Bismillahirrahmanirraheem
KHILAFAT KE QAYAAM KO APNA BUNIYADI MAQSAD BANAANE WAALI JAMATON KE SAATH HAMARA RAWAIYYA KAISA HONA CHAHIYE- KYA HAM UNKA SAATH DEN YA UNSE ALAG RAHEN??
Ek Maqoola Hai Ulema Ka Ke
"Tumhare Aamaal Tumhare Hukmaran Hain"
Jaisa Tum Aamaal Karoge Waise Allah Tala Tumhare Uper Hakim Musallat Kar Dega,
"Agar Aise Hukmara Aaye Jo Fasiq Ho Aur Tumpar Zulm Karen , Toh Tum Fauran Allah Ke Darbaar Me Tauba Karo"
(Tabraani)
Yani Wo Tumhare Amaal Ki Kharabi Hai Unko Tanqeed Na Karo Balke Apne Aamaal Ki Taraf Ruju Karo,
Aur Ye Tahqeeq Karo Ki Hamme Kaunsi Khamiyan Paida Ho Chuki HaiN Jo Allah Ne Ye Hakim Ham Par Musallat Kar Diye,
Agar Tumhare Amaal Theek Hogaye Toh Allah Khud Ba'khud Islaah Kar Dega,
Baaz Log Ya Jamatein (Groups) Qayaam E Khilaafat Ke Daee Hain Aur Khilafat Ko Qayem Karna Chaahte Hain Aur Uske Liye Wo Jeddo Jehad Kar Rahen Hain,
Iske Liye Arz Hai Ke
Qayam E Khilafat Koi Deeni Hadaf Nahin Hai ke Liye Koshish Karen Ke Ham Khilafat Qayem Karenge
Aur Na Ye Koi Sharai Amr Nahin Hai, Aur Na Hi Ambiya Ka Raasta Hai,
Ambiya Ki Jo Seearat Hai Ambiya E Kiram Ka Jo Awwal Waahid Nukta Hai Wo DAAWAT e Tawheed Hai,
Daawat Do, Tazkiya Karo, Tasbiyah Karo, Logon Ki Islaah Karo, Unki Tarbiyat Karo, Aur Tawheed Ko Aam Karo Ye Failti Jaaye, Bas Ye Hi Hamari Duty Aur Daawat Hai,
Qayam E Khilaafat Hamare Haath Me nahin Balke Ye Allah Rabbul Izzat Ke Haath Me Hai Agar Ham Allah Ki Tawheed Ki Khidmat Karen Aur Khidamat Karte Karte, Isko Failate Failate Hamara Wastawaa aisa Ho Jaaye Ki Allah Tala Hamen Is Mustahiq Samjhe Toh Wo Hamen Khilaafat Ata Farma De,
Khilaafat Qayem Karne Se Qayem Nahin Hoti Balke Ye Allah Tala Ke Wateer Karne Se Milti Hai, Aur Allah Ki Ata Se Milti Hai,
Ek Banda Ghar Se Program Banakar Nikle Ke Mujhe Khilafat Qayem Karni Hai, Iske Liye Jeddo'jehad Karni Hai, Toh Ye Bilkul Ghalat Aur Be'buniyaad Soch Hai,
Kuch Jamaton Ka Hadaf Ye Hai Ke Unhe Khilaafat Qayem Karni Hai,
Un Jamaton (Groups) Ka Ye Hadaf Ambiya Aur Salaf Ki Daawat Se Bilkul Bhi Nahin Milta,
Aapki Duty Allah Tala Ki Ibaadat Karna Hai Ya Hukumat Qayem Karna ??
Aapki Duty Ibadat Karna Hai, Aap Ibaadat Karen, Ibaadat Karaayen, Aur Ibaadat Ka Huqm Den, Logon Ko Daawat Den,
Mumkin Hai Ki Aapki Daawat Failte Failte Aise Modh Par Pahucn Jaaye Aur Aap Is Amr (Khilaafat) Ke Mustahiq Ho Jayen Ke Ye Aijaaz Bhi Aapko De Diya Jaaye,
Wo Allah Aapko Ata Farmaayga,
Aur Quran Me Jahan Ye Mansab Ki Baat Hai, Toh Ye Amr Allah Ki Taraf Mansoob Hai Wo Allah Ki Den Hai,
Aur Allah Ye Tab Dega Jab Koi Iska Mustahiq Ho,
Aur Ye Ghair Fitri Khilaafat Ka Qayaam Bilkul Na'jayez Hai
Shuru Islam Ke Daur Me Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Pesh'kash Hui Ke Aap Makka Ke Baadshah Ban Jaayen,
Lekin Aapne Sirf Dawat Par Tawajjoh Di, Aap Dawat Dete Gaye Dete Gaye, Aage Chalkar Jihaad Bhi Shamil Ho Gaya,
Aur Fir Wo Waqt Aa Gaya Ke Musalman Khilaafat Ke Mustahiq Ho Gaye Ki Unhe Khilaafat De DI jaaye,
Toh Iske Nateeje Madeena Munawwara Me Ek Bahtareen Islami Mulk Qayem Ho Gaya,
Agar Aap Ambiya Ke Bataaye Is Tareeqe Par Chalenge Toh Fir Ye Hoga,
Aur Aap Pahle Din Se Hi Ye Program Bana Kar Chalen Ki Aapko Khilaafat Qayem Karni Hai, Toh Ye Bilkul Ghalat Tareeqa Hai,
Jamat E Islami Aur Muslim Brotherhood Inka Bhi Yahi Naara Hai Ki Pahle Hukumat Fir Deen,
Iske Liye Siyaasat Jamhooriyat (Democracy) Me Hissa Lena, Assembaly Me Jaayenge Aur Fir Islam Laayenge Ka Naara Lagaana Bilkul Najayez Hai,
Wo Aaj Tak Na Assembaly Ja Saken Aur Na Islam Aa Saka,
Asal Khulasa Kalam Se Hai Ki Tum Deen Ke Khadim Bano, Tawheed Asal Manhajj Hai Use Samjho Use Apnaao,
Jamat E Islami Waalon Ke Paas Aqeede Ka Ehtemaam Nahin
Jahan Hanafi Hain Waha Saare Jamat E Islami Waale HanafI Hain,
Jahan Shafai Hain Wahan Saare Jamat E Islami Waale Shafai Hain,
Haatta Ke Oman Me Saare Khaarji Hain Wahan Saare Jamaat E Islami Waale Khaarji Hain,
Aqeede Ka Koi Ehtemaam Nahin, Ye Tarteeb Bikul Baatil Hai,
Hamara Kaam Aur Hamari Muhim Ye Honi Chahiye Ke Ham Tawheed Qubool Karen Aur Tawheed Ke Daee Bane, Iske Liye Kaam Karen Aur Mahnat Karen,
Allah Tala Ki Ibaadat Karen Aur Karwaayen, Logon Par Tawheed Ko Pesh Karen,
Baaqi Alalh Tala Agar Hamen Is Qaabil Samjhega Toh Khilaafat Ata Farma Dega,
Nahin Samjhega Toh Ye Deen Sawaal Mese Nahin Poocha Jaayega,
Balke Qayamat Ke Din Ye Sawaal Hoga Ke Tumne Allah Ki Ibaadat Kyon Nahin Ki ??
Ye Sawaal Nahin Hoga Ki
Tumne Khilaafat Kyon Qayem Nahin Ki Aur Hukumat Qayem Kyon Nahin Ki ???
Khilaafat Wa Hukumat Qayem Karne Par Waqt Sharf Karna Ye Bilkul Salaf Ke Manhajj Ke Khilaaf Hai...
Allah Tala Hamen Haq Baat Kahne Sunne Aur Us Par Amal Karne Ki TaufeeQ De..... Aaameen Ya Rabbul Aalaameen
#UmairSalafiAlHindi