Wednesday, November 19, 2014

KYA HAM TAQDEER KE LIKHE HUE SE MAJBOOR HOKAR GUNAAH KARTE HAIN ??






Sawal : Islam me takdeer pe Iman na rakhna kufr hai Yani Jo kuch is zindagi me hamare sath hoga ya ham karenge wo hamari takdeer me pahle se Allah ne likh dia hoga . to Agar mai koi Gunah karun to isme mera kya kasur mai to apni likhi hui takdeer ki wajah se wo kaam karne pe majboor tha Jo Allah ne likha tha

Beshaq taqdeer pe yaqeen na rakhne wala Musalman nahi ho sakta , Lekin us se Pahle Taqdeer aur Taqdeer pe Yaqin rakhne ka matlab samajhiye

Taqdeer lafz ka Root hai Qadar (प्रभुता), aur Taqdeer Pe Yaqin ka matlab ye hai ki ham is Baat Pe Yaqeen rakhen ki Allah har Shai Pe Qaadir hai, Yani Allah ka Prabhutw he Saari Srishti pe hai aur Wo Jo hamare Sath karna Chaahta hai hamare sath waisa hota hai na ki ham jo kuch apne ya kisi aur ke sath krna chahte hain waisa...... 


apne ya anya logo ke baare me bahot si chsezo par hamara koi ikhtiyar nhi hota, jaise janm, maran, koi aakasmik durghatna, ya koi aakasmik laabh .... aisi bahot si cheezen bhi hamari taqdeer ka hissa hoti hain....
 

In sab bato'n me Allah ki prabhuta ko maanna isliye zaruri hai Taki khud par Allah ka prabhutw jaan kar ham uske aagyakari bane rahe'n.... aur paap karne se khud ko bachay'n

Aur jahan tak sawal hai Taqdeer ki wajah se majboor hokar koi kaam karne ka, to uski haqeekat ye hai ki Allah ne hame Free Will di hai Yani ham jo kaam karte hai wo Apna koi Zaati Faayda Dekh kr he karte hain na ki koi Ghayabana takat hame koi kaam karne ko Majboor krti hai...... Yani ham jo bhi kaam karte hain apni marzi se karte hain.. aur kaam ka natija hamare haq me ho ye soch kar karte hain...... 


lekin us natije pe hamara koi ikhtiyar nhi hota aur Allah us kaam ka jo chaahe wo natija deta hai.... ye hai taqdeer

So apni kisi Galat Harkat ka kusoor kismat ko dena Aur Apne kiye ka ILzaam AlLah Par Lagaana Insan ki Makkari bhari Jurrat ke Siwa kuch nahi.....
 

Balki Hadis Sharif me to ye aaya hai Taqdeer ke Faisle ko Allah se Dua kar ke tala ja sakta hai .... Yani kisi ko dar ho ki kisi majboori me uske haath se koi galat kaam na ho jaaye.... to woh banda Allah se khoob Dua kar ke us gunah ko yaqeenan taal sakta hai...

Via- Zia Imtiyaaz