Sunday, November 2, 2014

WAFAAT HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)




HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)

Hz Ibn Abbas (Ra) Farmate Hain K Jab Hz Umar bin Khattab (Ra) Ka Janaza Takht Par Rakha Gaya Toh Log Unke Gird Jama Gaye, Unke Haq Me Dua Karte, Tahseen Amez Qalimat Kahte Aur Mayyat Uthaye Jane Se Pahle Unki Namaz E Janaza Pa
dh Rahe They, Main Bhi Un Logon Me Shamil Tha.

Achanak Ek Shakhs Ne Peeche Se Mere Kandhe Par Hath Rakha,

Maine Ghabra Kar Mudhkar Dekha Toh Wah Hz Ali (Ra) They,

Unhone Hz Umar Farookh (Ra) K Liye Dua E Rahmat Ki Aur Kaha

"Aiy Umar ! Aapne Apne Baad Koi Aisa Shakhs Na Chhoda Jiske Kiye Hue Amaal K Sath Mujhe Allah Tala Se Mulaqat Karna Pasand Ho,

Allah Ki Qasam ! Mujhe Yaqeen H Ke Allah Tala Aapka Maqaam Aapke Dono Saathion Ke Saath Kar Denge, Kyonke Main Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Se Ba'kasrat Ye Suna Karta Tha

"Main Abu Bakr Aur Umar Aaye"

"Main Abu Bakr Aur Umar Nikle"

Aur Mujhe Yaqeen Hai Ke Allah Tala Aapko Aapke Dono Saathion Ke Saath Rakhega"

(Sahih Muslim Hadith No. 776)

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks