Sunday, October 26, 2014

SHIA AUR AHLE BAYT- (PART-2)






Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR AHLE BAYT- (PART-2)


Jahan Tak Shia Hazraat Ka Talluq Hai Wah Iske Bar'ashq Chalte Hain, Aur Ahle Bayt Un Nabi Ko Sirf Chaaron Hz Ali, Fatima, Hasan Wa Hussain (Ra) Tak Mahdood Samjhte Hain Aur Inke Elawa Kisi Ko Ahle Bayt Nahin Samjhte,

Ek Aur Dilchasp Nukta Ye Hai Ke Husnain (Ra) Ko Chhod Kar Hz Ali (Ra) Ki Baaqi Saari Aulaadon Ko Ahle Bayt Se Khaarij Samjhte Hain,

Inke Nazdeek Hz Ali (Ra) Ki Aulaad Muhammad Bin Hanfiya (Ra), Abu Bakr, Umar, Usman, Abbas ; Zafar, Abdullah, Abdullah Wagerah 12 Bete Aur 18 Ya 19 Betiyan (Ba'ikhtelaaf E Riwayat) Sab Ahle Bayt Se Kharij Hain,

Shia Rasoollullah SallalahO Alaihi Wasallam Ki Beti Hz Fatima (Ra) Ko Bhi Ahle Bayt Mese Nikaal Dete Hain,

Kyonki Wah Aap (Sws) Ki Betion, Zainab, Umme Kulsum Aur Unki Aulaadon Ko Ahle Bayt Mese Nahin Samjhte,

Ye LAteefa Bhi Khoob Hai, Aisa Hi Wah Hz Ali (Ra) Ke Bete Hz Hasan (Ra) Ke Saath Bhi Karte Hain Aur Unki Aulaad Ko Bhi Ahle Bayt Me Daakhil Nahin Samjhte,

Isi Par Bas Nahin, Isse Zyada Dilchasp Baat Ye Hai Ke Hz Hussain (Ra) Ki Har Har Aulaad Ko Ahle Bayt Se Khaarij Kar Dete Hain Jo Unke Be'buniyaad Maslak Ki Pairwi, aur Unki Man'chahi Baaton Par Chalne Se Inkaar Karta Ho,

Hz Hussain (Ra) Ki Aulaad Mese Bahut Se Logon Par Unhone Jhoota, Fasiq Wa Faajir Aur Kafir Wa Murtad Hone Ke Fatawe Lagaaye Hain,

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Chacha Zaad Bhaiyyon, Phoopion Aur Unki Aulaad Ko Gaaliyan Din Aur Kaafir Tak Kaha Hai,

Hatta Ke Hz Ali (Ra) Ko Chhodkar Abu Talib Ki Dusri Aulaad Ke Saath Bhi Yahi Bartaao Kiya Hai,

Ye Baat Bhi Laiq Zikr Hai Ke Shia Hazraat, Hz Fatima (Ra) Ke Elaawah Aapke 3 Betion, Aap (Sws) Ki Aadawaaj E Mutahharaat Aur Unki Aulaad Ko Bhi Ahle Bayt Me Shamil Nahin Samjhte,

Ham Ye Nahin Samjh Paaye Ki Ye Kaisi Taqseem Hai Aur Kyon ye Taqseem Ki Gayi Hai,

Kis Buniyaad Par Wah Aisa Kahte Hain ??

Zyadah Theek Aur Waazeh Lafzon Me Yun Kaha Ja Sakta Hai Ke Shia Hazraat Ke Yahan Ahle Bayt Ka Tasawwur,

Hz Fatima (Ra) Ki Aadhi Shakhsiyat, Hz Ali (Ra) Ki Aadhi Shakhsiyat, Hz Hasan (Ra) Ki Aadhi Shakhsiyat, Hz Hussain Se Lekar Hasan Askari Tak 9 Imamon Aur 10we Khyaali Hon Aur Jo Na Paida Hua Hai Aur Na Aaindah Kabhi Paida Hoga...... Se Qayem Hai,

Ye Mafhoom Hai Shia Ke Nazdeek Ahle Bayt Ka, Agar Ham Is Bahes Ko Mazeed Failaana Chaahe Toh Baat Lambi Ho Jaayegi, Ham Sirf Isi Baat Par Iktefa Karte Hain Jo Baat Aur Masla Samjhne Me Kaafi Hai,

Lafz "Shia" Ke Baare Me Mashoor Zabaan'daan Zubaidi Kahta Hai

"Har Wah Giroh Jo Kisi Ek Cheez Par Mutawaffiq Ho Jaaye Use Shia Kaha Jaayega, Jo Bhi Kisi Dusre Aadmi Ki Madad Kare Ya Uske Giroh Me Shamil Ho Jaaye Use Kaha Jaayega "Shia'tullah" Shia Mashait Se Makhooz Hai Jiske Maane Ita'at Ghuzaari Aur Itteba Karne K Hai

"

(Tajul Ardas 5/405)

Mashoor Arabi Zaban'daan Ibn Manzoor Afriki Likhta Hai

"Shia Logon Ke Us Giroh Ko Kaha Jaata Hai Jo Kisi Ek Cheez Par Ittefaaq Rakhte Hon, Lekin Ab Zyada Tar Unke Baare Me Bola Jaane Laga Hai Jo Ali (Ra) Aur Unke Ahle Bayt Ke Pairo'kar Hain"

(Lisaan Ul Arab 8/188)

Mashoor Shia Imam Nau'bakhti "Farq As Shia" Me Likhta Hai

"Shia, Ali Ibn Abu Talib (Ra) Ki Jamat Ke Logon Ko Kahte Hain, Nabi E Akram (Sws) Ke Zamaane Me Use Shian E Ali Kaha Jaata Tha, Iske Baad Sirf Shia Kaha Jaane Laga,

Ye Hz Ali (Ra) Ke Imamat Ke Qayel Hain, Shia 3 Firqon Me Bat Gaye Hain,Ek Firqa Kahta Hai

Rasoollullah (Sws) Ke Baad Hz Ali Imam Hain , Unki Ita'at Farz Hai Aur Unki Wafaat Ke Baad Bhi Unki Imamat Ka Silsila Jaari Hai,

Ek Firqa Kahta Hai Ke Hz Ali Nabi E Akram (Sws) Ke Sabse Zyada Qareeb Aur Haqdaar They,

Dono Firqe Hz Abu Bakr Aur Hz Umar (Ra) Ki Imamat Ko Sahih Qarar Dete Hai,

Wah Kahte Hain Ke Hz Ali (Ra) Ne Khud Iqtedaar Unke Supurd Kar Diya Tha Aur Is Baat Par Khush They, Aur Ali Ne Majboor Hokar Nahin Balke Khush'dili Se Dono Ke Haath Par Bait Ki Thi"

(Farq As Shia Page 39-42 Abu Muhammad Hasan Bin Moosa Naubakhti)

Mashoor Shia Musannifeen Muhsin Ameen Apni Kitab Me Azhari Se Naqal Karte Hue Likhta Hai

"Shia Us Giroh Ka Naam Hai Jo Nabi E Akram (Sws) Ke Khaandaan Ko Bahut Azeez Rakhta Aur Unki Pairwi Karta Hai"

(Ayaan Al Shia 1/11 Bahas Awwal, Taba Berut 1960)

Ham Inhi Hawalon Par Iktefa Karte Hain, Ham Bata Chuke Hain Ke Shia Tamam Ahle Bayt Ko Chhodkar, Sirf Chand Aadmion Ko Ahle Bayt Samjhte Aur Unki Pairwi Karte Hain, Balke Ahle Bayt Ki Mukhalifat Karte Hain, Unki Asli Taalimaat InShaAllah Dusre Post Me Bayaan Ki Jaayengi,

Mashoor Shia Musannifeen Mughniya Kahta Hai

"Shia Wah Hai Jo Hz Ali (Ra) Se Aur Unke Muttabe'een Se, Unse Muhabbat Karne Walon Aur Unke Manne Walon

Se Muhabbat Karen"

(Ash Shia Fil Meezan Page 18- 19)


Shia Musannif Muhammad Hussain Aal Kaashif Al Ghata Likhta Hai

"Ye Lafz (Yani Shia) Ali (Ra) Aur Aulaad E Ali Ke Muttabe'een Par, Aur Unke Maanne Walon Par Is Qasrat Se Bola Jaane Laga Ke Unka Naam Ban Gaya"

Ye Giroh Muttabe'een Ali (Ra) Aur Aulaad E Ali (Ra) Ki Madah Wa Tareef Me Mubaalgha'aaraayi Se Kaam Lete Hue Tamam Hudood Se Ghuzar Gaya, Is Par Unhone Apne Deen Wa Mazhab Ki Buniyaad Rakhi Aur Yahi Unka Mustaqbal Deen Ho Gaya,

Ek Aisa Deen Jo Us Deen Se Yaksar Be'talluq Aur Alag Hai Jo Sacche Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Lekar Aaye They,

Mauzu Hadith Gadh Li Aur Kahne Lage

"Deen Sirf Ali Ke Pairokaron Unki Aulaad Aur Unse Muhabbat Karne Walon Ka Hai"

Chillaate Firte Hain Ke Hamen Unse Bada Talluq Aur Muhabbat Hai, Unke Liye Bada Ehteraam Karte Aur Unke Farma'bardar Hain,

Unki Taraf Jhooti Nisbatein Karte Hain,

Apni Kitab Al Kafi Me Naqal Karte Hain

"Yazeed Bin Muawiya Se Riwayat Karte Hain Wah Kahte Hain Ke Main Mina Ke Fastaat Ke Maqam Par Abu Jaafar (As) Ke Paas Maujood Tha Unhone Kati Hui Taangon Waale ziyaad Al Aswad Ko Dekha, Uspar Taras Aaya Toh Usse Poocha

Tumhari Taango Ko Kya Hua ??

Usne Jawab Diya

Main Apne Oont Se Gir Pada Tha,

Toh Abu Jaafar Ne Usse Ham'dardi Ka Izhaar Kiya, Usi Dauran Ziyaad Ne Kaha Ke

Mujhe Apne Gunaahon Par Baaz Auqaat Bahut Nadaamat Hoti Hai Hatta Ke Mujhe Khyaal Ghuzarta Hai Ke Main Tabah O Barbaad Ho Chuka Hoon, Lekin Jab Main Sochta Hoon Ke Mujhe Aapse Muhabbat Hai Toh Meri Nadaamat Khatam Ho Jaati Hai

Toh Abu Jaafar (As) Ne Kaha

Deen Muhabbat Hi Ka Naam Hai....

Ek Aadmi Nabi (Sws) Ke Paas Aaya Aur Kaha Ke,

Main Namaz Nahin Padhta Lekin Namazion Se Muhabbat Karta Hoon, Khud Roza Nahin RaKhta Lekin Rozedaron Se Muhabbat karta Hoon Toh Rasoollullah (sws) Ne Farmaya

Tu Uske Saath Hoga Jisse Muhabbat Karta Hai Aur Tujhe Apne Kiye Ka Badla Milega,"

iske Baad Abu Jaafar Ne Kaha

Tum Kya Chaahte Ho ? Agar Aasmaan Se Koi Museebat Naazil Ho Toh Har Qaum Apni Apni Panaah'gaahon Ki Janib Lapke Gi Aur Ham Apne Nabi (Sws) Ke Yahan Panaah Lenge Aur Tum Hamare Yahan Panaah Loge"

(Kitab Roza Man Al Kafi 8/80, Tasneef Abu Jafar Muhammad Bin Yaqoob Qulaini 319 Hijri Bab Waseeyatul Nabi)

Isi Tarah Ki Ek Riwayat Shia Ki Mashoor Kitab "Usool Al Kafi" Me Naqal Ki Gayi Hai

Shia Ke 5we Imam Hz Jaafar Ne Kaha

"Hamari Muhabbat Imaan Hai Aur Hamse Bughz Kufr Hai"

(Usool Al Kafi 1/188)

Kafi Me Ek Aur Riwaayat Manqool Hai Jiske Mutaalliq Unke Imam Ghaib Ka Kahna Hai Ke

"Ye Kitab Hamare (shia) Ke Liye Kaafi Hai"

(Muntahi Al Maal Page 298, Saafi 1/4)

Is Kaafi Me Wah Abu Hamza Se Naqal Karte Hain Ke Usne Kaha Mujhse Abu Jaafar Ne Kaha

"Allah Ki Ibaadat Wahi Karta Hai Jo Allah Ki Ma'aarifat Rakhta Hai, Jo Allah Tala Ki Ma'aarifat Nahin Rakhta Wah Be'khabri Wa Gumrahi Hi Me Ibadat Karta Rahta Hai,

Maine Kaha Aap par Qurbaan Jaun, Allah Ki Ma'aarifat Ka Kya Matlab Hai ??

Abu Jafar Ne Kaha

Allah aur Uske Rasool (As) Uske Aal Aur Hz Ali Ke Muttabe'een Ki Tasdeeq Karna Aur Unki Pairwi Aur Iqteda Karna Aur Allah Ke Dushmon Se Allah Ko Paak Samjhna Is Tarah Allah Ki Ma'arifat Haasil Ki Jaati Hai"

(Usool Al Kafi 1/180)

Unke Aimma Ka Bhi Unke Nazdeek Ji Maqaam Wa Mansab Hai Wah Nubuwwat Wa Risaalat Se Kisi Tarah Kam Nahin,

Chunanche Iran Ke Hukmaran Khumaini Apni Kitab

"Wilayatul Faqeeha Hukumatul Islaamiyah" Me Kahte Hain

"Ye Baat Bhi Hamare Mazhab Ke Lawazamaat Mese Hai Ke Aimma Ko Unke Roohaani Wa Maanawi Maqamaat Par Faiz Samjhe Jin Par Koi Muqarrab Farishta, Nabi Aur Rasool Bhi Faiz Nahin Hota, Hamari Riwayaat Me Bataya Gaya Hai Ke Is Kaaynaat Ke Wajood Pazeer Hone Se Pahle Aimma Arsh E Khuda'wandi Ke Saaye Tale Noor Ki Shakal Me Maujood They Aur Aimma Ne Kaha Hai Ke Hamari Khuda Ke Saath Aisi Haalatein Hain Jin Tak Na Kisi Farishte Ki Pahunch Hai Aur Na Kisi Nabi Wa Rasool Ki, Ye Wah Asaasi Aur Buniyaadi Aiteqaadat Hain Jin Par Hamara Mazhab Qayem Hai"

Note : Asal Kitab Farsi Me Hai Jiska Naam "Wilayate Faqeeha Dar Khusoosi Hukumat e Islaami" Hai, Imam Khumaini Ke Nayab Ne Murattab Ki Hai

Janab E Khumaini Ki Ye Baat Nayi Ya Hairaan'kuN Nahin Balke Poori Shia Qaum Apne Aimma Ke Baare Me Yahi Aqeeda Hai,,,,,

To Be Continued.....


 #UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks