Bismillahirrahmanirraheem
JIN ASHYA KI TIJAARAT HARAM HAI : (PART-1)
SHARAB:
Hz Jabir (ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Be'shaq Allah Tala Ne Sharab, Khinzeer Aur Buton Ki Tijaarat Haram Ki Hai"
Kisi Ne Daryaaft Kiya
"Aiy Allah Ke Rasool ! Murdaar Ki Charbi Ke Mutaalliq Kya Huqm Hai ? Isse Qastiyon Ko Polish Kiya Jata Hai Aur Chamdon Ko Chikna Kiya Jaata Hai Aur Log Use Jalakar Roshni Haasil Karte Hain"
Aapne Farmaya:- "Nahin Wah Bhi Haram Hai"
(Arwa Ul Ghaleel 1290, Abu Dawood 3486, Ibn Majah 2167, Tirmizi 1297)
Sharaab Ki Khareed Wa Farokht Karne Wala Ya Use Bechne Wala Ya Use Peene Waala Hi Mujrim Nahin Balke Uske Kaarobaar Ke Saath Kisi Tarah Ka Taalluq Rakhne Waala Laanati Aur Gunaah'gaar Hai,
Chunanche Ek Riwayat Me Hai Ke
"Rasoollullah (Sws) Ne Sharab Ke Silsile Me 10 Aadmion Par Laanat Farmaayi Hai
1- Sharab Nichorne Wala
2-Nichudwaane Wala
3- Peene Wala
4- Uthaane Wala
5- Jiske Paas Uthakar Le Jaayi Jaaye
6- Pilaane Waala
7- Bechne Wala
8- Qeemat Khaane Wala
9- Khareedne Wala
10- Jiske Liye Khareedi Jaaye"
(Sahih Targheb 2357, Gaytul Maram 60, Tirmizi 1290, Ibn Majah 3381)
SHARAB BANAANE WAALE KO ANGOOR WAGERAH KI FAROKHT:
Jaan Bhookhkar Aise Shakhs Ko Angoor Farokht Karna Jo Uski Sharab Banaata Ho, Jayez Nahin,
Agarche Yah Riwayat Zaeef Hai Jisme Us Tijaarat Ki Waazeh Taur Par Hurmat Ka Zikr Hai
(Zaeef Jidan : Gaaytul Maram 62, Silsila Uz Zaeefa 1269, Tibrani 5/294)
Lekin Ye Kaam Gunaah Ke Kaam Me Ta'aawun Ki Wajah Se Hi Haram Hai Jaisa Ke Irshaad Baari Tala Hai
"Aur Gunah Wa Shar'kashi Ke Kaamon Me Ek Dusre Ka Ta'aawun mat Karo"
(Surah Maida 2)
Albatta Agar Yah Ilm Na Ho Ke Khareedne Wala Kya Karna Chaahta Hai Toh Fir Koi Harj Nahin, Sharab Ke Elaawa Deegar Ashya Ka Bhi Yahi Huqm Hoga,
Maslan Aise Shakhs Ko Aslaha (Weapo N) Farokht Karna Haram Hai Jo Usse Na'haq Logon Ko Qatal Karne Ya Chori Aur Daaka'zani Ya Musalmano Ke Khilaaf Ya Kisi Bhi Na'jayez Kaam Ke Liye Istemaal Karna Chaahta Ho, Lekin Agar Yah Ilm Na Ho Toh Fir Kisi Ko Bhi Aslaha Farokht Kiya Ja Sakta Hai,
TAMAM NASHA'AWAR ASHYA KI KHAREED WA FAROKHT:
Chunke Sharab Ki Hurmat Ka Sabab Nasha Hai Isliye Har Wah Cheez Haram Hogi Jisme Nasha Ka Wasf Ho Chaahe Zyada Ho Ya Kam Aur Chaahe Uska Naam Aur Rang Koi Bhi Ho,
Lihaaza Heroine, Charas, Afeem Aur Bhaang Etc Jitni Tamam Nasha'awar Aur Ashya Ki Khareed Farokht Haram Hai,
Qata'nazar Iske ke Ye Ashya Thodi Miqdaar Me Nasha Karti Hai Ya Zyada,
Kyonke Jab Ye Saabit Hai Ke Un Ashya Ka Zyada Istemaal Nasha Paida Karta Hai Toh Unka Thoda Istemaal Bhi Haram Hai, Kyonke Farmaan E Nabawi Hai Ke
"Jis Cheez Ki Zyadah Miqdaar Nasha Kare Uski Thodi Miqdaar Bhi Haram Hai"
(Gaytul Maram 58, Nisaai 5607)
BA'TAUR E DAWA (MEDICINE) SHARAB KI KHAREED WA FAROKHT:
Sharab Ka Ba'taur Dawa Istemaal Ya Ba'taur E Dawa Uski Khareed Wa Farokht Bhi Jayez Nahin Kyonke Ek Riwayat Me Hai Ke
Nabi E Akram Sallalahi Alaihi Wasallam Se Sharab Ko Ba'taur E Dawa Istemaal Karne Ke Mutaallik Daryaaft Kiya Gaya Toh Aapne Farmaaya
"Ye Dawa Nahin Balke Bimaari Hai"
(Sahih Tirmizi 2046, Ibn Majah 3500)
Aur Ek Dusri Riwayat Me Aap (Sws) Se Ye Alfaaz Manqool Hain
"Nahin Use Ba'taur E Dawa Bhi Istemaal Nahin Kiya Ja Sakta Balke Ye Toh Khud Bimaari Hai"
(Sahih Abu Dawood 3873)