Monday, November 17, 2014

HZ USMAN BIN AFFAN (RA)




Ek Baar Madeena Me Qahat (Drought) Padh Gaya, Aasmaan Ne Paani Barsaana Chhod Diya, Aur Zameen Ne Anaaj Ugaane Se Inkaar Kar Diya Tha,

Us Qahat Ke Wajah Se Poore Shaher Me Gurbat Fail Gayi Thi, Log Daane Daane Ke Liye Muhtaaj Ho Gaye They,


Hz Usman Ghani (Ra) Bahut Bade Taajir (Business Man) They, Unki Tijaarat Poore Arab Me Faili Hui Thi,

Us Dauraan Unka Ek Tijaarati Kaafila Sham (Syria) Se Lauta, Us Kaafile Me 1000 Oont They Aur Khaane Peene Ki Ashya Ke Saath Jab Ye Kaafila Madeena Munawwara Pahuncha Toh Logon Ko Thodi Raahat Hui,

Bacche Thode Khush Hue Lekin Jaise Hi Ye Kaafila Madeena Pahuncha Taajiron Ka Ek Wafad Bhi Saath Saath Yahan Pahuch Gaya,

Us Wafad Ne Hz Usman (RA) Se Poocha Ke Kya Woh Apna Maal Farokht Karna Chaahenge ??

Unka Iraada Tha Ke Saara Maal Saara Maal Khareed Lein Aur Qahat Ki Wajah Se Majboor Logon Ko Mahenge Daamon Me Farokht Kar Ke Bahut Saara Munaafa Kamaayen,

Hz Usmaan (ra) Ne Un Sab Se Poocha Ke Aap Iski Kya Qeemat Lagaate Hain??,

Unhone Jawab Diya Ham Apko Dugna Nafa Denge,

Yani Ek Dinaar Ka Maal 2 Dinaar Me Khareedenge !

Hz Usman (Ra) Ne Kaha Ke Itna Nafa Toh Mujhe Pahle Se Hi Mil Raha Hai,

Hz Usman (Ra) Ka Jawab Sunkar Unhone Nafa Aur Badha Diya,

Fir Bhi Hz Usman (Ra) Ne Wahi Jawab Diya Ke Itna Toh Mujhe Pahle Hi Se Mil Raha Hai,

Unhone Nafa Aur Badha Diya, Fir Bhi Hz Usman (Ra) Ne Yahi Kaha Ke Itna Toh Mujhe Pahle Hi Se Mil Raha Hai !

Itna Sunkar Wah Tajir Hairaan Rah Gaye ,

Unhone Poocha Usman Ham Ahle Madeena Ko Khoob Acchi Tarah Se Jaante Hain Yahan Koi Aisa taajir Nahin Jo Tumhara Maal Hamse Zyada Qeemat Me Khareede,

Aakhir Wah Kaun Hai Jo Tumhe Hamse Zyada Nafa De Raha Hai ??

Hz Usman (Ra) Ne Jawab Diya

"Allah ! Jo Nafa Tum Mujhe De Rahe Ho, Mere Rabb Ne Mujhe Usse Bahut Zyada Nafa Dene Ka Waada Kiya Hai"

Ye Kahkar Hz Usman (Ra) Ne Apne Logon Ko Ye Huqm Diya Ke Ye Tamam Maal Ahle Madeena Aur Zaroorat'mando Ke Darmiyaan Taqseem Kar Diya Jaaye,

Hz Usman (Ra) Ke Saamne Us Waqt Quraan Ki Ye Aayat Thi,

"Jo Log Apna Maal Allah Ki Raah Me Sarf (Kharch) Karte Hain Unke Kharch Ki Misaal Aisi Hai, Jaise Ek Daana Boya Jaaye, Aur Unse 7 Baaliyan Niklen Aur Har Baal Me 100 Daane Hon, Usi Tarah Allah Jiske Amal Ko Chaahta Hai Badha Deta Hai, Wah Faraakh'dast Bhi Hai Aur Aleem Bhi"

(Surah Baqarah Ayat 261)

Hz Usman (Ra) Ke Paas Jo Taajiron Ka Wafad Aaya Tha, Wah Dar'haqeeqat Shaitaan Ka Wafad Tha, Wah Hz Usman (Ra) Ko Aazmaish Me Daalne Aaya Tha.

Wah Hz Usman (Ra) Ke Saamne Usi Tarah Aaya Jis Tarah Hz Ibraaheem (As) Ke Saamne Aaya Tha,

Jabke Wah Apne Laadle Bete Hz Ismael (AS) Ki Qurbani Pesh Karne Ja Rahe They,

Shaitan Hz Usman (Ra) Ke Saamne Dunyawi Faayede Ko Badha Chadha Kar Bayaan Kar Raha Tha Taake Usman Aakhirat Ke Daimi Faayede Se Mahroom Ho Jaayen,

Chunke Hz Usman (Ra) Ka Imaan Zinda Tha Isliye Unhone Dunyawi Faayede Ke Badle Ukharwi Faayede Ko Tarjeeh Di,

Unhone Samjh Liya Ke Unke Saamne Shaitaani Wafad Hai Jo Unhe Ukharwi Nafa Se Hamesha Ke Liye Mahroom Karna Chaahta Hai,

Aisi Hi Shakhawat Ki Wajah Se Unhe Ghani Ka Laqab Ata Hua.