Thursday, September 18, 2014

ZAKHEERA'ANDOZI (ISLAMIC RULING FOR STOCK OF PRODUCT):





Bismillahirrahmanirraheem

ZAKHEERA'ANDOZI (ISLAMIC RULING FOR STOCK OF PRODUCT):


ZAKHEERA ANDOZI KI HURMAT:

1- Hz Ma'mar Bin Abdullah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

" Zakheera'andozi (Stock) Sirf Gunah'gaar Hi Karta Hai"

(Muslim 1605 Kitab Ul Masaqah, Abu Dawood 3447)

"Zakheera'andozi (Jisse Shar'an Mana Kiya Gaya Hai) Ye Hai Ke Ghalle Ko Rok Lena, Farokht Na Karna, Us Intezaar Me Ke Rate Chadhen Aur Awaam Ko Uski Shadeed Zaroorat Ho Jabke Zakheera Karne Waala Usse Mustaghni Ho"

(Hafiz Ibn Hajar, Fath Ul Bari 5/81)

Malum Hua Ke Shar'an Zakheera'andozi (Maal Stock Karna) Haram Hai,

Zakheera'andozi Ko IsLiye Haram Kiya Gaya Hai Kyonke Isse Awaam Ko Bahut Nuksaan Uthaana Padhta Hai,

Taajir Hazraat Bazaar Ki Jins E Zaroorat Ko Rok Lete Hain, Nateejatan Rate Badhne Lagte Hain,

Ghareeb Awaam Mahengayi Ki Chakki Me Pisna Shuru Ho Jaati Hai, Aur Taajir Aur Sarmaya'dar Hazraat Bahut Zyada Faayeda Uthaate Hain

KYA SIRF ASHYA E KHUD'NOSH (ROZ'MARRA KI CHEEZ YA FMCG PRODUCT) KI ZAKHEERA'ANDOZI HARAM HAI ??

Ahle Ilm Ke Darmiyaan Is Masle Me Ikhtelaaf Hai Ke Kya Sirf Ashya E Khud'nosh (Khane Peene Ki Cheez) Ki Zakheera'andozi Haram Hai Ya Har Cheez Ki,

Jamhoor Ki Raaye Ye Hai Ke Sirf Ashya E Khud'nosh Ki Hi Zakheera'andozi Haram Hai,

Lihaaza Agar Koi Baqi Ashya Ki Zakheera'andozi Karta Hai Toh Ye Shar'an Mana Nahin,

Jabke Imam Malik Aur Qazi Abu Yousuf (Rh) Ka Kahna Hai Ke Har Us Cheez Ki Zakheera'andozi Haram Hai Jiska Rok Rakhna Logon Ke Liye Taqleef Aur Nuksaan Ka Ba'as Ho Chaahe Wah Sona (Gold) Ho Ya Kapde, Ya Kuch Bhi,

Jamhoor Ulema Apne Mauqaf Ki Taeed Me Wah Riwaayaat Pesh Karte Hain Jinme Zakheera Andozi Ke Saaath Lafz E Ta'aam Ki Qaid Maujood Hai

(Tafseel Ke Liye Dekhiye Sharah Muslim Al Nawawi 11/43, Sabeelul Islam 3/1090, Tohfatul Ahwazi 4/549, Mirqaat 6/110)

Lekin Shaikh Albani Ki Tahqeeq Ke Mutabik Wah Riwaayat Dhaeef Hain,

Unmese Ek Riwayat Ye Hai

"Jisne Logon par Unka Ghalla Zakheera Kar Liya Allah Tala Use Kodh Ayr Aflaas Me Mubtela Kar Denge"

(Zaeff Ibn Majah 476 Kitab Ut Tijarat)

Chunke Sahih Hadith Me Mutaqan Zakheera'andozi Ki Muzammat Ki Gayi Hai,

Lihaaza Hamare Ilm Ke Mutaabik Is Masle Me Qabil Tarjeeh Ye Raaye Hai Ke Kisi Bhi Cheez Ki Zakheera'andozi, JaBke Log Us Cheez Ke Muhtaaj Hon Aur Wah Shakhs Use Musalmano Ke Liye Mahenga Karna Jaanta Ho, Khuraak Ki Ho Ya Uske Elawa Kisi Aur Cheez Ki, Haram Hai,

Imam Shaukani Ne Bhi Isi Raaye Ko Tarjeeh Di Hai

(Neelul Awtar 3/604)

ZAKHEERA'ANDOZI KI CHAND NA'JAYEZ SOORATEIN:

1- Jab Ghalla Ghalla Wagerah Ka Rate Badh Raha Hota Hai Toh Taajir Ya Zameendar Is Niyyat Se Ashya Stock Kar Lete Hain Ke Jabtak Rate Falan Hadh Tak Nahin Pahunchega Ham Apni Ashya Market Tak Nahin Laayenge, Halaanke Un Ashya Ki Market Me Usi Waqt Zaroorat Bhi Hoti Hai,

2- Hukumat Koi Cheez Zyada Samjh Kar Export Kar DetI Hai, Lekin Baad Me Us Cheez Ki Qillat Paida Ho JaatI Hai,

Fir Hukumat Wahi Cheez Dusre Mulk Se Import Karti Hai, Is Waqfa Me Taajir Log Zakheera'andozi Ke Zariye Ashya Ki Qeematein Aasmaan Tak Pahuncha Dete Hain Aur Khoob Munaafa Kamaate Hain, Jabke Ghareeb Awaam Mehenge Daamon Me Hi Ashya Khareedne Par Majboor Hoti Hai,

3- Kuch Hoshiyaar Taajir Khufiya Zaraaye Se Ye Pata Chala Lete Hain Ke Aainda Saal Sarkaari Budget Me Kin Ashya Ki Qeematein Badh Rahin Hai, Aur Fir Un Ashya Ki Zakheera'andozi Karke Unki Farokht Rok Lete Hain,

Baad Me Jab Wah Ashya Mahengi Ho Jaati Hai Toh Fir Unhe Farokht Karke Khoob Kamaayi Karte Hain..

ZAKHEERA'ANDOZI KI CHAND JAYEZ SOORATEIN:

1- Jab Koi Cheez Wafar Aur Sasti Qeemat Me Dast'yaab Ho, Aise Halaat Me Agar Koi Taajir Wah Cheez Zakheera Kare Aur Fir Jab Logon Ko Zaroorat Padhe Toh Unhe Us Waqt Ki Qeemat Ke Mutaabil Farokht Bhi Kar De Toh Ye Zakheera'andozi Haram Nahin,

Kyonki Usme Zaroorat Ke Waqt Cheez Roki Nahin Gayi Balke Unhe Muhayya Ki Gayi Hai

2- Agar Koi Shakhs Zaati Zaroorat Ke Liye Ghar Me Ghalla (Ya Koi Aur Cheez) Zakheera Kar Leta Hau Taake Aainda Mehengayi Ke Ayyam Me Use Sahuliyat Rahe Aur Us Waqt Wah Cheez Aasaani Se Market Me Bhi Dast'yab Ho Toh Aisi Zakheera'andozi Me Koi Qabahat Nahin,

Imam Nawawi Bhi Iske Qayel Hain

(Sharah Muslim 11/43)

MASNUI QILLAT (FAKE SHORTAGE) PAIDA KARNE KI EK JADEED (MODERN) SOORAT:

Is Soorat Ka Taalluq Bade Bade Maaldaar Aur Taajir Logon Se Hai Jo Ghar Baithe Telephone Par Hi Karobaar Chalaate Hai,

Ye Log Andaza Lagate Hain Ke Kaun Si Ashya Aane Waale Dino Me Mahengi Hone Waali Hai, Fir Un Ashya Ki Meel Ya Factory Me Raabta Karte Hain Aur Unhe Bahut Bada Order De Dete Hain, Jise 

Poora Karne Me Factory Ko 2-3 Maheene Dar'kaar Hon Aur Itne Bade Order Ki Soorat Me Jahan Kuch Qeemat Advance Me Ada Kar Dete Hain Wahan Aam Rate Se Kam Rate Par Hi Sauda Karte Hain, Jispar Factory Waale Bhi Khushi Se Razamandi Zaahir Kar Dete Hain,,

Is Dauraan Wah Cheez Market Me Aana Band Ho Jaati Hai, Nateejatan Ek Taraf Log Pareshaan Hote Hain Aur Dusri Taraf Uski Qeemat Badhna Shuru Ho Jaati Hai,

Kyonki Fir Wah Cheez Jis Ke Paas Bhi Hoti Hai Wah Use Apni Marzi Ki Qeemat Par Bechta Hai,

Factory Waale Jab Rate Badhta Hua Dekhte Hain Toh Us Taajir Ko Kuch De Dila Kar Jaan Chhudaane Ki Koshish Karte Hain Lekin Wah Taajir Bahut Zyada Munaafa Kamaane Ka Khwaahish'mand Hota Hai,

Is Tarah Us Cheez Ki Qeemat Mazeed Badh Jaati Hai, Aur Yun Baaz Auqaat Factory Waale Taajir Ko Uska Advance Aur Saath Me Kuch Munaafa Dekar Raazi Kar Lete Hain Aur Baaz Auqaat Taajir Apna Order Poora Karaane Par Hi Musr Ho Hota Hai, Aur Wah Cheez Haasil Karke Market Me Mehenge Daamon Me Farokt Karta Hai,

Yun Ek Cheez Ki Maujoodagi Ke Ba'wajood Market Me Uski Masnui Qillat Paida Kar Di Jaati Hai, Jiske Nateeje Me Bila'wajah Ek Cheez Ka Rate Badha Diya Jaata Hai Aur Logon Ki Zarooraton Aur Majboorion Ka Bahut Zyada Faayeda Uthaaya Jaata Hai,

Karobaar Ki Ye Soorat Bhi Haram Hai Kyonki Ek Toh Ye Zakheera'andozi Ki Hi Ek Soorat Hai, Aur Zakheera'andozi Haram Hai Jaisa Ke Peeche Iske Dalail Zikr Kiye Ja Chuke Hain,

Dusre Shariat Me Aise Cheez Ke Saude Se Mana Kiya Gaya Hai Jo Paas Maujood Na Ho Aur Us Soorat Me Yaqeenan Factory Waale Ne Jis Cheez Ka Sauda Kiya Hai Wah Cheez Uske Paas Maujood Nahin,

3- Shariat Me Aisi Cheez Ka Bhi Sauda Mamnu Hai Jise Qabza Me Na Liya Gaya Ho Aur Khareedi Hui Jagah Se Uthaakar Apne Paas Na Rakha Gaya Ho,

4- Aisa Sauda Bhi Na'jayez Hai Jise Maap Tol Kar Farokht Na Kiya Jaaye Aur Yahan Maapne Tolne Ka Sawaal Hi Paida Nahin Hota Kyonki Waah Cheez Abhi Maujood Hi Nahin,

Lihaza Ye Soorat Haram Aur Na'jayez Hai....