Thursday, September 25, 2014

SIHAH SITTA (TOP BOOKS OF HADITH) KO LIKHNE WAALE IRANI KYON THEY ???


Bismillahirrahmanirraheem

SIHAH SITTA (TOP BOOKS OF HADITH) KO LIKHNE WAALE IRANI KYON THEY ???


Munkireen E Hadith Ka Kahna Hai Ki Muhaddiseen Ka Talluq Arab Se Na Tha Isliye Hadith Par Amal Kar Durust Nahin , Balke Hamen Sirf Quran Samj
hna Chahiye

Sihah Sitta Ko Likhne Waale Iraani Kyon They Iska Jawab Kuch Is Tarah Hai


1- Jis Jagah Fasaad Hua, Islah Ki Usi Jagah Zyada Zaroorat Hoti Hai,

Taareekh Me Milta Hai Ki Yahi Ilaaqa Mauju'aat Ki Mandi Bana Hua Tha,

Motzala Aur Khwarij, Shia Wa Raafizi, Murjiya Wa Soofi In Sab Firqon Ki Aama'gaah Yahi Ilaaqa Tha,


Aur Har Firqa Mauzu'aat Ke Shagal Me Masroof Tha,


In Haalaat Me Usi Ilaaqe Ke Muhaddiseen Par Hi Sabse Zyada Ye Zimmedari Banti Thi Ke

Hadith Ki Tahqeeq Wa Tanqeed Ka Fareeza Sar'anjaam Den.

Har Firqah Ki Mauzu'aat Ke Is Chadhte Hue Sailaab Ke Aage Band Baandhne Aur Musalmano Ko Is Fitne Se Nijaat Ki Soorat Bhi

Allah Tala Ne Usi Ilaaqe Me Paida Kar Di..

2- Us Daur Me Sirf Ye Muhaddiseen Hi Iraani Na They, Balke Ilm Sirf, Nahu, Mantak, Qalaam Wa Bayaan Wa Lughat,


Yani Aise Tamam Uloom Jo Quran Samjhne Ke Liye Raij Ho Chuke Hain, In Sab Uloom Ke Shuyookh Aur Imam Zyadatar Usi Ilaaqe Se

Taalluq Rakhte They,

Iski Wajah Ye Thi Ke Khulefa Abbasiya Ne Sultanate Ka Markaz Baghdad Qarar Diya Tha,


Ye Khulefa Ilm Dost They Dusri Zabaano Ke Uloom Ke Taraajim Ke Liye Bhi Ek Alag Mahkama (Office) Qayem Tha, Jiske Sadar Wa Daftar Ko Bait "Ul Hikmat" Kahte They,

Yahi Wajah Hai Ke Jahan Bahut JaGah Se Ulema Is Elaaqe Me Jama Ho Gaye They,


Wahan Iraan Ke Asal Ba'shindon Ne Bhi Aise Tamam Tar Uloom Ki Intehaayi Bulandion Tak

Pahunchne Me Numaya Hissa Liya,

Ab Sawaal Ye Hai Ke Muhaddiseen Ke Iraani Hone Ki Wajah Se Hadith Na'qabil Aitbaar Hai


Toh Lughat Kaise Qaabil E Aitbaar Ho Sakti Hai ??


Lughat Ke Bhi Aksar Imam Iraani Hain, Jinse Munkireen E Hadith Ne Lughat Ul Quraan Ki Tarteeb Me Bhar'poor Istefaada Kiya Hai,


Agar Irani Hone Ki Wajah Se Hadith Mutaasir Ho Sakti Hai Toh Fir Lughat Ka Bhi Kya Aitbaar

Hai !

Iske Elaawah Quran Bhi Unhi Irani Riwaayaat Ke Zariye Ham Tak Pahuncha Hai Toh Uski Sehat Wa Hifaaz
at Ka Bhi Kya Aibaar Hai...

Allah Tala Hamen Munkireen E Hadith Ke Fitne Se Mahfooz Rakhe......

Aaaameeen Ya Rabbul Aalameeen

#UmairSalafiAlHind