Thursday, September 4, 2014

SAUDE KA AIB CHHUPAANE AUR DHOKA'DEHI SE BACHNA CHAHIYE:

Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT (BUSINESS) KE CHAND AADAAB (MANNERS)-- PART-3


SAUDE KA AIB CHHUPAANE AUR DHOKA'DEHI SE BACHNA CHAHIYE:

1- Hz Uqba Bin Amir (Ra) Bayan Karte Hain Ke Maine Rasoollullah (Sws) Ko Farmate Hue Suna

"Musalman Musalman Ka Bhai Hai Aur Kisi Musalman Ke Liye Halal Nahin Ke Wah Apne Bhai Ko Koi Aib'daar Cheez Farokht Kare Siwaaye Uske Ke Saude Ka Aib Bayan Kar De"

(Sahih Targheeb 1775, Arwa ul Ghaleel 1321 Ibn Majah 2246)

2- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ghalle Ke Dher Par Se Ghuzre Toh Aapne Apna Haath Usme Daakhil Kiya, Aapki Ungalion Ko Tari Mahsoos Hui Toh Aapne Farmaya

"Aiy Ghalle Ke Malik ! Ye Kiya Hai ?"

Usne Arz Kiya

"Aiy Allah Ke Rasool ! Is Par Barish Padh Gayi Thi"

Aap (Sws) Ne Farmaya

"Tumne Use Ghalle Ke Uper Kyun Na Rakha Tha Ke Log Ise Dekh Lete ?? Jisne Dhoka Diya Usse Mera Koi Taalluq Nahin"

( Muslim 106 Kitab Ul Iman, Abu Dawood 3452, Tirmizi 1315)

ZYADA QASMEIN KHAANE SE BACHNA CHAHIYE:

1- Hz Salman (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"3 Aadmi Aise Hain Allah Tala Unki Taraf Qayamat Ke Din Nazar E Rahmat Nahin Farmaayega

1- Boodha Bad'kaar
2- Faqeer Mutaqabbir
3- Aur Aisa Shakhs Jise Allah Tala Ne Samaan Se Rakha Hai Aur Wah Use Nahin Khareedta Magar Qasam Ke Saath Aur Na Hi Use Bechta Hai Magar Sirf Qasam Ke Saath"

(Sahih Targheeb 1788 Kitan Ul Buyu, Majma Ul Zawaid 6335, Jame us Sagheer 3972)

Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"4 Bandon Se Allah Tala Nafrat Karte Hain, Bahut Zyada Qasmein Khakar Khareed Farokht Karne Wala, Mutaqabbir Faqeer, Budha Badkaar, Aur Zalim Hukmaran"

(Sahih Targheeb 1790 Kitab Ul Buyu, Nisai 5/86, Baiheqi Fi Shoebul Iman 4753, Ibn Habban 5532)

3- Hz Qatadah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Tijarat Me Bahut Zyada Qasmein Khaane Se Bacho Kyonke Ye Sauda Toh Bikwa Deti Hai Lekin Barkat Khatm Kar Deti Hai"

(Muslim 1607, Nisai 4460, Ibn Majah 2209, Musnad Ahmad 5/297)

BAZAAR ME SHOR'GUL MACHAANE SE BACHNA CHAHIYE:

Hz Ata Bin Yasaar (Ra) Ne Kaha Ke Maine Hz Abdullah Bin Umar Bin Aas (Ra) Se Mila Aur Arz Kiya Ke Rasoollullah (Sws) Ki Jo Siffaat Tauraat Me Aayi Hain Unke Mutaalliq Mujhe Kuch Bataayen, Unhone Kaha

"Haan ! Qasam Khuda Ki ! Aap (Sws) Ki Tauraat Me Bilkul Baaz Wahi Siffaat Aayin Hain Jo Quraan Shareef Me Mazkoor Hain Jaise Ke

"Aiy Nabi ! Ham Tumhe Gawaah Aur Khush'khabri Dene Wala, Daraane Waala, Aur Unpadh Qaum Ki Hifaazat Karne Wala Bana Kar Bheja Hai, Tum Mere Bande Aur Mere Rasool Ho, Maine Tumhara Naam Matuqal Rakha Hai, Tum Na Toh Bad'khwaah Ho, Na Shakt'dil Aur Na Bazaaron Me Shor'gul Machaane Waale"

(Aur Tauraat Me Ye Bhi Likha Hai Ke ) Wah (Mera Banda Aur Rasool) Buraai Ka Badla Buraai Se Nahin Lega, Balke Maaf Aur Dar'ghuzar Karega, Allah Tala Us Waqt Tak Iski Rooh Qabz Nahin Karega Jab Tak Tedhi Shariat Ko Seedhi Na Karaale, Yani Log La Ilaaha Illallah Na Kahne Lagen ; Iske Elawa Wah Andhi Aankhon Ko Beena, Bahre Kaano Ko Sunwa Aur Pardah Pade Hue Dilon Ke Parde Khol Dega"

(Bukhari 2125 Kitab Ul Buyu)

Maalum Hua Ke Nabi E Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Sifaat Me Ek Sifaat Ye Bhi Thi Ke Aap Bazaaron Me Shor'gul Nahin Machaate They Jisse Pata Chala Ke Bazaaron Me Shor'gul Machaana Ikhtaaq E Kareema Ke Manaafi Hai,

Lihaaza Isse Bachna Chahiye....

To Be Continued ....