Friday, November 7, 2014

EK SABAQ (A LESSON)





Ek Sabak (A Lesson)

Ho Sakta Hai Aap Mese Kai Ladkiyon Ki Aap Beeti Ho!


Main College In Exams Se Free Hui Toh Boriyat Ka ShiKaar Thi, Akele Wa Azaadi Se Ghoomne Firne Ki Pabandi Thi,

Toh Socha Kyon Na Waqt Ghuzaarne Ke Liye Facebook Join Kar Lun,

Fir Kya Bataun Bas Yun Samjho Ki Kai Baar Ammi Se Daant Bhi Khaayi, Magar Facebook Toh Jaise Mera Odhna Bichona Hi Ban Gayi,

Hai Toh Ghalat Baar Magar Waqti Taur Par Mujhe Accha Laha, Ladkon Ki Tawajjoh (Attaraction) Paana Aur Unse Taareef Sunna Lekin Chunki Main Aise Mahaul Ki Aadi Ni Thi Toh Mujhe Jald Hi Apni Ghalti Ka Ehsaas Hona Shuru Ho Gaya,

Jab Maine Dekha Ki Meri Har Post Par Be'shumaar Comments Aate They Kabhi Koi Muhabbat Bhari Shayri Me Tag Kar Raha Hota Toh Kabhi Koi Inbox Me Love Ka Izhaar Kar Raha Hota Hai, Dates Ke Offer Kar Raha Hota Kai Tharki Hazraat Ne Toh Bina Dekhe Shadi Ki Pesh'kash Bhi Kar Di Magar Mujhe Aammi Ki Warning Yaad Thi Ke

"Maine Tumhari Tarbiyat Me Koi Kami Nhi Ki Hai,

Acche Aur Bure Ki Pahchan Bata Di Hai,

Ab Main 24Hrs Tumhari Chaukidari Nahin Kar Sakti,

Bas Hamara Bharosa Kabhi Mat Todhna"

Ammi Ki Baatein Samjh Toh Aati Thi Magar Facebook Ka Charm Sab Kuch Bhula Deta Tha,

Sochti Thi Ke Ye Time-pass Hi Toh Hai Bas, Main Kausa Kisi Se Zyadah Free Hoti Hoon Jo Pareshani Ho,

Magar Fir Yun Hua Ke Ek Ladka
Jo Ba'zaahir Bahut Accha Tha Mujhe Sach Much Bahut Accha Lagne Laga,

Ba'qaul Uske Uski Saari Tawajjoh (Attaraction) Ka Markaz (Center) Main Thi, Main Uski Khoobsoorat
Baaton Ke Jaal Me Aa Gayi Aur Uspar Bharosa Karne Lagi,

Main Usse Abhi Tak Mili Nahin Thi,
Magar Mujhe Mahsoos Hota Tha Ke Jaise Main Use Hamesha Se Jaanti Hoon,Aur Wah JeevanSathi Banne Ke Liye Bahut Sahih Hai,

Mauqa Dekh Kar Aami Se Baat Karungi Uske Bare Me ! Lekin Dheere Dheere Uski Be'taqallufiyat Badhne Lagi,

Uski Do'mane (Double Meaning) Baatein Mujhe Pareshaan Karne Kagi Thi, Ek Chubhan Si Thi Jo Andar Kuch Kati Rahti Thi, Main Ab Usse Naata Khatm Karna Chaahti Thi Magar Wah Khud Ko JaAn se
Maarne Ki Dhamki De Kar Mujhe Rok Leta Tha..

Dil Na Chaahte Hue Bhi Usse Baat Karni Padh Jaati Thi,

Fir Achanak Ek Din Sham Ke Waqt
Usne Mujhe Milne Ki Farmaish Ki,

Maine Ye Kah Kar Inkaar Kar Diya Ke Ek Toh Raat Ko Milna Hi Ghalat Dusra Kisi Rishtey Ke Be'ghair Hamara Hi Nahin Balke Har Ladke Aur Ladki Ka Tanha Milna Theek Nahin,

Mera Inkaar Sunkar Wah Thoda Ukhad Sa Gaya Ke Kya Yaaar ?? Main Tumse Shadi Karna Chahta Hoon, Koi Kha Thodi Jaonga, Tum Bhi Na ! Bas Hadh Karti Ho,

Maine Narmi Se Kaha Kyonke Ye Ghalat Hai, Jab 2 Ladka Ladki Akele Hon Toh Teesra Shaitaan Hamesha Beech Me Rahta Hai,

Wah Bola Ghalat Hai Toh Facebook Join Kyon Ki Ti ?? Baithti Na Parde me, Yahan Toh Yahi Kuch Hota Hai !

Maine Ghusse Me Jawab Diya Ke Facebook Par Agar Ghalat Ladkiyan Aati Hain Toh Aap Bhi
Toh Aate Hain Iska Matlab Aap Bhi Bure Ho ??

Bakwaas Band Karo, Mera Taniziya Jawab Sunkar Wah Tadap Kar Bola

"Mujhe Pata Hota Tum Aisi Ho Toh Kabhi Tumko Muh Na Lagaata,

Saali Ne Hotel Ke Kamre Ki Booking Par Itne Paise Barbaad Karwa Diye Mere, Ab Waapas Bhi Nahin Honge"

Uski Is Baat Par Main Jaise Patthar Ki Ho Gayi

Na Jaane Kab Meri Aankhon Se 2 Aansu Gire,

Shayad Shukranah Ke Mere Rabb Ne Mujhe Kisi Ghaleez Ghade Me Girne Se Pahle Hi Bacha Liya !

Meri Baheno ! Maine Toh Itna Sabaq Seekh Liya Kyonke Meri Soch Ko Banane Wali Meri Maa Thi, Waqti Taur Par Mere Qadam Ladhkhadaaye Zaroor Magar Alhamdulillah Mere Allah Ne mujhe Bar'waqt Bacha Liya

Ab Aap Sab Logon Se Darkhwaast Hai Ki Facebook Ya Net Ka Ghalat Istemaal Na Karen Plz

Net Par Milne Wala Har Shakhs Shareef Nahin Hota , Tanhaayi Me Kabhi Kisi Mard Se Na Milen , Khud Ko Barbaad Hone Se Bachayen , Aap Log Yahan Muhabbat Ka Khel Na Khelen ,

Agar Milan Mumkin Ho Sakta Hai Toh Nikah Ka Halal Rishta Joden

Haram'kari Jaise Gunaah Se Bachen !

Jo ladka Apki Sahih Mano Me Izzat Karta Hai Wah Ba'izzat Tareeqe Se Aapse Rishta Jodega,

Apne Khaali Waqt Ko Kuch Accha Seekhne Me Sharf Kijiye!

Internet Par Pyar Muhabbat Ye Sab Dakyanoosi Baatein Hain , Na Toh Pyaar Aise Hota Hai Aur Na Toh Dosti !!!