Saturday, September 13, 2014

TIJARAT KE KUCH USOOL- (PART-2)







Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT KE KUCH USOOL- (PART-2)


6- BEGHAIR GAWAHON KE SAUDA (TRADING) KIYA JA SAKTA HAI:

Jaisa Ke Hadith Me Hai Ke Nabi Ek Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Dehaati (Villager) Se Ghode Ka Sauda Kiya Aur Kisi Ko Gawah Muqarrar Na Kiya Fir Tana'za Ho Gaya Toh Hz Khazeema (Ra) Ne Shahadat Di Aur Aapne Unki Shahadat Ko 2 Aadmion Ki Shahadat Ke Barabar Qarar Diya

(Sahih Abu Dawood 3073 Kitab Ul Qaza, Ahmad 5/215)

7- SAUDA KARTE WAQT KOI SHART LAGANA DURUST NAHIN:

Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke Wah Apne Ek Oont Par Safar Kar Rahe They Jo Thak Chuka Tha,

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Use Maara Aur Uske Liye Dua Ki, Wah Is Tarah Tezz Chalne Laga Ke Usse Pahle Aisi Tezz Raftaari Se Nahin Chalta Tha,

Fir Aap (Sws) Ne Farmaya

"Mujhe Ye Oont 1 Auqiya Chandi Ke Badle Bech Do"

Maine Arz Kiya- "Nahin"

Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Dobara Yahi Farmaya

" Chunanche Maine Wah Oont Aap (Sws) Ko Is Shart Par Farokht Kar Diya Ke Apne Ahle Khana (Family) Tak Us Par Sawaar Hokar Jaunga"

Jab Ham Madeena Pahunche Toh Main Aapke Paas Oont Le Aya Aur Aapne Uski Naqad Qeemat Mujhe Ada Kar Di,

(Bukhari 2406, Muslim 715, Abu Dawood 3505, Nisaai 4637, Ahmad 3/299)

9- DHOKA NA DENE KI SHART PAR SAUDA KIYA JA SAKTA HAI:

Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Ek Shakhs Ne Zikr Kiya Ke Use Bayy Me Aam Taur Par Dhoka Kiya Jaata Hai Toh Aapne Farmaya

"Sauda Karte Waqt Kah Diya Karo Ke Koi Fareb Wah Dhoka Nahin Hoga"

(Bukhari 2117, 2407 Kitab Ul Buyu, Muslim 1533, Ahmad 2/44, Abu Dawood 350m, Nisaai 7/252)

Aisi Shart Lagaane Ka Faayeda Ye Hoga Ke Agar Baad Me Koi Dhoka Hua Toh Maalik Wah Cheez Waapas Lene Ka Zimmedaar Hoga

10- SAUDE MESE KOI MAJHOOL CHEEZ MUSH'TASHNA KAR LENA DURUST NAHIN:

Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke " Nabi E Akram (Sws) Ne Ek- Aadh Cheez Mush'tashna Kar Lene Se Mana Farmaya Hai, Siwaaye Uske Ke Uski Miqdaar Muqarrar Kar Di Jaaye"

(Nisai 3770, Arwa Ul Ghaleel 1354)

Hafiz Ibn Hajar (Rh) Farmate Hain Ke

"Saude Me Ishtasna Ki Soorat Ye Hai Ke Aadmi Koi Cheez Farokht Kare Aur Uska Kuch Hissa Chhipa Le, Agar Koi Cheez Mushtashna (Alag Ki Hui Cheez) Malum Ho Maslan Darakhton Mese Ek Darakht, Mukhtalif Manazil Mese Ek Manazil Aur Zameen Ki Mukhtalif Jagahon Mese Koi Ek Jagah Toh Bila'iitefaaq Ye Sauda Sahih Hai Aur Agar Mush'tasna Majhool Ho Maslan Aadmi Kisi Na'maalum Cheez Ko Mushtasna Kar De (Maslan Wah Kahe Ke Maine Ye Dher Farokht Kar Diya Hai Lekin Uska Baaz Hissa Farokht Nahin Kiya) Toh Sauda Sahih Nahin Hoga,

Aur Majhool Saude Se Mumaniyat Me Hikmat Ye Hai Ke Ye Sauda Jihaalat Ki Wajah Se Dhoke Par Mushtamal Hai "

(Fath Ul Bari 5/354)

Imam Nawawi (Ra) Se Bhi Isi Maane Me Qaul Marwi Hai

( Sharah Muslim 10/195)

Malum Hua Ke Majhool Istasna Wala Sauda Durust Nahin, Albatta Agar Istashna Ki Hui Cheez Ki Wazaahat Ho Jaaye Jaisa Ke Hz Jabir (Ra) Ne Nabi E aKram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Apna Oont Farokht Karte Waqt Madeena Tak Uspar Sawaar Hoke Jaane Ka (Malum) Istasna Kiya Tha

(Bukhari 2406, Muslim 715)

Toh Fir Aise Saude Me Koi Harz Nahin....

11- SAUDE KI QEEMAT ADA KARKE SAUDA NA LENA BHI DURUST HAI:

Jaisa Ke Hz Jabir (Ra) Ki Riwayat Me Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Unse Oont Khareeda Aur Uski Qeemat Ada Kar Di Fir Farmaya Ke

"Apna Oont Le Lo Aur Raqam Bhi Apne Paas Rakho, Ye Sab Tumhara Maal Hai"

(Bukhari 2406, Muslim 715)

12- SAUDA HO RAHA HO TOH TEESRA AADMI DAKHAL'ANDAZI NA KARE:

Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Tum Mese Koi Bhi Apne Bhai Ke Saude Par Sauda Na Kare"

(Bukhari 5142, Abu Dawood 2071, Tirmizi 1292,)