Saturday, September 27, 2014

MOMIN KI HURMAT






Momin Ki Hurmat Kaba Ki Hurmat Se Bhi Zyada Hai

Gunaahon Wa Na'farmanion Samet Siyaasi, Fikri, Ya Fiqhi Ikhtelaaf Ki Bina Par Musalmano Ko Kaafir Aur Mushrik Qarar Dete Hue Unhe Be'daregh Qatal Karne Waale Zaalimom Ko Ye Malum Hona Chahiye Ke Allah Ke
Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Nazdeek Momin Ke Jism Wa Jaan Aur Izzat Wa Aabru Ki Kya Ehmiyat Hai

Aur Wah Log Jo Mahaz Bad'zani Aur Saste Fatawon Par Musalmano Ke Khoon Ke Jiski Dunya Me Koi Qeemat Nahin Chuka Sakta ,Bahaane Me Mash'hoor Hain Aur Unke Liye Kisi Musalmaan Ko Maarna Bilkul Aise Hi Hai Jaise Naak Par Baithi Makkhi Ko Udaana

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Momin Ki Hurmat Ko Qaabe Ki Hurmat Se Zyada Mohtaram Qarar Diya Hai,

Imam Ibn Majah (Rh) Se Marwi Hadith Mubaraka Mulaheza Ho,

Hz Abdullah Ibn Umar (Ra) Se Marwi Hai Ke Unhone Huzoor Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Khaana E Qaaba Ka Tawaaf Karte Dekha Hai Ye Farmaate Suna

"Aiy Qaba ! Tu Kitna Umdah Hai Aur Teri Khusbu Kitni Pyaari Hai, Tu Kitana Azeem Ul Murattab Ha, Aur Teri Hurmat Kitni Zyada Hai,

Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Haath Mein Muhammad (Sws) Ki Jaan Hai ! Momin Ki Jaan Wa Maal Ki Hurmat Ke Nazdeek Teri Hurmat Se Zyada Hai Aur Hamen Momin Ke Baare Me Nek Ghumaan Hi Rakhna Chahiye"

(Ibn Majah Al Sunan Kitab Ul Fitan 39322,)

Allah Tala Hamen Haq Baat Samjhne Aur Us Par Amal Paira Hone Ki Taufeeq Ata Farmaaye Aur Khoon Hurmat Muslim Ki Hurmat Hamare Dilon Me Mskhar Farmaaye Aaameen...