Sunday, November 23, 2014

MARD AUR AURAT KI NAMAZ ME FARQ AUR MUQALLIDEEN KE MUGHAALTON KA JAWAB: (PART-2)

Bismillahirrahmanirraheem

MARD AUR AURAT KI NAMAZ ME FARQ AUR MUQALLIDEEN KE MUGHAALTON KA JAWAB: (PART-2)

8- Hz Ibraaheem Nakhi (Ra) Farmate Hain Ke

"Aurat Jab Sajda Kare Toh Apna Pet Apni Raano Se Chhipka Le Aur Apni Sureen Ko Ooper Na Uthaaye Aur Aaza Ko Us Tarah Door Na Rakhe Jaise Mard Door Rakhta Hai"

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/270, Baiheqi 2/222)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 482)

JAWAB:

1- Ye sagheer Tabai Ka Qaul Hai, JO Deen Me Sharai Hujjat Nahin,

2- Ye Marfu Hadith Ke Khilaaf Hai, Tafseel No .7 Me Pichle Post Me Ghuzar Chuki Hai,

3- Sanad Me Mugheerah Bin Muqeem Koofi Raawi Hai Jo ke Mudallis Hai,

(Tabaqaat Mudalliseen Page 46)

Aur Zer E Bahes Sanad Me Tahdees Ki Saraahat Nahin Jiski Wajah Se Riwaayat Hi Zaeef Hai

9- Hz MuJaahid (Rh) Is Baat Ko Makrooh Jaante They Ke Mard Jab Sajda Kare Toh Apne Pet Ko Raano Par Rakhe Jaisa Ke Aurat Rakhti Hai

(Musannif Abi Shayba 1/270)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 482)

JAWAB:

1- is Riwayat Ki Sanad Me Lais Bin Abi Saleem Raawi Hai Jo Go Sadooq Hain Magar Umar Ke Aakhiri Hissa Me Unhe Akhtalaat Ho Gaya Tha, Aur Unki Hadith Me Tameez Nahin Ho Saki Ke (Akhtilaat Se Pahle Ki Kausi Hadith Hai Aur Baad Wali Kaun Hain) Jiski Wajah Se Zaeef Hai, Fir Ye Tabai Ka Qaul Hai, Jiski Haisiyat Deen Me Ba'taur Daleel Nahin Hai,

10- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Sawaal Hua Ke Rasoollullah (Sws) Ke Zamaane Me Aurtein Kaise Namaz Padhti Thi, Aapne Farmaya

"Chaar Zaano Baith Kar Fir Unhe Huqm Diya Gaya Ke Wah Khoob Simat Kar Baitha Karen"

(Jame Masaneed 1/400)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 482)

JAWAB:

1- sanad Me Imam Abu Hanifa (Rh) Hain Jo Ba'haisiyat Rawi Sahihul Hifz Hain,

2- Isse Neeche Ka Raawi Imam Sufyaan Soori Hain Jo Ke Mudallis Hain, Aur Riwaayat Ki Sanad Mu'ayyaan Hai,

3- Iske Neeche Ke Raawi, Zar Batje'ee, Ibraheem Bin Al Mahdi, Aur Ab Al Jawab, 3 Raawi Majhool Ul Haal Hain,

4- Isse Neeche Jaayen Toh Pahli Sanad Me, Abu Muhammad Bukhari Raawi Waza Hadith Se Muthim Hai

(Lisaan 3/349)

Dusri Sanad Me, Umar Ash'nani Hai Jise Imam Dar E Kutni Ne Kazzab Qarar Diya Hai

(Lisaan Ul Mizaan 4/290)

Al'gharz Ye Riwaayat Baatil Aur Mauzu Hai,

11- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Tasbeeh Mardon Ke Liye Hai Aur Tasfeeq (Ek Haath Ki Pusht Par Dusre Haath Ki Pusht Par Maarna) Aurton Ke Liye"

(Bukhari 1/160, Muslim 1/190, Tirmizi 1/85)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 483)

JAWAB:

1- Is Hadith Ka Kisne Inkaar Kiya Hai, Muhtaram Ham Ise Maante Hain, Balke Ham Toh Aapke Haq Me bhi Dua E Khair Karte Hain Ke Allah Tala Aapko Bhi Qubool Karne Ki Taufeeq De,

Kyonki Is Hadith Se Aurat Ka Ba'jamaat Namaz Padhna Saabit Hota Hai, Magar Hanafi Ye Ijaazat Dene Ko Tayyar Nahin,

Anwar Sahab Suniye ! Is Masle Ki Tafreeq Allah Tala Ke Pyaare Rasool (Sws) Farma Rahe Hain, Ham Kaun Hain Iska Inkaar Karne Waale ??

Inkaar Is Baat Se Hai Ke Hanafiyah Ne Jo Baaz Tafreeq Ki Hain Wah Bila Daleel Hain,

Mazeed Suniye Ke Ye Tafreeq Namaz Ki Kaifiyat Ke Mutaalliq Nahin Balke Sahu Par Tanbiyah Karne Ke Baare Me Hai,

12- Hz Aisha (Ra) FaRmati Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Baaligha Aurat Ki Namaz Odhni Ke Be'ghair Nahin Hoti"

(Tirmizi 1/86, Abu Dawood 1/94)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 483)

JAWAB:

1- Is Hadith Se Saabit Hua Ke Mard Ki Odhni Ke Be'ghair Nange Sar Namaz Ho Jaati Hai, Namazi Chaahe Imam Ho Ya Muqtadi, Baher'haal Namaz Bila Karaahat Jayez Hai, Magar Hanafi Makrooh Kahte Hain

(Fatawa Shami 1/641)

Jiska Matlab Ye Hua Ke Faqat Majboori Ki Wajah Se Nange Sar Ada Ki Ja Sakti Hai Warna Nahin,

2- Is Na'laiq Ko Itna Bhi Nahin Ke Libaas Ka Taalluq Sharait Namaz Se Hai Tareeqa E Namaz Se Nahin,

KHULAASA KALAAM:

Anwar Sahab Ne Kul 12 Dalail Naqal Kiye Hainm Aur In 12 Dalail Me Se 1, 4, 11, 12 Marfu Hadith Hain,

No. 3, 8 , 9 Tabain Ke Aqwaal Hain, Aur No. 2,6,7,10 Sahaba Kiram Ke Aasaar Hain,

In 12 Dalail Se No. 1,4,5,6,8,9,10 Kul Saat Dalail Zaeef Hain,

Aur 8we No. 2 Ko Khud Inke Peer O Murshid Ne Zaeef Qarar Diya Hai, Aur Baqaya Daleel Ka Ye Haal Hai Ke No. 1, 2 Unke Mukhaalif Hain,

No. 3 Me Bad'diyaanati Ki Hai, No. 7 Marfu Hadith Ke Khilaaf Hai,

Aur Aakhiri 2 Marfu Hadith Se Hanafiyah Ka Mauqaf Saabit Karna Seena'jori Hai,

Fir Ye Dalail Jaise Waise Bhi Hain Unse Hanafiya Ne 18 Maqaamaat Par Mard Wa Aurat Ki Namaz Ki Kaifiyat Me Farq Kiya Hai Wah Saabit Nahin Hota,

Un 18 Jagahon Ki Ham Pahle Post Me Nishaan'dehi Kar Chuke Hain Jabke Anwar Sahab Ke Dalail Ko Agar Qubool Kar Bhi Liya Jaaye Toh Unse Sirf 3 Masle Saabit Hote Hain,

1- Takbeer Tahreema Ke Waqt Rafulyadain,
Hissa Zameen Par Lagana

3- Sajda Me Raano Ko Milaana,

In 3 Ke Elaawa 15 Masail Be'daleel Saabit Hote Hain,

Magar Anwar Sahab Poori Dhitaayi Se Dhitaayi De Rahen Hai Ke Ahle Hadith Ka Ye Kahna Hai Ke Ye Tafreeq Muda'khilat Fid Deen Hai Khud Deen Me Muda'khilat Hai

(Page 489)

Muhtaram Isse Badhkar Deen Me Muda'khilat Kya Hai Ke Aap Saboot Dene Ke Bajaaye Falan Ne Ye Kaha Hai, Falan Ne Ye Likha Hai se Ghuzaara Kar Rahen Hain,

Akhir Aap In Tamam Masail Par Zyadah Nahin Sirf Ek Ek Hi Hadith Esh Kar Den, Ham Waada Karte Hain Ke Use Qubool Kar Liya Jaayega, InShaAllah,

Baaqi Aakhir Me Aapne Jo 11 Sawaal Kiye Hain, Unke Mutaalliq Mukhtasar Arz Hai Ke Unka Wajood Bhi Saabit Nahin, Jaise Aapke Masail Be'suboot Hain Waise Hi Sawalaat Bhi Fuzool Hain, Magar Ham Fir Bhi Unhe Naqal Karke Jawabaat Arz Karte Hain

11 SAWAALAT KE JAWABAAT:

Sawal 1

Agar Aurtein Apni Alag Masjidein BananA Chaahen Toh Bana Len,

Jawab:

Aap Pahle Ye Sabit Karen Ke Musalmano Ki Basti Me Jo Masjid Tameer Ki Jaati Hai Usme Aurton Ka Koi Haq Nahin Hota?

Maslan Usme Wah Namaz Aur Deegar Ibaadaat Nahin La Sakti Toh Tab Aapka Ye SawaaL Durust Hoga,

Sawal-2

Usme Wah Mu'azzin Imam O Khateeb Bhi Banna Chaahen Toh Bane

Jawab-

Aurat Ka Mu'azzin Banna Hadith Se Saabit Nahin, Balke Hadith Se Saabit Hai Ke Aurat Agar Ghar Me Imamat Karwaaye Toh Mu'azzin Budha Ho

(Abu Dawood Kitab Us Salaat Hadith No. 591)

Sawal-3

Iqamat Ki Ijaazat Honi Chahiye

Jawab-

Upper Ke Jawab Me Is Sawaal Ka Bhi Jawab Aa Gaya Hai, Yahan Agar Aurtein Apni Alag Jamat Ka Ehtemam Karen Toh Unhe Azaan Wa Iqaamat Kahne Ki Baaz Asaar Sahaba Se Ijaazat Saabit Hai,

Hz Imam Ata Bin Rabah (Rh) Aur Imam Tawus (Rh) Bayan Karte Hain Ke

" Yani Ummul Momoneen Hz Aisha (Ra) Azaan Wa Iqaamat Kahti Aur Aurton Ke Darmiyaan Khadi Hokar Imamat Karwati"

(Baiheqi 1 /408, Ibn abi Shayba 1/223)

Aur ImaM Wahab Bin Kaisaan Raawi Hai Ke Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Sawaal Hua Ke Kya Aurton Par Azaan Hai ??

Toh Aap Shakht Naraaz Hue Aur Kaha Kya Main Unhe Allah Tala Ke Zikr Se Mana Karun

(Musannif Ibn Abi Shayba 1/223)

Sawal-4

Mardon Ki Imamat Ki Ijaazat Honi Chahiye

Jawab-

Aurat Mardon Ki Imamat Na Karwaaye, Is Silsile Me Khud Muqallid Anwar Sahab Ne Ek Hadith Naqal Ki Hai, Farmate Hain

Hz Jabir (Ra) Ek Taweel Hadith Ke Zel Me Farmate Hain Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Khabar'dar ! Na Imamat Kare Koi Aurat Kisi Mard Ki"

(Ibn Majah page 77)

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 497)

Ye Hadith Goya Dhaeef Hai Tafseel Ke Liye Arwa Ul Ghaleel 3/591 Me Padhen,

Yaqeenan Anwar Sahab Ne Ise Sahih Jaankar Hi Istadlal Kiya Hai Aur Mukhaalif Par Ba'taur Hujjat Naqal Kiya Hai,

Ummeed Hai Ke Anwar Sahab Is Hadith Se Aurat Ki Imamat Ke Adam Jawaz Ke Qayel Zaroor Ho Jayenge,

Ye Malhooz Rahe Ke Aurat Mardon Ki Imamat Na Karwaye, Is Silsile Me Sahih, Marfu, Murasil Hadith Bhi Pesh Ki Ja Sakti Hain

(Dekhiye Sahih Bukhari Hadith No. 4425)

Lekin Jab Anwar Sahab Ko Unki Hi Kitab Ki Daleel De Di Hai Toh Deegar Ki Zaroorat Nahin

Sawal- 5

Mardon Ki Tarah Aurat Ko Bhi Aage Hokar Imamat Karaani Chahiye, Darmiyan Me Khade Hone Ki Pabandi Nahin Honi Chahiye

Jawab- 5

Sawal 4 Ki Jawab Me Ummul Momineen Hz Aisha (Ra) Ka Amal Naqal Kiya Ja Chuka Hai Ke Wah Auraton Ki Imamat Karaate Waqt Darmiyaan Me Khadi Hoti Thin,

Aur Ye Musallama Usool Hai Ke Jab Sahabi Ka Qaul Jab Marfu Hadith Ke Khilaaf Na Ho Toh Tab Shariat Me Mustaqal Daleel Hai,

Muhtaram Is Daleel Ke Pesh'e Nazar Aurat Aage Khade Hokar Imamat Na Karwaaye,

Yahi Fatawa Ummul Momineen Hz Umme Salma (Ra) Aur Hz Abdullah Bin Abbas (Ra) Ka Hai,

(Al Muhli Ibn Hajam 2/168)

Sawal- 6

Mardon Ke Saath Namaz Padhne Ki Ijaazat Honi Chahiye

Jawab-

Ye Ijaazat Isliye Nahin Ke Nabi E Akram (Sws) Ke Amal Aur Farmaan Ke Khilaaf Hai

Hz Anas Bin Malik (Ra) Rawi Hain Ke Maine Aur Hamare Ghar Me Yateem Ladke Ne Nabi E Akram (Sws) Ki Iqteda Me Namaz Padhi Ham Rasoollulah Ke Peeche They, Aur Meri Waalidah Umme Saleem (Ra) Hamare Peeche Thin

(Sahih Bukhari Hadith 727)

Hz Abu Hurairah (Ra) Raawi Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Mardon Ki Bahtreen Safen Pahli Hain Aur Bad'tareen Aakhiri Hain, Aur Aurton Ki Bahtereen Safen Aakhiri Hain Aur Bad'tareen Pahli Safen Hain"

(Muslim KitaB Us Salat Hadith 985)

Is Farmaan Ka Yahi Maqsad Hai Ke Mardon Aur Aurton Ka Akhtalat Na Ho, Agar Hamari Baat Par Aitemaad Na Ho Toh Allama Usmani Ki Fatah Al Mulhim 2/68 Ka Mutaala Zaroor Kar Lena,

Unhone Bhi Iska Yahi Mafhoom Bayan Kiya Hai,

Sawal-7

Oonchi Awaaz Se Qiraat Aur oonchi Awaaz Se aameen Kahni Chahiye

Jawab-

Kya Aapki Masjid Me
Muqtadi Mard Imam KI iqteda Me Oonchi Awaaz Se Qirat Aur Aameen Kahte Hain ?? Muhtaram Kya Kah Rahe Ho !

Aapke Yahan Toh Muqtadi Par Sirre Se Qirat Hi Nahin Hai Agar Aitbaar Na Ho Toh Apni Kitab Ka Page No 299 Hi Nikaal Kar Dekh Len,


Agar Aapka Ye Maqsood Hai Ke Aurton Ki Imamat Karaate Waqt Aurat Qirat Oonchi Na Kare Toh Muhtaram Uski Daleel Den,

Yahan Uski Hurmat Ka Fatawa Lagaane Se Pahle Takbeeraat Inteqaal Par Zaroor Ghaur Karna,

Yahan Ham Aapko Dawat E Fikr Dene Ke liye Maulana Abdul Hai Lucknawi Marhoom Ka Ek Fatawa naqal Karte Hain

Aurat Agar Qirat Bi Jahar Karegi Toh Uski Namaz Faasid Hogi, Par Tabsirah Karte Hue Farmate Hain

"AUr Haq Baat Is Baab Me Ye Hai Ke Mutlaqan Aurat Ki Awaaz Satar Nahin Albatta Rafa'a Soorat Mai Buland Awaaz Wagerah Satar Hai"

(Majmua Al Fatawa 1/216)

Fir Aurton Ki Imamat Ke Mutaalliq Mutaddid Riwayaat Naqal Karne Ke Baad Farmate Hain

"In Riwayaton Se Malum Hua Ke Jo Aurat Aurton Ki Imam Ho, Toh Beech Me Khadi Ho, Mardon Ke Imam Ki Tarah Aage Na Khadi Ho"

Aur Ye Bhi Malum Hua Ke Jab Aurat Imam Ho Sakti Hai Toh Uski Qirat Aur Takbeer Bil Jahar Karna Bhi Mashru Hai, Kyonki Be'ghair Uski Iqteda Me Nahin Ho Sakti Aur Auraton Ki Awaaz Agarche Baaz Logon Ke Nazdeek Satar Hai ,Lekin Wah Mardon Ke Haq Me Hai, Na Aurton Ke Haq Me

(Majmua Al Fatawa 1/217)

Baherhaal Aurtein Agar Jamat Ke Saath Namaz Padhen Gi Toh Jahri Namaz Me Jaher Qirat Aur Takbeer Jaiz Hoga

(Namaz Masnoon Page 471)

Sawal- 8

Unhe Bhi Nange Sar Namaz Padhne Aur Nez Kuhniyan Aur Takhne Khol Kar Namaz Padhne Ki Ijaazat Honi Chahiye

Jawab-

Pahli Baat Ka Radd Toh Aapki Darj Karda Hadith Number 12 Se Hota Hai, Baaqi Dono Baaton Ka Jawab Ye Hai Ke

Hz Abdullah Bin Masood (Ra) Rawi Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

" Aurat Ka Saara Badan Hi Satar Hai"

(Tirmizi Hadith No 1173)

Sawal- 9

Unke Liye Bhi Jamat Me Shirkar Zaroori Honi chahiye

Jawab-

Unhe Allah Tala Aur Nabi E Akram (Sws) Ne Rukhsat Di Hai

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Rawi Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Ke Jab Tum Mese Kisi Ek Ki Aurat Masjid Me Jaane Ki Ijaazat Talab Kare Toh Wah Use Na Roke"

(Bukhari Hadith 873)

Ye Hadith Is Baat Ki Daleel Hai Ke Masjid Me Ba'jamaat Namaz Ada Karne Ki Daawat Ki Rukhsat Hai, Azeemat Nahin,

Sawaal - 10

Unke Liye Juma Eidain Ki Namaz Waajib Honi Chahiye

Jawab-

Aurton Par Juma Waajib Nahin Iski Saraahat Khud nabi E Akram (Sws) Ne Ki Hai, Jaisa Ke Hz Tariq Bin Shahab (Ra) Se (Abu Dawood Hadith No 1067) Me,

Hz Tamimdari (Ra) Se (Dar e Kutni 2/3) Me, Hz Abu Hurairah Se (Tibrani Hadith No. 7706) Me Marfu Hadith Marwi Hai,

Baqi Raha Namaz E Eidain Ke Mutaalliq Sawaal Toh Iske Mutaalliq Arz Hai Ke Namaz Eid Ke Huqm Ke Mutaalliq Ikhtelaaf Hai,

Imam Abu Hanifa (Ra) Waajib Kahte Hain, Imam Shafai Aur Imam Malik Sunnat Kahte Hain, Aur Imam AhmAd Ke Nazdeek Farz Kifaaya Hai

(Hidaya 1/118, Sharah Wiqaaya 1/127, Durre Mukhtaar 1/114)

In Me Sahih Ye Hai ke Namaz E Eidain Waajib Hai, Tafseel Ke Liye

(Mirqaat 5/22) Padhen,

Jab Apne Is Baat Ko Samjh Liya Toh Ab Suniye Ke Aurton Par Bhi Namaz Eid Waajib Hai,

Daleel Iski Ye Hai Ke Isko Padhne Ke Liye Aurton Ko Eidgaah Me Haajir Hone Ka Rasoollullah (Sws) Ne Huqm Diya Hai

(Bukhari Hadith No 974)

Aur Huqm Se Wajoob Sabit Hota Hai,

Lijiye Janab Ye Hain Muqallid Anwar Sahab Ke Sawalaat Ke Jawabat....

Allah Tala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaaye...... Aameeen