Monday, September 1, 2014

GALTI MARD KARE AUR SAZA AURAT BHUGTE YE KUNSA DEEN HAI?? HALALA KYA HAI ?? BY-Ayan Khan Salafi





Halala Aise Nikah Ko Kahte Hai Jis Me Koi Admi 3 Talaq Wali Se Sirf Talaq Ki Niyat Se Nikah Wa Mubashart Karta H Taki Wah Aurat Pahle Shauhar Ke Liye Halal Ho Jaye Ise Mansha Se Nikah Ko Halala Kahte Hai
.
YANI GALTI MARD KARE AUR SAZA AURAT BHUGTE HAI HANFIYO YE KUNSA DEEN HAI??
.
Rasulullah ka Farman
.
Rasulullah s.a.w Ne Halala Karne Wale Aur Jis Ke Liye Halala Kiya Jaye Dono Par Lanat Farmai
.
Tirmizi 894, Nasai, Darmi Baiheqi , Ahmad
.
Rasul s.a.w Ne Farmaya Me Tumhe Udhar Ke Sand Ki Khabr Na Du Sahaba Ne Kaha Q Nahi To Ap Ne Farmaya Wah Halala Karne Wala Hai Allah Ne Halala Karne Wale Aur Jis Ke Liye Halala Kiya Jaye Dono Par Lanat Farmai
.
Ibne Majah 1936, Dare Kutani 3/251, Hakim, Baiheqi
.
Note:- Ye Hadis Halala Haram Hone Ki Dalil Hai Kyo Ki Lanat Sirf Haram Karne Par Hoti Haram Kam Mana Hota Aur Har Mana Kam Aqd Ke Nirast Hone Ka Haqdar Hai
.
Subulssalam 3/1336
.
Hazrat Umar r.a Farmate Hai Ahade Risalat Me Log Halale Ko Badkari Kaha Karte The
.
Hakim 2/199 Tabrani Ausat Kama Fil Majma 4/264 Imam Haismi rh Ne Is Rijal Ko Sahi Rijal Kaha Hai
.
Hazrat Ibne Umar r.a Se Halale Ke Bare Pucha To Unhone Kaha Dono Badkar Hai
.
Ibne Abi Sheeba 4/294 Shaikh Sabahee Hallaq Ne Ise Sahi Kaha
Attaleeq Alrauztunndiya 2/38
.
Hazrat Umar r.a Ne Farmaya Mere Pas Halala Karne Wala Jiske Liye Halala Kia Jaye Dono Laye Gaye To Me Dono Ko Rajam Kar Dunga
.
Ibne Abi Sheeba 4/294, Abudurrajzak 6/218
.
Bhaisb Ne Jhuth Mara Ki Jamhoor Ke Nazdik Halala Jaiz Hai Jb ki Jamhoor Ke Nazdik Halala Haram Hai
.
Ibne Taiymmiya rh - Halale Ke Nikah Ke Jhuthlane Par Par Ummat Ka Ijma Hai
.
Fatawa Annisa Li Ibne Taiymmiya Page 242
.
Ibne Qayyim Rh Halala Karne Wale Ka Nikah Kisi Deen Me Kabhi Bhi Jaiz Nahi Hua Aur Na Hi Kisi Ek Sahabi Ne Aisa Kia Aur Na In Me Se Kisi Ne Iska Fatwa Dia
.
Aalamul Moqieen 3/41-43


BY- ayan khan salafi