Tuesday, September 2, 2014

MASJID K ADAAB




Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic :::::::::MASJID K ADAAB::::::::

>>>>>ALLAH KI IBADAT<<<<<

::::::::MASJID K ADAAB::::::::

1-Allah Rabbul e Izzat ki Nazar mme Jameen k Sabse jayada behtar Hissa wah hai, jisper Masjid Banaye jaye ! Allah paak se payar rakhne walo ki pahchan yah hai k wo Masjid se v Payar rakhte hai ! Qiyamat k Vayanak-Din me jab kahi koi Saya na hoga,Allah paak us Din apne Us bande ko Apne Arsh k saye me Rakhega jiska Dil Masjid me laga rahta ho ! Nabi(s.a.w) k Irshad hai :

''Aur Wah Admi (Arsh k Saye me hoga) jiska Dil Masjid me Atka rahta ho''
[Bukhari]

2-Masjid ki khidmat Kijye Aur Usko Abaad Rakhye, Mmasjid ki Khidmat karna Aur usko Abaad Rakhna Imaan ki Nishani hai, Allah paak K Irshad hai :

''Allah ki Masjid ko wahi loog Aba'ad rakhte hai jo Allah per Aur Uske Qiyamat k Din per Imaan Rakhte hai.''
[Sureh-9 , Ayat-18]

3-Farz Namaze Humesha Masjid me Jamat se padye ! Masjid me Azaan Aur Jamat ka Bakayda Intezaam kijye Aur Masjid k Nizam se Apne puri Jindagi k Talluk jorye ! Masjid ek Aysa Markz (Centar) hai ki Momin ki puri jindagi use k 4ro oor gardis karte hai ! Nabi(s.a.w) ne Farmaya :

''Musalmano me kuch loog wo hai jo Masjid me Jame rahte hai Aur waha se Hat-te Nahi hai,Fariste Ayse logo k Sath Uthte-Baithte hai,Ager ye loog Gayab ho jaye tou Fariste unko khozte Firte hai Aur Ager Bimaar par jaye tou Fariste unke Bimar-pursi karte hai Aur Ager Kisi Kaam me lage hote hai tou Fariste Unke Maddad karte hai,Masjid me Baithne Wala Allah ki Rahmat k Muntazir (hak daar) hota hai .''
[Musnad Ahmed]

4-Masjid me Namaz k leye Jouk o Souk se jayye, Nabi(s.a.w) ne Farmaya :

''Subah o Saam Masjid me Namaz k leye Jana Aysa hai,Jaise Zihaad k leye jana''

''Jo loog Subah k Andhere me Masjid ki Taraf jaate hai,Qayamat me unke Sath puri Rousne hoge.''

''Namaze Ba-Jamat k leye Masjid jaane wala k Her kadam ek Neke ko badata hai Aur ek Gunah ko metata hai.''

[Ibn Hibban]

5-Masjid jaaru dena,Masjid ko paak-Saaf rakhna , Masjid ka kura-karkat Bahar fekna,Masjid me khusbu karna, Khas-tour per jumma k din Masjid ko khusbu me Basana Jannat me le jane wala kaam hai''
[Ibn Hibban]

Aur Nabi(s.a.w) ne yah v Farmaya hai :

''Masjid ka kura-Karkat saaf karna Haseen Ankho waale Huro k Mahar hai''
[Tabrani]

6-Masjid me Darte - kapte jaye, Dakhil hote waqt AssalamoAlaikum kahe Aur Khamos baith kar es tarah Zikr kijye ki Allah ki Buzurgi Aur Uska Jalal Apne Dil per Chaya hua ho,Haste-Bolte Gaflat k sath Masjid me Dakhil hona Gafilo Aur BeAdbo ka kaam hai,jinke Dil Allah k Khof se khali hai, kuch loog Imaam k sath Ruku mr Saamil hone Aur Rekat paane k leye Masjid me Dourte hai,yah v Masjid k Ehtram k khilaf hai,Rekat Mele ya Na Mele, Sanjidgi,Waqar,Aur Aajiji k sath Masjid me Chalye Aur Vaah-Dor se parhej kijye.

7-Masjid me Sukun se Baithye Aur Dunya ki baat na kejye,Masjid me Soor Machana, Hase -khel (Mazak) karna,Bazaar k Vaaw puchna Aur Batana,Dunya ki Halat per Charcha larna Aur Kharedne wa Bechne k Bazar Garm karna Masjid ki Behurmati hai, Masjid Allah ki Ibadat k Ghar hai, usme Serf Ibadat kijye.

8-Masjid me Ayse Chote Baccho ko Na le jaye jo Masjid k Ehtram k Khayal Na Rakhte ho Aur Masjid mme Pesaab-Pakhana kare ya Thuke.

9-Masjid ko Guzarne k Rasta Na Banaye,Masjid k Darwaje me Dakhil hone k baad Masjid ka yah hak hai k Aap usme Namaz padhe ya Baith ker Zekar Aur Tilawat kare.

10-Ager Apke koi Chiz kahi Bahar Gum ho jaye tou uska Ailaan Masjid me Na kejye, Nabi(s.a.w) ki Masjid me Ager koi Admi es Tarah Ailaan karta tou Aap Naraz hote Aur yah Walimat Faramate :

''Allah Tujhko tere Gum hue Chiz Na Melaye''

11-Masjid me Dakhil hote Waqt pahle Daya (Right,Sedha) paaw rakhe Aur Nabi(s.a.wmm per Darood padhe fer Dua padhe,Nabi(s.a.w) k Irshad hai ki Jab tum me se koi Masjid me Aaye tou pahle Nabi per Darood veje Aur fer yah Dua padhe.

''Allahum-maftah li Ab-wa-ba-rahmatik''

''Aye Allah ! mere leye Apne Rahmat k Darwaje khol de''
[Muslim]

Aur Mmasjid me Dhakhil hone k baad 2 rekat Nafil Namaz Padhe,Es Nafil Namaz ko Tahiyatul Masjid kahte hai,Ese tarah jab Kavi Safar se Wapsi ho tou Sabse pahle Masjid Pahuch ker 2 rekat Nafil Namaz padhe Aur eske baad Apne Ghar jaye,Nabi(s.a.w) jab v Safar se wapas aate tou pahle Masjid me jaker Nafil padte Aur fer apne ghar Tasreef le jaate.

12-Msjid se Nekalte Waqt Baya (left,Ulta) pair bahar rakye Aur ye Dua padhe.

''Allahum-ma Inni Asalu-ka Min Fazlik''

''Aye Allah ! may tujhse tere Fazal wa Karam k Sawal karta hu.''
[Muslim]

Masjid me Azaan aur Namaz Bajamat ka Nazm Qayam kijye Aur Muajin Aur Imaam un logo ko banaye jo Apne Din wa ekhlaak me Kul Melakar Sabse behtar ho,Jaha tak Mumkin ho,kosis kijye ki Ayse log Azaan Aur Imamat k jimmedari Nevaye jo Muwaja Na le Aur Khusi se Akherat k badle ki me un jimme dariyo ko Nevaye.

Next Artical me pure Masail hoge Masjid k InshaAllah.. Jisme puri Dalill o Refrenc k sath her masle k jawab hoga..

Akher me ye Dua hai k , Allah paak hak baat kahne Sunne se jayada hume Deen e hak per Chalna or usper Amal karne ki Toufeeq de.. Aameen.