Monday, October 27, 2014

SHIA AUR AHLE BAYT- (PART-3)









Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR AHLE BAYT- (PART-3)


Shia Musannif Ibn Qaimi Jiska Laqab Sadooq Hai Apni Kitab Me (Jo Inki Sihah Arba Me Shumaar Ki Jaati Hai) Is Qaul Ko Nabi E Akram (Sws) Ki Taraf Mansoob Karta Hai Aur Riwayat Naqal Karta Hai Ke

Jabir Bin Abdullah Ansari (Ra) Ne Ek Din Sawaal Kiya

"Ya Rasoollullah (Sws) ! Hamara Ye Haal Hai Toh Aap (Sws) Ka Kya Haal Hoga, Aur Aap (Sws) Ke Baad Jo Wasi Paida Honnge Unka Kya Haal Hoga ??"

Nabi (Sws) Kuch Der Khamosh Khade Rahe Aur Fir Farmaya

"Aiy Jaabir Tumne Badi Baat Poochi Hai Aur Iska Mustahmal Wahi Ho Sakta Hai Jise Bahut Zyada Rahmat Se Nawaaza Gaya Ho, Yaqeenan Ambiya Aur Wasia Azmat e Khuda'wandi Ke Noor Se Paida Hue Hain, Khuda Unhe Paakeezah Pushton Aur Pakeeza Rehamon Me Wadiyat Karta Hai, Unki Hifaazat Khuda Ke Farishte Karte Hain, Unki Parwarish Khuda Ki Hikmat Se Ki Jaati Hai, Ilm Khda'wandi Ki Ghiza Di Jaati Hai, Unki Poori Tareef Nahin Ki Ja Sakti, Unke Ahwaal Tum Nahin Samjh Sakte, Kyonke Wah Zameen Par Khuda Ke Sitaare Hain, Kaaynaat Me Uski Nishaaniya Hain, Uske Bandon Par Hukmaran Hain, Unke Noor Se Shaher Roshan Hain, Uski Makhlooq Par Hujjat Hain,

Aiy Jaabir ! Ye Makhfi Ilm Aur Khazana Hai, ISe Iske Ahl Ke Siwa Poseeda Rakhna"

(Man Hajrah Al Faqeeh 4/414- 415 Bab Ul Nawa Fi Ahwaal An Ambiya Walaad Wasia Fil Waladah)

Shia Musannif Kulaini Likhta Hai Ke

"Mansab E Imamat Nubuwwat, Risaalat Aur Khillat Se Bhi Bila'tar Hai"

Apne 6th Imam Jafar Bin Muhammad Bakar Ki Taraf Jhooti Nisbat Karke Ye Riwayat Bayan Ki Ke

" Khuda Ne Pahle Ibraheem Ko Abd Banaya, Phir Nabi Banaya, Pahle Nabi Banaya Fir Rasool Banaya, Pahle Rasool Banaya Fir Khaleel Banaya Aur Pahle Khaleel Banaya Tab Imam Banaya"

(Hujjatul Man Usool 1/175)

Kulaini Abu Abdullah Se Ek Aur Riwayat Bayan Karta Hai

"Jo Ali (As) Lekar Aayen Hain, Use Apna Lo Aur Jisse Unhone Mana Kiya Hai Ruk Jao, Un (Ali) Ko Aisi Fazeelat Di Gayi Hai, Jaisi Fazeelat Muhammad (Sws) Ko Di Gayi Hai, Aur Muhammad (Sws) Tamam Makhlookaat Me Afzal Hain,

Ali Ke Ahkamaat Mese Kisi Cheez Par Bhi Nukta'cheeni Karna, Unki Kisi Chhoti Ya Badi Baat Ko Radd Karna Khuda Ke Saath Shirk Karne Ke Baraabar Hai,

Ameerul Momineen (As) Ek Aisa Darwaaza Hain Ke Usse Ghuzar Kar Nabi Ke Paas Pahuncha Ja Sakta Hai, Jo Unke Raaste Ho Chhidkar Dusre Raaste Par Chala, Halaaq Hua,

Usi Tarah Ek Ke Baad Dusre Aane Waale Tamam Ambiya Ko Fazeelat Di Gayi Hai, Khuda Ne Unhe Zameen Ke Sutoon Banaya Hai Jispar Ahle Zameen Baste Hain, Wah Zameen Ke Uper Aur Pataal Ke Neeche Khuda Ki Hujjat Hain,

Ameerul Momineen (As) Aksar Kaha Karte They, Main Jannat Aur Dojakh Ka Taqseem Karne Wala Hoon, Main Farookh E Akbar Hoon Aur Main Hi Sahab E Kaha (Hz Moosa Ka Laqab) Hoon,

Mere Baare Me Tamam Farishton, Jibrael Tamam Rasoolon Ne Aisa Hi iQarar Kiya Hai, Jaisa Iqrar Muhammad (Sws) Ke Liye Kaha Tha, Mujhpar Waisi Hi Cheez Naazil Ki Gayi Hai, Jaisi Muhammad Sallalahi Alaihi Wasallam Par Naazil Ki Gayi Thi, Jo Rabb Ki Taraf Se Naazil Shuda Hai,

Rasoollullah (Sws) Dua Karte They Toh Ata Kiya Jaata Tha, Main Dua Karta Hoon Toh Ata Kiya Jaata Hai, Wah Bhi Uske Kalaam Se Ghuftughu Karte They, Main Bhi Uske Kalaam Se Ghuftughu Karta Hoon, Mujhe Aisi Khoobiyan Di Gayi Hain Jo Mujhse Pahle Kisi Ko Nahin Di Gayi, Mujhe Aafaton Aut Museebaton Ka Ilm Diya Gaya Hau, Insaab Aur Fazal E Khitaab Ka Ilm Diya Gaya Hai, Jo Meri Nazaron Se Ojhal Hai"

Is Tarah Bhi Bahut Si Riwayat Shia Kitabon Me Bhari Padi Hain Ham Ispar Hi Iktefa Karte Hain,

Al'gharz Ye Tasawwur Hai Aimma Ka Shia Ke Yahan Aur Ye Wah Giroh Hai Jiske Baare Me Wah Samjhte Hain Ke Ye Unse Muhabbat Karne Waale Hain,

Apne Aapko Unki Taraf Mansoob Karte Hain Aur Ye Ahle Bayt Hain Jinki Pairwi Karne, Unke Afkaar Wa Khyalaat Ko Apnaane, Unke Aqwaal Wa Fa'al Par Amal Karne Aur Unke Ahkamaat Aur Fatwon Ki Itteba Karne Ki Wajah Se Log Unse Na'khush Hain,

Ye Tamam Aqwaal Wa Riwayaat Aur Daawe Shia Hazraat Ki Apni Kitaabon Aur Unke Apne Alfaaz Me Naqal Kiye Gaye Hain,

Haasil Kalaam Ye Hai Ke Shia Ek Aisa Tabqa Wa Giroh Hain Jo Hz Ali (ra) Aur Aulaad E Ali (Ra) Me Se 11 Aadmion Ki Pairwi Ka Daawa Karta Hai, Unhe Allah Ke Nabion Aur Rasoolon Jaisa Masoom Balke Unse Aur Allah Ke Muqarrib Farishton Se Bhi Zyada Afzal Samjhta Hai,

Ye Log Daawa Karte Hain Ke Unka Mazhab Unhi (Ahle Bayt) Ke Afkaar Wa Khyalaat Par Mabni Hai,

Is Bahes Me Ye Baat Waazeh Ho Chuki Hai Ke Ahle Bait Se Nabi (Sws) Ke Ahle Bayt Harghiz Muraad Nahin Khud In Logon Ne Is Baat Ki Nafi Ki Hai,

Jahan Tak Daawa Ahle Bayt Ali (Ra), Un Mese Chand Makhsoos Hazraat Ki Pairwi Wa Ita'at Ka Taalluq Hai Unke Baare Me InShaAllah Aage Post Me Bayaan Karenge...