Saturday, September 6, 2014

HALAL TIJARATI MUNAFA (BUSINESS PROFIT) ALLAH KA FAZAL HAI

Bismillahirrahmanirraheeem

HALAL TIJARATI MUNAFA (BUSINESS PROFIT) ALLAH KA FAZAL HAI-- TIJARAT KI FAZEELAT AUR CHAND ADAAB:


Allah Tala Ka Irshad Hai

1- " Tum Par (Ba'zariyah Tijaarat) Apne RabbKa Fazal Talaash Karne Me Koi Harj Nahin, Jab Tum Arafaat Se Lauto Toh Ma'shiril Haram Ke Paas Zikr E Illahi Karo Aur Uska Zikr Karo Jaise Ke Usne Tumhe Hidayat Di, Halaanke Tum Usse Pahle Raah Bhoole Hue They"

(Surah Baqarah 198)

Is Aayat Me Safar Hajj Me Tijaarat Aur Karobaar Ki Ijaazat Dete Hue Tijaarati Munaafa Ko Allah Ka Fazal Kaha Gaya Hai

2- "Jab Namaz Muqammal Kar Di Jaaye Toh Zameen Me Fail Jaao Aur Allah Tala Ka Fazal Talaash Karo"

(Surah Juma 10)

Is Ayat Me Bhi Allah Ke Fazal Se Muraad Kasab E Maal Aur Tijaarat Hi Hai,

Lekin Yahan Ye Yaad Rahe Ke Wahi Tijaarati Munaafa Allah Ke Fazal Se Taabeer Kiya Ja Sakta Hai Jo Halal Zaraaye Se Kamaya Jaaye Kyonke Haram Zaraaye Aamdan Fazal E Ilaahi Ke Nahin Balke Azaab E Ilaahi Ke Maujab Hai

SACCHA AMAANAT'DAAR TAAJIR AMBIYA AUR SHUHADA KE SAATH HOGA;

1- Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Me Farmaya

"Saccha Aur Amanat'dar Tajir (Businessman), Ambiya (Prophets), Siddiqeen Aur Shuhada (Martyrs) Ke Saath Hoga "

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1782 Kitab Ul Buyu, Tirmizi 1209)

2- Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Amanat'dar, Sacchha Aur Musalman Tajir Qayamat Ke Din Shuhada Ke Saath Hoga"

(Hasan Sahih : Sahih Targheeb 1783 Kitab Ul Buyu, Ibn Majah 2139)

ROZ E QAYAMAT MUTTAQI AUR SACHHA TAAJIR HI FALAAH'YAAB HOGA:

Ek Riwayat Me Hai Ke Nabi E Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Logon Ko Aapas Me Karobaar Karte Hue Dekha Toh Farmaya

"Aiy Taajiron Ki Jamat ! Allah Ke Rasool Ki Taraf Mutawajjoh Ho Jao"

Logon Ne Apne Gardanein Aur Apni Aankhen Aap Ki Taraf Utha Li Toh Aapne Farmaya

"Be'shaq Tajir Qayamat Ke Din Faajiron Ki Haisiyat Se Uthaaye Jaayenge Magar Jisne Allah Ka Taqwa Akhtiyaar Kiya Aur Neki Ki Aur Sach Bola (Use Us Tarah Nahin Uthaya Jaayega)"

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1785 Kitab Ul Buyu, Tirmizi 1210, Ibn Majah 2146, Ibn Habban 4890, Hakim 2/6 Imam Hakim Ne Is Riwayat Ki Sanad Ko Sahih Kaha Hai...

To Be Continued...