Monday, September 22, 2014

ISLAM ME MUH'BOLE RISHTON KI HAISIYAT





Hamare pyare Nabi S.a.w. ka koi beta nahi tha jo bete paida hue bahot kam umr me he unka intqal ho gya tha, isliye Hazrat Zaid bin haris nam ke apne ek azad kiye hue gulam ko Nabi karim ne adopt kr ke apna beta banaya tha dono me khoon ka rishta nahi tha
Nabi chahte thy ki zaid bin haris ki shadi bivi Zainab bint jahsh se ho jabki bivi Zainab ke walidain bivi zainab ki shadi Nabi karim se krna chahte thy, pr aakhir me Nabi ki baat man kr bivi Zainab ki shadi hazrat Zaid ke sath kr di gai

lekin ye shadi zyada din na tik saki aur hazrat Zaid ne bivi zainab ko talaq de di
kyunki ye shadi Nabi karim ne karwai thi isliye is shadi ke tootne pe Aap s.a.w. ko kafi takleef pahochi ki unki wajah se bivi Zainab ki zindagi pr itna bada daag lag gaya

Islam ke riwaj ke mutabik koi baap apne bete ki bivi se shadi nahi kr sakta lekin dusri taraf Allah is baat ko Quran me khol kr byan krta hai ki “Goud liye hue bete tumhare asli bete nahi hain” [Al-Quran, 33:4]
 


bivi zainab ka dukh door krne k liye aur Allah ke hukm pr Nabi karim ki shadi bivi Zainab se kr di gai taki aane wali naslen jan len ki Islam me aisi shadi waidh hain [dekhen Quran, 33:37] asl me Islam muh bole rishto ke sath khoon ke rishto jaisa sulook krne se hame rokta hai kyunki khoon ke rishto me to prem aur maryada Allah paida krta hai jabki muh bole rishto me maryada banane ki koshish ham krte hain aur kyunki insan to khata ka putla hota hai isliye muh bole rishto me amaryadit wyavhar bahot zyada hote hain jabki Allah ke banaye khoon ke rishto me na ke barabr 



aap bharat me dekhte he ho ki aksar wo ladka ladki ek dusre ko bhaga le jate hain jo ki raakhi bhai bahan bane hote hain hamara samaj unko bhai bahan samajh kr ghulne milne ka pura mauka deta hai jiska nateeja ye nikalta hai . Islam yahi mauke nahi deta muhbole rishto ko
muhbole rishto k sath khoon ke rishto sa sulook na krne ki jab seema bana di gai to ye muhbole rishte shoony sabit hue aur in rishto ke shoony hone se inke beech shadi ki sambhavna khud paida ho gai



Via- Zia Imtiyaz