Thursday, October 30, 2014

DIFA E ISLAM ME HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) KI KOSHIHSH





Bismillahirrahmanirraheem

DIFA E ISLAM ME HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) KI KOSHIHSH


Sayyedena Umar Farookh (Ra) Farmate Hain

"Jis Roz Maine Islam Qubool Kiya, Usi Waqt Main Baitullah Me Gaya Aur Apne Islam Ka Ba'baang Dahal Elaan Kar Diya, Kuch Log Mujhse Ladne Ke Liye Uthe,

Maine Bhi Unka Muqaabla Shuru Kar Diya, Jab Mere Mamu Ne Ye Manzar Dekha Toh Bola

Ye Kaun Log Hain ??

Logon Ne Kaha

"KhattaB Ka Beta Be'deen Ho Gaya Hai,"

Mera Mamu Hateem Me Khada Hua Aur Bola

"Maine Apne Bhaanje Ko Panaah De Di Hai, Koi Uske Nazdeek Na Aaye"

Mere Mamu Ka Elaan Sunkar Log Peeche Hat Gaye"

Main Dekh Raha Tha Ke Musalmano Ko Unke Islam Ki Wajah Se Zabardast Aziyat Di Ja Rahi Hai, Jabke Mujhe Koi Nahin Maar Raha,

Maine Apne Dil Me Kaha

"Maseebaton Ke Jo Pahaad Ghareeb Musalmano Par Tode Ja Rahe Hain, Wah Mujhpar Bhi Tootne Chahiye"

Main Thodi Der Thaher Gaya, Jab Log Dobara Hateem Me Baith Gaye Toh Main Apne Mamu Ke Paas Aaya Aur Unse Kaha

"Suno !"

Wah Bola:- " Main Kuch Nahin Sun Raha"

Maine Kaha :-"Main Tumhe Tumhari Panaah Waapas Karta Hoon"

Wah Bola:-"Mere Bhaanje ! Aisa Mat Kar.."

Maine Kaha :- "Main Tumhari Panaah Tumhe Waapas Karta Hoon"

Wah Bola :- " Toh Fir Jo Chaaho Karo"

Iske Baad Se Yahi Hota Raha Ke Kabhi Quraish Mujhe Maarte Aur Kabhi Main Quraish Ko Maarta

Islam Ke Ghalbe Tak Yahi Soorat E HaaL Rahi

(Sharah Mawahib 1/320, Tareekh ibn Asaakir, Asadul Ghaba 4/55)

#Islamicleaks
#UmairSalafiAlHindi