Friday, September 5, 2014

TAJIRON (BUSINESS MAN) KO ISLAMI USOOL E TIJAARAT KA ILM HAASIL KARNA CHAHIYE:

Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT KI FAZEELAT AUR CHAND ADAAB: PART- 2


TAJIRON (BUSINESS MAN) KO ISLAMI USOOL E TIJAARAT KA ILM HAASIL KARNA CHAHIYE:

1- Hz Umar (Ra) Farmaya Karte They Ke

"Hamare Bazaaron Me Wahi Khareed Farokht Kare Jise Deen (Islami Usool E Tijarat) Ki Samjh Ho"

(Hasan : Sahih Tirmizi, Tirmizi 487)

2- Hz Ali (Ra) Ka Farmaan Hai Ke

"Jisne (Ahkam E Tijarat Ki) Samjh Boojh Ke Be'ghair Tijaarat Ki Wah Sood (Interest) Me Mubtela Ho Gaya (Aap (ra) Ne 3 Martaba Ye Baat Duhraayi)"

(Tafseer Qurtabi 3/352, Tafseer Ibn Kathir 1/581, Tafseer Tabri 6/38, Al Mughni 2/22)

TIJARATI MUWAHEDE (AGREEMENT) POORE KARNE CHAHIYE:

1- "Aiy Imaan Walon ! Ahad Paimaan Poore Karo"

(Surah Maida Ayat 1)

2- "Waade Poore Karo Kyonke Qubool Wa Qarar Ki Baaz'purs Ki Jaayegi"

(Surah Al Isra 34)

3- Farmaan E Nabawi Ke Mutaabik Munaafiq Ki Ek Alamat Ye Bhi Hai Ke

"Jab Wah Muwaheda (Agreement ) Karta Hai Toh Uski Khilaaf'warzi Karta Hai"

(Bukhari 34, Muslim)

JHOOT SE BACHNA CHAHIYE:

Hz Waasila Bin Asqa (Ra) Bayan Farmate Hain Ke Ham Tijaarat Pesha Log They, Rasoollullah (Sws) Hamare Paas Tashreef Laaye Toh Farma Rahe They Ke

"Aiy Taajiron Ki Jamat ! Jhoot Se Bacho"

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1798, Tibrani 132, Kanzul Ammal 9438)....

To Be Continued....