Tuesday, September 23, 2014

AHKA'AM AL MASJID - PART -2

 


AHKA'AM AL MASJID - PART -2



Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..

::::::::AHKA'AM AL MASJID::::::::

Es Sar jameen per Masjid Allah Tala k Ghar hai ' ye Islam k Aham Sha'ar hai' Muslamano ki Moujudge ki Nesa'ani hai ' Aur Allah Tala k Touheed Paigaam ko buland karne k ye Bahut Bara Zareya hai ' Masjid ki Tameer k Selsele Me Hadeeso me Bare Fajelat Bayan ki Gaye hai.

1-Hazrat Usmaan bin Afaan r.a se Rewayat hai' Rasullah Salllahu Alaihe Wasallam ne Farmaya : ''Jo Saks Raza-Elahi ke leye koi Masjid Banata hai tou Allah Tala uske leye Jannat me ek Ghar Banata hai.

[Bukhari jild-1 safa-64 kitab al salat hadees no-431,450, Sahi Muslim jild-1 safa-201 kitab al Masajid hadees no-533,828,829,5297,5298, Jamai Tirmizi kitab al Salat hadees no-292,Sunan Ibn Maza kitab al Masajid hadees no-728,Mmusnad Ahmed jild-1 safa-270 hadees no-407,Sunan Al Darmi jild-1 safa-323 hadees no-1356,Sahi Ibn kuzaima hadees no-1291,Sunan Lil Bahqi jild-2 safa-437]

2-Hazrat Abu huraira r.a se Rewayat hai' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya : ''Allah Tala ko Masjide bahut Jayada Mahbub hai Aur Baza'ar Entehaye Na Pasand''.

[Muslim jild-1 safa-236 kitab al Masajid hadees no-671,1076]

3-Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya : ''jo Din k Awwal hissa me ya Din k Akher hissa me Masjid ki Taraf jaye tou Allah Tala uske leye Jannat me Mahmaane Tayyar karta hai ' yaani Samaan gayafat Tayyar karta hai' jab jab wo Aye Aur jaye''.

[Bukhari jild-1 safa-91 kitab al Azaan hadees no-622,662, Muslim jild-1 safa-230 kitab al Masajid hadeed no-669,1073,Musnad Ahmed hadees no-10200]

:::::::Musalli (Namazio) k leye Faristo ki Duaye :::::

Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai 'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Musalli jab Apne jagah per Baith ker Salat (Namaz) k Intezar karta rahta hai tou Fariste uske leye Rahmat wa Magfirat ki Dua karte Rahte hai yaha tak k uska Waju Tut jaye ' Wo Fariste Kahte hai Aye Allah ! Es ko Baks de' Es per Raham Farma' Aur Musalli jabtak Salat k Intezar karta rahta hai' goya k wo Halat Salat me hota hai''.

[Bukhari jild-1 safa-90 kitab al Azan hadees no-629,659,Muslim kitab al Masajid hadees no-1059.1060,1061,1062,106
3, Sunan Abu Daood kitab Al Salat hadees no-469,670,471,559,jamai Tirmizi kitan al salat hadees no-19,200,Sunan Nishai kitab al Masajid hadees no-725,829,Sunan Ibn Maza kitab al Masajid hadees no-778,779,Musnad Ahmed hadees no-6888,7108,7121,7236,7268,Muatta Imam Malik hadees no-265,344,345,347]

:::::Masjid me Salat (Namaz) k Intezar' Salat he me Sumar hota hai ::::::

Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi hai' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Tumme Se her Saks Us Waqt tak Salat me he Rahta hai jabtak k Salat use Roke Rakhte hai ' Es Tarah k Use Uske Ghar-walo ki Taraf jane se Serf Salat rok Rahe hai''.

[Bukhari jild-1 safa-90 kitab al Azan hadees no-170,426,457,Muslim jild-1 safa-234 kitab al Masajid hadees no-1059.1060,1061,1062,106
3, Sunan Abu Daood kitab Al Salat hadees no-297,396,391,398,470,Sunan Nishai kitab al Masajid hadees no-725,Musnad Ahmed hadees no-7121,7236,7296,Muatta Imam Malik hadees no-344,345,347]

:::::Baad Waju Hantho ki unglia ek Dusre me Dakhil Karna:::::::

Chunache (Sunan Abu Daood jild-1 safa-83 kitab al salat hadees no-562, Aur Musnad Ahmed jild-3 safa-24),

Me Ek Sahi Rewayat jo Hazrat Ka'ib bin Uzr r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Mujhe Es se Mana keya Aur Farmaya :

''Jab Tum Waju kar k Masjid jao tou Ek Hanth ki Unglia Dusre Hanth ki Unglio me Na Dakhil karo' Es leye k Tum Halat e Salat he me hote ho''.

Note: Es hadees se hume ye pata Chala k Jab hum Majid me baithe ho tou Wo Namaz he kaifeyat hote hai jaisa k pichle Hadees me guzar chuka hai aur Us waqt hum Apne hantho ki unglio ko ek Dusre k Ander Dakhil na ker k baithe kuki Nabi e Paak (s.a.w) ne Mana farmaya hai Aysa karne se.

[Sunan Abu Daood jild-1,safa-83 kitab al salat hadees no-526,475,Jamai Tirmizi jild-1 safa-50 kitab al salat hadees no-352,Musnad Ahmed Hadees no-17408,1414,17428, Sunan al Darmi kitab al salat Hadees no-1368,1369, Shaikh Albani r.al ne Es hadees ko Sahi kaha hai]

::::::Kuch Namaze Ghar me Padne Chayye::::::::

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a se Rewayat hai ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Jab tum Masjid me Salat Ada karo tou Salat k kuch Hissa (Nawafil wa Sunnat) Apne Gharo me padho' kuki Allah Tala uske Ba-Daulat Gahr me Valai Ata farmaye ga.''

[Sahi Muslim jild-1 safa-265 Hadees no-778, Sunan Abu Daood jild-1 Safa-99 kitab Al salat Hadees no-1326,Musnad Ahmed Hadees no-13872,13876]

::::::Baaz Masjido me Salato k Sawab::::::::

1-Hazrat Jabir bin Abdullah r.a se rewayat hai' Farmate hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya :

''Masjid e Hara'am me Ek Waqt ki Salat Dusre Masjid ki ek lack (1,00,000) Salato (Namzo) se Afzal hai''.

[Sunan Ibn Maza jild-1 safa-102 Iqamat al salat Hadees no-1406,Musnad Ahmed hadees no-14167,14733, (Sahi) ]

2-Hazrat Abu Huraira r.a se rewayat hai k ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Mere Es Masjid ''Masjid e Nabwi'' me ek Salat' Masjid e Haraam k sewa Tamam Masjido se ek Hazar (1,000) Salato (Namazo) se Afzal hai''.

[Bukhari jild-1 kitab al Taharat Hadees no-1190,1116,Muslim jild-1 safa-446 kitab al Haj Hadees no-2469,2470,2472,Jamai Tirmizi jild-1 Safa-44 kitab al salat Hadees no-299,Sunan Nishai jild-1 safa-71 kitab al Masajid hadees no-687,285,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-102 kitab al salat hadees no-1394,Muatta Imam Malik -414]

3-Hazrat Maimuna Bant Harish r.a se rewayat hai,Farmati hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya :

''Masjid e Aksa Me Ek Salat' Ek Hazar (1,000) Salato (Namazo) k Barabar hai''.

[Sunan Ibn Maza jild-1 safa-102 kitab Iqamat al salat Hadees no-1407,1397,Sunan Abu Daood kitab al salat Hadees no-457,Musnad Ahmed Hadees no-26353, Es hadees ko Shaikh Albani r.al ne Zaif kaha hai]

Note : Ibn Maza jild-1,Safa-23 Iqamat al salat Hadees no-1413 me jo Hazrat Anas bin Malik r.a se rewayat hai' jisme Jekar hai k Masjid e Nabwi Aur Masjid e Aksa me ek Salat ' sewaye Masjid e Haraam k Pachas hazar (50,000) Salato (Namazo) k Barabar hai ' Wo Rewayat Sakt Zaif Hai kuki us Hadees ke Sanad me ''Razek Bbu Abdullah Illalihani al hamzi '' hai' esko [Al takreb (1943),Al kamal(1907),Al Tarekh al kaber (jidl-3,Safa-1084) , Al zarra (jild-3 Safa-2288), Al kasaf (jild-1,Safa-310) , Mizan ul Aitada'al (jild-2,Safa-2775) me Sakt Zaif Sumar keya gaya hai.]

Post to be Continu.......