Ko Akhtiyaar Karte Hain ??


Ham Ye Arz Karna Chahte Hain Ke Imam Abu Hanifa (Rh) Ke Dono Aqwaal Me Se KisiKo bhi Muntakhab Karen,

Har Haal Me Anwar Sahab Ke Pesh Kardah Riwayat Unke Khilaaf Hi Rahegi, Kyon ??

Isliye Ke Mazkorah Riwayat Me, Pistaano Tak Uthaane Ka Huqm Hai, Jabke Hanafiya Ka Maslak Iske Bar'ashq Hai

2- Hz Abdar'bah Bin Suleman Bin Umair (Rh) Farmate Hain Ke Maine Hz Umme Darda (Ra) Ko Dekha Ke Aap Namaz Me Apne Dono Haath Kandhe Ke Baraabar Uthaati Hain

(Juzz Raful ydain Page 7)

(Haduth Aur Ahle Hadith Page 479)

JAWAB:

1- Is Riwayat Se Mard Aur Aurat Ki Namaz Ki Kaifiyat Ka Farq Saabit Nahin Hota,

Jis Lafz Se Anwar Sahab Ka Dawa Saabit Hota Hai Us Par Nishaan Lagaayen,

Baqi Raha Ke Hz Umme Darda (Ra) Kandhe Tak Haath Uthaati Thin, Toh Ye Fael Hadith Se Saabit Hai Ke Jaisa Ke Sayyedena Ibn Umar (Ra) Ki Hadith Hai,

3- "Fil Salat" Se Muraad Ruku Karte Aur Ruku Se Uthte Waqt Ki Rafulyadain Hai Jaisa Ke Imam Bukhari Ne Aage Mufassal Hadith Naqal Karke Wazaahat Ki, Mulaheza Ho,

Hz Abdar'bah Bin Suleman Bin Umair (Ra) Se Riwayat Hai Ke Maine Umme Darda (Ra) Ko Dekha Ke Wah Namaz Me Apne Kandhon Ke Baraabar Rafulyadain Karti Thin, Jab Namaz Shuru Kartin Aur Jab Ruku Karti Aur Jab "Sami Allah Liman Hamidah" Kahti Thin Aur Kahti Thin "Rabbana Lakal Hamd"

(Juzz Ul Rafulyadain Page 28, Mutarjam Tariekh Kabeer 6/78)

Zaahir Hai Ke Anwar Sahab Ne Is Hadith Ki Sanad Ko Sahih Samjhkar Hi Istadalal Kiya Hai Aur Master Ameen Safdar Ki Jirrah Ko Fuzool Qarar Dete Hue Is Par Adam Aitemaad Ka Izhaar Kiya Hai Jo Unhone Tajalliyaat E Safdar 3/311 Par Ki Hai,

Yahan Anwar Sahab Ne Ek Kaam Zaroor Kiya Hai Ke Mufassal Hadith Ko Chhodkar Mukhtasar Hadith Ko Naqal Kar Diya Hai,

Halaanke Ye Musallama Usool Hai Ke Ek Hadith Dusri Hadith KI tafseer Karti Hai,

Lihaaza Pahli Mujammal Hadith Ki Ye Hadith Tafseer Hai Ke Rasoollullah (Sws) Sahabiyaat (Ra) Bhi Namaz Me Rafulyadain Karti Thin,

3- Hz Ibn Jarej Farmate Hain Ke Maine Hz Ata (Ra) Se Kaha Ke Aurat Takbeer E Tahreema Kahte Waqt Mard Ki Tarah Ishaara (Rafulyadain) Karegi,

Apne Faramaya Aurat Takbeer E Tahreema Kahte Waqt Haath Na Uthaaye, Aapne Ishaara Kiya Aur Apne Dono Haath Bahut Hi Pusht Rakhe Aur Unko Apne Se Milaaya Aur Farmaya

"Aurat Ki (Namaz me) Ek Khaas Hiyyat Hai Jo Mard Ki (Namaz Me) Nahin"

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/239)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 480)

JAWAB:

1- riwayat Ke Agle Alfaaz Hain " Wa An Tarakat Fala Harj"

Yani Agar Aisa Na Bhi Kare Toh Tab Bhi Koi Harj Nahin

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/239)

In Alfaaz Ka Khula Matlab Ye Hua Ke Agar Mard Ki Tarah Kare Toh Tab Bhi Koi Harj Nahin,

Lekin In Lafzon Ko Anwar Sahab Ne Kaat Diya Hai, Jo Diyaanat Ke Khilaaf Hai,

Ghaur Farmaiyye Ki In Lafzon Ki Maujoodagi Me Us Asar Ka Koi Matlab Rah Jaata Hai Jo Hanafoyat Ko Mufeed Ho ??

Ye Toh Bilkul Us Shakhs Ki Gawaahi Ki Tarah Hai Jisne Judge Ke Rubaru Shahadat Di Ke Falan Shakhs Ne Meri Aankhon Ke Saamne Okarwi Ka Sar Kalam Kiya Tha, Fir Poocha Gaya Fir Kya Hua ??

Gawaah Kahne Laga Fir Meri Aankh Khul Gayi,

Anwar Sahab Gawahi Toh Poori Naqal Karte Hain, Aankh Khul Gayi Ko Tark Kar Dete Hain

Inna Lillalahi Wa Inna Ilaihi Rajioon

3- Ye Tabai Ka Qaul Hai Jo Deen Me Hujjat Nahin,

4- Hz Yazeed Bin Abi Habeeb (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram (Ra) 2 Aurton Ke Paas Se Guzre Jo Namaz Padh Rahi Thi,

Aapne Faramaya

"Jab Tum Sajda Karo Toh Apne Jism Ka Kuch Hissa Zameen Se Mila Liya Karo Kyunke Aurat (Ka Huqm Sajda Ki Haalat Me) Mard Ki Tarah Nahin Hai"

(Maraseel Abu Dawood page 7, Sunan Kubra 2/222)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 480)

JAWAB:

1- ye Riwayat Sagheer Tabai Ki Mursal Hai Aur Mursal Riwaayat Zaeef Hain, Raaje Muqaddama

2- Iski Sanad Me Saalim Bin Gheelaan Rawi Mutaqallim Fiyah Hai

Imam Dar E Kutni (Rh) Farmate Hain Ke

"Matrook Hai"

(Meezaan 2/113)

Ibn Turkmani Hanafi Ne, Jawahar Un Naqi 2/223 Me Aur Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ne Talkhees Al Habeer 1/242 Me Is Riwaayat Ko Zaeef Qarar Diya Hai,

5- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Ne Farmaya Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya Ke

"Jab Aurat Namaz Me Baithe Toh Apni Ek Raan Dusri Raan Par Rakhe Aur Jab Sajdah Kare Toh Apne Pet Ko Raano Se Chipka Le Is Tarah Ke Uske Liye Zyadah Se Zyadah Parda Ho Jaaye Bila'shubah Allah Tala Uski Taraf Nazar (Rahmat) Farma Kar Irshad Farmaate Hain Ke

Aiy Farishton Main Tumhe Gawaah Banaata Hoon Is Baat Par Ke Maine Use Bakhs Diya"

( Kanzul Ummal 7/549)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 481)

JAWAB:

Is Hadith Ko Hakam Bin Abdullah Ne Waza Kiya Tha, Imam Abu Hatim , Imam

Shazi Aur Imam jozkani Ne Use Kazzab Qarar Diya Hai,

Imam Zurkani (Ra) Farmate Hai Ke


" Ye Baaz Sunnat Me Hadith Waza Karta Tha"

(Lisaan Ul Mizaan 2/335)

Imam Ibn Adi Ne (Al kamil 2/631), Aur Imam Zahbi Ne (Meezaan 1/575) Me Is Riwayat Ko Hakam Ki Munkar Riwaayaat Me Shumaar Kiya Hai,

Imam Baiheqi Ne (Sunan Kubra 2/223) Me Riwayat Ko Zaeef Qarar Diya Hai,

Imam Ali Muttaqi Ne, Kanzul Ummal Ne Iske Zaeeff Hone Ki Saraahat Ki Hai,

Al'gharz Ye Riwayaat Shakht Zaeef Hai Aur Baatil Hai,

6- Hz Haris (Ra) Farmate Hain Ke Hz Ali (Ra) Ne Farmaya

"Jab Aurat Sajda Kare Toh Khoob Simat Ka Kare Aur Apni Dono Raano Ko Milaaye Rakhe"

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/279, Sunan Kubra 2/222)

(Hadith Aur Ahle Hadith 481)

JAWAB:

Iski Sanad Me Haris A'war Raawi Kazzab Hai,

Imam Shoibi (Rh), Imam Ibraheem, Imam Mugheerah, Imam Ali Bin Madeeni, Aur Imam Abu Ishaq Ne Kazzab Qarar Diya Hai

(Meezan Aitedaal 1/435)

Al'gharz Ye Riwayat Shakht Zaeef Hai

7- Hz Ibn Abbas (Ra) Se Aurat Ki Namaz Ke Baare Me Sawaal Hua Toh Aapne Farmaya Ke

"Wah Ikatthi Hokar Khoob Simat Kar Namaz Padhe"

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/270)

(Hadith Aur Ahle Hadith page 481)

JAWAB:

1- Namaz Ke Kis Rukn Ko Simat Kar Ada Karen ?? Asar Ke Lihaaz Me Uski Qat'an Koi Saraahat Nahin, Balke Aam Hai Iske Khaas Karne Ki Daleel Darkaar Hai,

Aur Takhsees Ke Be'ghair Ye Hanafiyah Ke Bhi Khilaaf Hai, Agar Kaha Jaaye Ke Sajdon Me Simat Kar Sajda Kare Jaisa Ke Hanafiyah Ka Mauqaf Hai, Toh Tab Ye Marfu Hadith Ke Khilaaf Hai, Jisme Aap (Sws) Ne Aam Hukm Diya Hai Ke

"Tum Mese Koi Bhi Dono Baazu Kutte Ki Tarah Na Bichhaaye"

(Bukhari Kitab Ul Azan Hadith No 822, Muslim Kitab Us Salaat Hadith No. 1102)

Ye Huqm Nabawi Aam Hai Namazi Khwaah Mard Ho Ya Aurat ! Ise Mardon Se Khaas Karne Ke Liye Hadith Marfu Darkaar Hai, Jo Muqallid Anwar Sahab Ke Paas Qat'an Nahin,

Lihaza Ise Sahabi Ke Qaul Se Radd Nahin Kiya Ja Sakta, Kyonke Ye Musallama Usool Hai Ke Jab Mauqoof Riwayat Marfu Hadith Ke Mukhaalif Ho Toh Tab Mauqoof Na Qabil E Hujjat Hai,....

To Be Continued...