Wednesday, September 24, 2014

AHKA'AM AL MASJID- (PART -3)--- Via Imran Khan Salafi



::::::::AHKA'AM AL MASJID::::::::

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

:::::Gahr se Ba-Waju ho ker Masjid Ane ki Fazila:::::

Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''jo Saks Apne Ghar me Waju kar k Allah Tala k Gharo me se kisi Ghar ki taraf jata hai,Ta k Uske kisi Fariza ko Ada kare, Tou uska Ek Kadam Gunah ko Meta hai Aur Dusra Uske Darza'at ko Buland karta hai.''

[Bukhari jild-1 safa-69 kitab al salat hadees no-657,Muslim jild-1 safa-235 kitab al Masajid Hadees No-1070,Jamai Tirmizi jild-1 safa-77 kitab al jamat hadees no-548, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-56 kitab al Masajid Hadees No-766,Musnad Ahmed Hadees no-7121]

::::Masjid ki Taraf Teje se Chal ker Ana Mana hai:::::

Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai k' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ne farmaya :

''Jab Tum Iqamat Soon lo tou Namaz k leye Es Tarah Chal k Aao k Tum per Sukun wa Waka'ar ho Aur Jaldi Mat karo' Jitne Namaz Mel jaye Wo padlo' Aur jo Rah Jaye ' use Baad me Pura karo''.

[Bukhari jild-1 safa-88 kitab al Azaan hadees no-600,636,857,Muslim jild-1 safa-220 kitab al Masajid Hadees No-944,945,946,Jamai Tirmizi kitab al Salat hadees no-301, Sunan Nishai kitab al Imamat jild-1 safa-99 hadees no-852,Sunan Abu Daood jild-1 Safa-84, kita al salat Hadees no-485,486]

Chunache Mazkura Ahadees me Mumaniyat ko Iqamat Sunne k Sath Muqeed keya gaya hai leken Iqamat se Pahle v Teze Se Masjid ki Taraf Ana Mana hai Jaisa k Dusre Hadees me Aya hai :

''Jab Tum Namaz k leye Aao Tou Sukoon wa Itmenan se Aao''

[Bukhari jild-1 Safa-88 kitab al Azaan Hadees no-599,635,Muslim jild-1 Safa-220 kitab al Masajid Hadees no-948,Musnad Ahmed hadees no-21560,Sunan Al Darmi kitab al Salat hadees no-1252]

Pahle Hadees me Iqamat ki Qaid Serf Es leye hai k Amuman (humesha) yahi Chiz Inshan ko jaldi karne per Uvarti hai.

:::::Kacchi Peyaz Aur lahsun kah ker Masjid me Ana Mana hai:::::

Hazrat Jabir bin Abdullah r.a se Rewayat hai k' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :

''Jo Saks kacchi peyaz' Lahsun Aur kura'as(ek kism ki badbu daar Sabzi) kaye Wo humare Masjid me Na Aye kuki jis chiz se Banu-Adam ko Takhleef hote hai'Us se Rab k Faristo ko v Takhleef hote hai.''

[Bukhari jild-1 safa-118 kitab al Azaan hadees no-807,Muslim jild-1 Safa-209 kitab al Masjid Hadees no-564,876]

Dusre Rewayat me Es Tarah jikar hai :

''Jo Saks Kacchi lahsun ya Peyaz kaye wo hum se Dur rahe 'ya (ye farmaya k) humare Masjid se Dur rahe'Aur Apne Ghar me Baitha Rahe.''

[Bukhari jild-1 safa-118 kitab al Azan Hadees no-807,808,5023,6812,7369,Muslim jild-1 Safa-209 kitab al Masajid Hadees no-564,874,875,876,Sunan Abu Daood jild-2 Safa-535 kitab ala tamat Hadees no-3326,3822,Jamai Tirmizi jild-2 Safa3 kitab ala tamat Hadees no-1728,1806,Sunan Ibn Maza jild-2 Safa-249 kitab ala tamat Hadees no-3365,Musnad Ahmed jild-3 safa-380 Hadees no-14483,14538,14626,14736,1476]

Ha Ager peyaz wa lahsun Aap jayada pasand karte hai tou jaisa k Sunan Abu Daood jild-2 Safa-536 kitab ala tamat Hadees no-3827 Aur Musnad Ahmed Hadees no-15258 ki Sahi rewayat me es Tarah zekar hai.

''k Peyaz wa Lahsun ko paka lo unke Bu (badbu) maar lo Fer khao''.

Note :- keya kisi k Tasur me ye baat Aa sakte hai k Segret , Biri, pine wale k hukm me Dakel Nahi? Sab ko Malum hai k Sigret ki Badbu Peyaz wa Lahsun ki badbu se kaye Jeyada Aziyat-naak (kharab) hote hai,En 2no k khane me tou Nuksan v Nahi,Mager Sigret wagira k pine se Bahut se Nuksan Aap k Samne hai (jo aap ko her Docter baar-baar yad delata hai) Aur koi Faida v Nahi hai, es leye Ayse Chizo se Musalmano ko Ijtenab(parhez) karna chayye.

:::::Masjid me Dakhil hote Waqt ki Dua:::::

1-Hazrat Abdullah bin Umru bin Ala'as r.a se rewayat hai k' Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Masjid me Dakhil hote Waqt ye Dua pada karte the :

Tarzuma: ''May Azim Allah ki' uske jaat karem ki Aur uske Kadem badsahat ki panah chata hu'mardood Shaithan se''

[Sahi Sunan Abu daood hadees no-466,Sunan Abu daood jild-1 safa-67 kitab al salat hadees no-466 (Shaikh Albani r.al ne es hadees ko sahi kaha hai)]

2-Hazrat Abu sayed r.a se rewayat hai k' Rasullah Sallahu Alaihe wasallam ne Farmaya :

''jab Tumme se koi saks Masjid me Dakhil hotou sabse pahle Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam per Salam veje yaani wo (Bismillahe Wassalato Wassalamo Ala Rasulillah) padhe.''

[Sunan Abu daood jild-1 safa-67 kitab al salat hadees no-465,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-56 kitab al Masajid Hadees no-764,Sunan Al Darmi jild-1 safa-e24 kitab al salat Hadees no-1358 (Shaikh albani r.al es hadees ko sahi kaha hai)]

3- Fer ye padhe..

''Allahum-maftah li Ab-wa-ba-rahmatik''

''Aye Allah ! mere leye Apne Rahmat k Darwaje khol de''

[Muslim jild-1 safa-248 kitab al Masajid Hadees no-713,Sunan Nishai jild-1 safa-84 kitab al Masajid hadees no-721,Sunan Abu daood kitab al salat Hadees no-465,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-56 kitab al Masajid hadees no-764,Musnad Ahmed hadees no-15477,22502, Sunan al Darmi jild-1 safa-324 kitab al salat Hadees no-1358,5462,2575]

Masjid Me Dakhil hone wala Saks Ehtekaaf ki dua padhe.

Post to be Continu.......