Tuesday, November 25, 2014

WITR - FARZ YA WAAJIB NAHIN BALKE SUNNAT HAI: (MUQALLIDEEN KE SHUBUHAAT KA JAWAAB): PART- 1

Bismillahirrahmanirraheem

WITR - FARZ YA WAAJIB NAHIN BALKE SUNNAT HAI: (MUQALLIDEEN KE SHUBUHAAT KA JAWAAB): PART- 1


Hz Imam Sayeed Bin Yasaar (Rh) Farmate Hain Ke

"Main Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Ke Saath Makka Mukarrama Ke Raaste Me Chal Raha Tha, Jab Mujhe Tule E Fajr Ka Khadsa Hua Toh Main Sawaari Se Utraa Aur Witr Padh Kar Unke Saath Jaa Mila"

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Ne Kaha Ke Aap Kahan Rah Gaye They ??

Maine Kaha Ke Mujhe Tulu E Fajr Ka Andesha Hua Aur Maine Utar Ka Witr Padha,

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Kahne Lage Ke

"Kya Aapke Liye Rasool E Akram (Sws) Ka Uswa Hasana Nahin ??"

Maine Kaha :- "Kyun Nahin Allah Ki Qasam !"

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Ne Kaha Ke Rasoollullah (Sws) Oont Par Sawaar Rah Kar Ki Witr Padh Liya Karte They"

(Sahih Bukhari Kitab Ul Witr 999, Muslim Kitab Ul Musaafireen Hadith No.1615)

Imam Salim (Rh) Farmate Hain Ke Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Safar Ki Halat Me Raat Ke Waqt Janwar Ke Oopar Hi Namaz Padh Lete They, Aur Kuch Parwaah Na Karte Ke Uska Munh Ki Taraf Hai,

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Farmate Hain Ke

"Rasoollullah (Sws) Bhi Nafil Namaz Ootni Par Ada Farma Liya Karte They, Khwaah Uska Munh Kis Taraf Bhi Hota, Aur Witr Bhi Sawaari Par Hi Padh Liya Karte They, Sirf Farz Namaz Sawaari Par Na Padhte They"

(Sahih Bukhari Kitab Ul Takseer Hadith. 1098, Sahih Muslim Kitab Salat Ul Musaafireen Hadith 1618)

3- Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Bayaan Karte Hain Ke Rasoollullah (Sws) Safar Me Raat Ko Namaz (Tahajjud) Apni Oontni Par Hi Ishaare Se Padha Karte They, Magar Farz Namazein (Oontni Se Utar Kar Padha Karte Aur) Witr Sawaari Par Hi Padhte They

(Bukhari Kitab Ul Witr Fi Safar hadith No. 1000)

4- Imam Ibn Shahab (Rh) Bayan Karte Hain Ke

Ek Din Hz Umar Bin Abdul Aziz (Rh) Ne (Asr Ki Namaz Awwal Waqt Se) Der Ki Toh Hz Urwa Bin Zubair Unke Paas Pahunche Aur Unse Kaha Ke

"Sayyedena Mugheerah Bin Shoyba (Ra) Ne Mulk Iraq Me Namaz Me Der Ki Toh Unke Paas Sayyedena Abu Masood Ansari (Ra) Gaye Aur Unse Kaha Ke

Mugheerah Ye Tum Kya Karte Ho, Kya Tumko Malum Nahin Ke (Meraj Ki Subah Ko) Sayeedena Jibreel (As) (Namaz Sikhaane Ke Liye Utre) Unhone Namaz Padhi Aur Rasoollullah (Sws) Ne (Unki Iqteda Me) Namaz Padhi,

Fir Unhone Namaz Padhi Aur Rasoollullah (Sws) Ne (Unki Iqteda Me Namaz Padhi),

Fir Sayyedena Jibreel Ne Kaha Ke Mujhe Aisa Hi Hukm Hua"

Sayyedena Umar Bin Abdul Aziz (Rh) Ne Hz Urwa Bin Zubair (ra) Se Kaha Ke

"Aap Zara Samjh Le Ke Tum Hadith Bayaan Karte Ho Ke Hz Jibreel (As) Ne Rasoollulah (Sws) Ke Liye Namazon Ke Auqaat (Waqt) Muqarrar Kiye"

Hz Urwah Bin Zubair Ne Kaha Ke

"Sayyedena Basheer (ra) apne Waalid Abu Masood Ansari (Ra) Se Aise Hi Riwaayat Karte They"

(Bukhari Hadith 521)

5- Sayyedena Abu Masood (Ra) Raawi Hain Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya Ke

"Hz Jibreel Ne Utar Kar Meri Imamat Karwaayi Yahan Tak Aap (As) Ne 5 Namazon Ko Shumaar Kiya"

(Musannif Ibn Ab Shayba 1/319)

6- Hz Anas (Ra) Bayan Karte Hain Ke

"Ek Shakhs Ne Rasoollullah (Sws) Se Poocha Ke Allah Tala Ne Apne Bandon Par Kitni Namazein Farz Ki Hain ?"

Aap (Sws) Ne Farmaya

"Allah Tala Ne Apne Bandon Par 5 Waqt Ki Namazein Farz Ki Hain"

Wah Shakhs Bola Aiya Allah Ke Rasool (Sws) ! Un Namazon Ke Aage Ya Peeche Koi Namaz Farz Hai ??

Aap (Sws) Ne Farmaya

"Allah Tala Ne Apne Bandon Par 5 Waqt Ki Namazein Farz Ki Hain"

Us Shakhs Ne Qasam Uthayi Ke Main in Namazon Me Na Badhaunga Aur Na Ghataunga,

Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Agar Isne Sach Kaha Toh Jannat Me Jaayega"

(Sunan Nisai Kitab Ul Salat Hadith 460, Musnad Ahmad Jild 3 Page 267, Mustardarak 1/201, Sahih Ibn Habban 1444)

7- Imam Abdullah Bib Sanabihi Farmate Hain Ke Abu Muhammad Ka Ghuman Hai Ke Witr Waajib Hai Toh Sayyedena Ubada Bin Saamit (Ra) Ne Farmaya Ke

"Abu muhammad Ne Khata (Ghalti) Ki Hai,"

Maine Rasoollullah (Sws) Se Suna Ke Aap (Sws) Farmate They Ke

"Allah Tala Ne 5 Namazein Farz Ki Hain, Jo Shakhs Acchi Tarah Unke Liye Wuzu Karega Aur Waqt Par Har Ek Namaz Padhe Aur Ruku Wa Sujood Poora Kare Aur Khusu Se Padhega Toh Allah Tala Ke Yahan Uske Liye Ahad Hai Ke Use Bakhs De,

Aur Gar Aisa Na KareGa Toh Allah Tala Par Koi Ahad Nahin Chaahe Toh Maaf Kar De Ya Azaab Kare"

(Abu Dawood Kitab Us Salaat Hadith No.425, Musnad Ahmad Jild 5 Page 317-322)

8- Hz Abdullah Bin Abbas (Ra) Raawi Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Mujhe Chaast Ki Namaz Aur Witr Ka Huqm Diya Gaya Hai Magar Farz Nahin Ki Gayi"

(Musnad Ahmad 1/232) 



9- Hz Anas (Ra) Bayaan Karte Hain Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya Ke

"Mujhe Witr Aur Aazah Ki Namaz Ka Huqm Diya Gaya Hai Magr Mujh Par Laazim Nahin Ki Gayi"

(Musannif Abdurrazzaq 3/5 Hadith No. 4572)

Note : Uper Ki 2 Hadith Jo Musannif Abdurrazaq Aur Musnad Ahmad Ki Riwaayat Shakht Zaeef Hain, Tafseel Ke Liye Dekhiye (Talkhees Al Habeer 2/18), Hamara In Hadith Se Istadlal Nahin Aur Na Hi Unhe Shwahid Me Pesh Karte Hain,

Ye Sirf Deobandi Muqallid Anwar Sahab (Musannif Hadith Aur Ahle Hadith) Par Hujjat Hain Ke Wah Baaz Zaeef Riwaayaat Ka Sahara Le Kar Wajood Witr Ka Daawa Karte Hain, Lekin Sahih Aur Zaeef Riwaayat Ki Bina Par Adam Wa Wajoob Aakhir Kyun Tasleem Nahin Karte ??

10- Hz Jabir Bin Abdullah (Ra) Bayan Karte Hain Ke Hamne Nabi E Akram (Sws) Ke Saath Ramzan Ul Mubarak Me Namaz (Taraweeh) 8 Rakat Aur Witr Padhe,

Jab Agli Raat Aayi Toh Ham Masjid Me Khade Rahe Hatta Ke Subah Ho Gayi,

(Subah) Hamne Kaha Ke:

"Ya Rasoollullah (Sws) ! Ham Aapke Intezaar Me Rahe Ke Aap Aate Hain Toh Namaz Ba'jamaat Padhen"

Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya Ke

"Mujhe Pasand Nahin Ya Farmaya Ke Mujhe Khadsa Tha Ke Namaz Witr Tum Par Farz Na Ho Jaaye"

(Sahih Ibn Habban 5/64 Hadith No. 2406, Sahih Ibn Khazeema 2/138 Hadith No. 1070)

11- Hz Ali (Ra) Farmate Hain Ke

"Witr Farz Namaz Ki Tarah Laazim Nahin Balke Rasoollullah (Sws) Ki Sunnat Hai"

(Sunan Nisaai Kitab Qayamullail Hadith. 1677, Tirmizi Kitab Us Salaat Hadith No. 456, Musnad Ahmad 1/86-98)

12- Sayyedena Ubada Bin Saamit (Ra) se Witr Ke Mutaaliq Sawal Hua Toh Unhone Farmaya Ke

"Ye Ek Bahtareen Amal Hai Jo Nabi E Akram (Sws) Ne Aur Apke Baad Musalmano Ne Kiya Hai, Magar Wajib Nahin"

(Qayam ul Lail Page 197)

13- Imam Sha'abi (Rh) Farmate Hain Ke

"Witr Nafil Hain Aur Tamam Nafil Se Sharf Waale Hain"

(Qayam Ul Lail pg 197)

14- Imam Muhammad (Rh) Farmate Hain Ke

"Mujhe Malum Nahin Ke Nawafil Me Unse Zyada Bhi Koi muhtaram Hain, Witr Aur Subah Ki Namaz Se Pahle Ki 2 Rakat (Sunnat) Ko Khaas Taur Par Na Chhoda Jaaye, Wah Pasand Karte They Ke Namaz Ke Aakhir Me Witr Padhen Aur Din Ki Namaz Subah Se Pahle 2 Rakat (Sunnat) Ada Karen"

(Qayam Ul Lail pg 197)

15- Imam Jareej (Rh) Farmate Hain Ke Maine Hz Ata Bin Rabah (Rh) Se Sawaal Kiya Ke Kya Main Bimari Ki Wajah Se Namaz Baith Kar Padh Sakta Hoon ??

Aapne Farmaya:-"Haan ! Agar Tu Chaahe, Kyonke Witr Nafil Hai"

(Qayam Ul Lail Pg 197)..

Bhaiyyon ! Mazkoor Hadith Wa Aasaar Aur Aqwaal Tabain Se Saabit Hai Ke Witr Ki Namaz Farz Wa Waajib Nahin Balke Nawaafil Raabta Hai,

Poori Bahes Aur Tamam Dalail Ka Ek Baar Khulaasa Nikaal Diya Jaaye Toh Awaam Un Naas Ke Liye Mufeed Rahega

1- Meraj Ki Raat Me Namazen 5 Farz Ki Gayi,

2- Meraj Ki Raat Ke Agle Din Hz Jibreel (As) Taaleem Namaz Ke Liye Naazil Hue Toh 5 Hi Namaz Ki Taaleem Di,

3- Nabi (Sws) Ne Bhi 5 Hi Namazon Ki Taleem Di, Aur Padhne Waale Ko Jannat Ki Basharat Bhi Sunaayi, Aur Jab Aakhiri Daur Me Aapne Hz Maaz Bin Jabal (Ra) Ko Yemen Ki Taraf Bheja Toh Aap (Sws) Ne Talqeen Ki Ke Qalima E Tawheed Ke Baad Logon Ko 5 Namazon Ki Taleem Dena,

Unhi Ahadith Ke Pesh E Nazar Maroof Sahabi Hz Sayyedena Ubada (Ra) WajooB Witr Ki Nafi Karte Hain, Aur Wajood Witr Ke Qaayelen Par Unhe Hadith Ko Ba'taur Hujjat Pesh Karte Hain,

4- Sayyedena Hz Ali (As) Witr Ki Farziyat Ki Nafi Karte Hain Aur Sunnat Bataate Hain, Ye Hadith Goya Hz Ali (Ra) Ka Qaul Hai Magar Hukman Marfu Hai,

5- Jis Raat Aap (SWS) Ne Namaz E Taraweeh Ada Karne Ke Liye Tashreef Na Laaye, Sawaal Karne Par Ye Azar Bayaan Kiya Ke Mujhe Witr Ke Farz Hone Ka Khadsa Tha Lihaza Tark Kar Di, Goya Tark Ka Sabab Namaz Witr Ka Farz Hona Tha,

6- Inhi Dalail Wa Baraheen Ki Bina Par Sahaba Kiram , Tabain Azzam Aur Jamhoor Ummat E Marhooma Wajood Witr Ke Bajaaye Witr Ke Sunnat Hone Ke Qayel Hain,

FARZ AUR WAAJIB KA FARQ:

Jamhoor ummat Ke Nazdeek Farz Wa Sunnat Ke Darmiyaan MamoorBa Ka Koi Darja Nahin, Unke Nazdeel Farz Aur Waajib Ek Hi Cheez Hai,

Jabke Hanafi Unme Farq Ke Qayel Hain Unke Yahan Farz Wo Hai Jiska Lazoom Daleel Qatai Se Saabit Ho Aur Waajib Wah Hai Jo Daleel Zani Se Saabit Ho,

Fir Hanafi Ke Nazdeek Farz Ki 2 Qismein Hain

1- Farz Almi
2- Farz Amli,

Aur Witr Ko Farz Amli Kahte Hain Aur Almi Lihaaz Se Waajib Qaraar Dete Hain

(Fatawa Shami 2/3)...


Goya Amli Lihaaz Se Witr Ko Farz Kahte Hain Magar Daleel Qatai Ke Adam Ki Wajah Se Wajib Kahte Hain,

Yahi Wajah Hai Ke "Hadith Aur Ahle Hadith" Ke Musannif Janab Anwar Sahab Ne Hadith


"Innallah Amr Kam Bissalaat" Se Daleel Pakdi Hai,

Khulaasa Ye Hai Ke Hanafiyah Ke Nazdeek Witr Farz Amli Hai,

Yahan Par Ek Lateefa Zikr Karna Zaroori Hai, Tasfeel Iski Ye Hai Ke

Imam Abu Hanifa (rh) Ke Paas Ek Aadmi Aaya, Usne Farz Namazon Ki Tadaad Poochi, Imam Abu Haneefa (Rh) Ne Jawab Diya Ke 5 Namazein Farz Hain,

Usne Is Par Kaha Ke Aapke Nazdeek Witr Ka Huqm Kiya Hai, Imam Sahab Ne Farmaya Witr Farz Hain,

Us Shakhs Ne Kaha Farz Namazein Kitni Hain ??

Imam Sahab Ne 5 Bataayi,

Usne Kaha Ke Inko Shumaar Karke Bataayen,

Imam Sahab Ne, Fajr, Juhar, Asr, Maghrib Aur Isha Ki Namazein Gin Di, Usne Fir Poocha Ke Farz Namazon Ki Tadad Kitni Hai ??

Imam Sahab Ne 5 Bataayi,

Is Par Wah Uth Khada Hua Aur Kahne Laga Ke Aapko Toh Hisaab Bhi Acchi Tarah Nahin Ata

(Qayamul Lail Page 198)

Maulana Banoori Farmate Hain Ke

"Isse Gar Farz E Amli Muraad Liya Jaaye Toh Tab Koi Harz Nahin Hai"

(Mu'arifus Sunan jild 4 Page 172)

Is Tafseel Se Malum Hua Ke Hanafion Ke Nazdeek Witr Farz Hi Hai,

Lihaza Hz Shah Sahab Ka Aur Unki Pairwi Me Maulana Usmani Ka Ye Kahna Ke

"Wajoob Witr Aur Sunnat Witr Ka Ikhtelaaf Mahaz Lafzi Hai"

(Faizul Bari Jild 2 Page 345)....

To Be Contiuned...