Sunday, November 30, 2014

BIWI KO ACCHHAI ME SHAUHAR KI FARMA'BARDARI KARNA :




Bismillahirrahmanirraheem


SHAHAR KE HUQOOQ (rights)


Shauhar Ke Bhi Biwi Ke Zimme Kuch Huqooq Hain Jo Is Qur'ani Ayat Jo Surah Baqarah 228 Me Mazkoor Hai,

Aur Is Farmaan E Nabawi (Sws)

"Yaqinan Tumhare Liye Tumhari Biwion Ke Zimme Huqooq Hai"

(Sunan Tirmzi Hadith No 1163, Sunan Ibn Majah Hadith No. 1851)

Se Saabit Hain Jinhe InShaAllah Series Me Post Kiya Jaayega Jis Tarah Biwi Ke Huqooq Post Kiye Gaye Hain...


1- BIWI KO ACCHHAI ME SHAUHAR KI FARMA'BARDARI KARNA :


Islami Baheno ! Tum Par Tumhare Shauhar Ki Acchaayi Me Farma'bardari Karna Farz Hai,


Hz Abu Hurairah (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya


"Agar Aurat 5 Namazein Ada Kare, Apni Sharm'gaah Ki Hifaazat Kare, Aur Apne Shauhar Ki Farma'bardari Kare, Toh Jannat Ke Jis Darwaaze Se Chaahegi Daakhil Ho Jaayegi"

(Musnad Ahmad Hadith No. 1664, Ibn Majah Hadith No 1296)


#‎UmairSalafiAlHindi‬
‪#‎IslamicLeaks‬