Tuesday, September 2, 2014

TABLEEGHI CHILLA (LEAVING HOME FOR 40 DAYS FOR TABLEEGH) KI SHARAI HAISIYAT: PART -1





Bismillahirrahmanirraheem

TABLEEGHI CHILLA (LEAVING HOME FOR 40 DAYS FOR TABLEEGH) KI SHARAI HAISIYAT:


Maulana Zikriya Sahab (Rh) Tahreer Farmate Hain Ke

"Baaz Ahle Ilm Ki Taraf Se Ye Ishkaal (Shaq) Bhi Kaan Me Pada Jisse Zyadah Hairat Hai Ke Chilla Tableegh Waalon Ne Kahan Se Nikaala Hai Aur Uski Asal Kya Hai,

Halaanke Chilla Ki Asal Quran Paak Me Bhi Hai Aur Hadith Paak Me Bhi Hai,"

Iske Baad Maulana Zikriya Sahab Ne Moosa (As) Ki Misaal Quraan Se Pesh Farmaayi Hai,

Jisme Allah Tala Ne Tauraat Ata Karne Ke Liye Moosa (As) Ko 40 Din Toor Pahaad Par Qayaam Ka Huqm Diya Aur Isi Tarah 40 Ke Hindsa Ko Mukhtalif Hadith Ke Hawaale Se Pesh Kiya Hai,

Maslan Maa Ke Pet Me Bacche Ka 3 Chille Mukhtalif Haalaton Me Ghuzarna Aur Masjid Nabawi Ke 40 Namazein Padhne Par Jahannum Se Bara'at Waali Hadith,

Isi Tarah 40 Din Sadqah Karne Ki Hadith, Aur 40 Aadmi Ki Janazah Me Shirkat Se Marne Waale Ki Maghfirat Ki Basharat Waali Hadith,

Iske Baad Maulana Zikriya Sahab Likhte Hain Ke

" Soofiya Ke Yahan Toh Chilla Kashi Maaroof Wa Mash'hoor Cheez Hai, Har Cheez Ke Liye Chille Karaaye Jaate Hain, Ehteqaaf Ke Bhi, Asma Ul Ilaahiya Ke Bhi, Jo Har Shakhs Ke Haal Ke Munaasib Masaikh Tajweez Karte Hain

Aur Hz Thanwi Quddus Sirrahu Ne Toh Chhup Ka Chilla Bhi Tajweez Farmaya,

Hz Quddus Sirrahu Ne Hawa Khori Se Waapsi Ke Baad Farmaya Ke

"Maine Chilla Sukoot Ijaad Kiya Hai "

Log Kahte Hain Ke Kaisa Shakht Chilla Nikaala Hai , Bada Shakht Kaam Leta Hai, Ye Chilla Aisa Nikaala Hai Ke Bahut Hi Mushkil Hai,

Fir Farmaya

Kahne Do Logon Ke Kahne Ki Kahan Tak Parwaah Ki Jaaye,

Alhamdulillah Muqtadmeen Ki Sunnat Zinda Hoti Hai"

Mufti Mahmood Sahab Ne Naqal Farmaya Hai Ke

"Ek Sahab Ne Jin Ke Liye Hazrat Ne Chilla Sukoot Tajweez Kiya Tha Unhone Ek Takhti Tasweer Ki Tarah Gale Me Latkaayi Rakhi Thi Jispar Jali Huroof Se

" Khamosh"

Likha Hua Tha"

Is Ishkaal Ke Aakhir Me Kitab Ke Naasir Janab Anees Sahab Ki Taraf Se Ek Note Bhi Darj Hai Ke

"Jin Hazraat Ko Chille Ke Dalail Ki Tahqeeq Ho Aur Wah Logon Ko Samjhaane Chaahte Hon Unke Liye Ek Bahtareen Mazmoon Hai, Acchi Tarah Zehan'nasheen Kiya Jaaye"

(Book--Jamat E Tableegh Par Aitraazaat Ke Jawabaat By Maulana Zikriya Sahab (Rh))

TAJZIYA WA TAQQUB:

Maulana Zakariya Sahab Ne Tableeghi Chille Ki Jo Asal Aur Sharai Haisiyat Is Mazmoon Me Bayan Farmaayi Hai Uski Padhkar Yaqeen Nahin Aata Ke Ye Janab Sheikh Ul Hadith Zakariya Sahab Ke Kalam Se Nikle Hue Alfaaz Hain,

Kyonki Itni Satahi Aur Ghair Mudallal Tahreer Ek Aalim E Deen Ke Harghiz Shaya Shaan Nahin Hai,

Lekin Jab Ham Imam Shafai Ke Is Qaul Aur Raaye Ko Dekhte Hain Ke

"Agar Koi Shakhs Subah Ko Sufiyat Akhtiyaar Karta Hai Toh Zuhar Ke Waqt Aane Se Pahle Wah Ahmaq Ho Chuka Hota Hai"

Toh Yaqeen Ho Jaata Hai Ke Is Qism Ki Tahreer Ek Sufi Ke Kalam Se Sar'zad Hona Yaqeenan Mumkin Hai,

Aur Ham Jaante Hain Ke Zakariya Sahab Sheikh Ul Hadith Hone Ke Saath Saath Ek Sufi Bhi Hain,

Baher'haal Ham Is Ishkaal Ke Silsile Me Arz Karte Hain Ke

Moosa (As) Ko Allah Tala Ne 40 Nahin Balke 30 Raaton Ke Liye Talab Farmaya Tha Jo Baad Me 10 Raaton Ke Izaafe Ke Baad 40 Hue,

Nez Moosa (As) Ne Ye Chilla Allah Tala Ke Huqm Se Aur Allah Ke Kalam Ko Haasil Karne Aur Samjhne Ke Liye Lagaaya Tha,

Toh Kya Ye Tabhleeghi Jamaat Waale Bhi Allah Se Ham'kaLaam Hone Ke Liye Aur Kitabullah Haasil Karne Ke Liye Chille Kar Rahen Hain!?,

Aur Kya Tableeghi Jamat Ke Logon Ko Chilla Karne Ka Huqm Diya Hai ??

Aur Kya Moosa (As) Ne Khud Chilla Karne Ke Baad Apne Ummat Ke Liye Bhi Chilla Tajweez Kiya Tha ??

Agar Haan ! Toh Iska Suboot Kahan Hai ??

Aur Kya Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Moosa (As) Ki Is Sunnat Par Khud Amal Farmaya Tha Ya Apni Ummat Ko Is Sunnat Par Amal Karne Ka Huqm Farmaya Tha ??

Aur Kya Sahaba Kiram, Tabain, Taba-tabain Ya Aimma Kiram Ya Muhaddiseen Me Se Kisi Ne Kabhi Koi Chilla Kiya Tha ??

Agar Nahin Toh Fir Ye Yaqeenan Ek Bidat Hai Jise Sufiya Ne Ijaad Kiya Hai Jo Allah Tala Ki Raza Aur Khush'noodi Ka Ba'as Kabhi Nahin Ho Sakti..

Iske Baad Zakariya Sahab Ne Likha Hai Ke

"Insaan Ke Tagheer Wa Tabdal Par Asar Andaaz Hone Ka Saboot Hadith Shareef Me Hai Jaisa Ke Hz Abdullah Bin Masood (Ra) Ki Hadith Me Hai Ke Ek Aurat Ke Raham Me Nutfa 40 Roz Tak Apni Asli Haalat Me Rahta Hai, Fir Wah Khoon Se Tabdeel Ho Jaata Hai, Aur 40 Din Tak Usi Haalat Me Rahta Hai, Fir Wah Ghost Me Tabdeel Ho Jaata Hai, Aur 40 Din Tak Usi Halat Me Rahta Hai"

Is Hadith Se Istadlal Karte Hue Zakariya Sahab Likhte Hain Ke

"Insaan Ki Haalat Badalne Me 40 Ki Badi Ahmiyat Hai"

Ab Hamara Sawaal Ye Hai Ke

Aurat Ke Raham Me Pahle 40
Din Jo Nutfa Rahta Hai Kya Use Insaan Kaha Jaata Hai Ya Dusre Chille Me Jab Wah Khoon Hota Hai, Tab Use Insaan Kaha Jaata Hai, Aur Baqi 40 Din Jab Wah Gost Ka Lothda Hota Hai ; Kya Tab Use Insaan Kaha Ja Sakta Hai ??

Nahin Balke Insaan Us Waqt Banta
Hai Jab 120 Din Ke Baad Jab Farishta Usme Rooh Phoonk Deta Hai Yani Jo Tagheer Pahle, Dusre Aur Teesre Chille Ke Dauraan Jins (Jins) Me Waaqe Hota Hai Us Tagheer Ko Insaan Ka Tagheer Nahin Balke Us Madde Ka Tagheer Kaha Jaayega Jisse Insaan Ki Takhleeq Ki Jaayegi,

Fir Sawaal Ye Bhi Paida Hota Hai Ke

Kya Insaan Ke Jism Ka Tagheer Mahaz 3 Chillon Ka Mahdood Hota Hai ??

Nahin Balke Ye Tagheer (Chenges) Toh Muqammal 9 Maheeno Tak Maa Ke Rahem Me Jaari Rahta Hai Aur Paidaish Ke Baad Se Lekar Marte Dam Tak Insaan Ke Jism Ka Ye Tagheer Jaari Rahta Hai,

Pas Is Qism Ki Dalail Ki Buniyaad Par Ye Kahna Ki Insaan Ke Tagheer Wa Tabdeel Me Chille Ka Bada Haath Hai Mahaz Jihalat Hai,

Kyonke Agar Kisi Adad Ke Quran Me Aa Jaane Se Wah Adad (Ginti) Kisi Amal Par Daleel Ban Jaata Hai Toh Fir Har Baatil Giroh Aur Mazhab Quran Wa Hadith Se Is Qism Ki Misaalein Pesh Karna Shuru Kar dega..

Misal Ke Taur Par Quraan Me 12 Adad (Number) Aaya Hai Ke JAB moosa (As) Ne Apne Asaa Ko Zameen Par Maara Toh Zameen Se 12 Chasme Foot Nikle,

Ab Agar Is Adad Ko Daleel Banaakar Shia Apne 12 Imamon Ka Saboot Quran Se Dena Shuru Kar Den Toh Kya Use Tasleem Kar Liya Jaayega ??

Isi Tarah Quraan Me Hai Ke Yosuf (AS) ne Khwaab Me 11 Sitaare Dekhe,

Toh Ab Agar Hanafi Barelwi Hazraat Isko 11wi Shareef Ki Daleel Bana Len Toh Kya Ye Bhi Tasleem Kar Liya Jaayega ??

Isi Taraf Deegar Batil Mazahib Bhi Apne Apne Mazhab Ko Saabit Karne Yani Apne Kisi Ghair Sharai Amal Ko Shariat Saabit Karne Ke Liye Quran Wa Hadith Se Daleel De Sakte Hain,

Lekin Malum Hona Chahiye Ke Kisi Bhi Amal Ko Sharai Amal Saabit Karne Ke Liye Zaroori Hai Ke Us Amal Ko Nabi E Kareem (Sws) Ya Sahaba Kiram Se Saabit Kiya Jaaye, Ya Koi Dusra Amal Aisa Saabit Kiya Jaaye Jispar Apne Is Amal Ko Qayaas Kiya Ja Sake,

Nez Ye Qayaad Dhaeef Ya Mauzu Hadith Ki Buniyaad Par Nahin Balke Sahih Hadith Ki Buniyaad Kar Hona Chahiye,

Magar Zakariya Sahab Ne Is Cheez Ka Ehtemaam Farmaane Ki Kabhi Takleef Gawara Nahin Karte,

Jaisa Ke Chille Ki Fazeelat Me Bhi Baaz Zaeef Aur Mauzu Riwaayaat Se Istadlal Kiya Gaya Hai,

Maslan Ek Hadith Ye Naqal Farmaayi Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Jo Shakhs 40 Din Tak Ikhlaas Ke Saath Us Tarah Namaz Ada Karke Takbeer Oola Faut Na Ho Toh Usko Parwaane Milte Hain Ek Jahannum Se Azaadi Ka Aur Dusra Nifaq Se Bara'at Ka"

Is Hadith Ko Imam Tirmizi Ne Sunan Me Riwayat Kiya Hai Aur Ye Kaha Hai Ke Ye Riwayat Hz Anas (Ra) Se Maufooqatan Marwi Hai Yani Ye Allah Ye Rasool (Sws) Ka Kalam Nahin Balke Hz Anas (Ra) Ka Apna Qaul Hai,

Isko Sirf Qutbiya Bin Ta'mah Bin Umro Se Marfu'an Riwayat Kiya Hai

Nez Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ne Kaha Hai Ke Imam Tirmizi (Rh) Ne Is Hadith Ko Munqata Sanad Se Riwayat Kiya Hai,

Is Jarrah Se Malum Hua Ke Is Hadith Ka Nabi E Akram (Sws) Ka Farmaan Hona Sahih Sanad Se Saabit Nahin Hai,

Maulana Zakariya Sahab Ne Baaz Deegar Hadith Bhi Pesh Farma Kar Chilla Ko Qayaas Se Saabit Karne Ki Koshish Ki Hai, Magar Un Hadith Ka Haal Me Mandarja Bala Hadith Se Zyada Mukhtalif Nahin Hai

Nez Un Hadith Se Kisi Bhi Muhaddis Ya Imam Ya Faqeeh Ne Chilla Ki Fazeelat Saabit Nahin Ki Balke Wah Toh Is Chille Se Waaqif Bhi Nahin They Jo Jaahil Sufiya Ne Ijaad Kiya Aur Tableeghi Jamaat Ke Akaabireen Ne Apne Aur Apni Jamat Ke Liye Akhtiyaar Kiya Hai,

Is Zaman Me Zakariya Sahab Ne Apne Murshid Thanwi Sahab Ke Ijaad Kardah Chhup Ke Chille Ka Bhi Tazkirah Kiya Hai Aur Tasweeb Farmaayi Hai Jo Is Baat Ka Saboot Hai Ke Ye Sufi Hazraat Sirf Shariat Muhammadi (Sws) Ko Apne Liye Layeq Itteba Nahin Samjhte Balke Ghairon Ke Taur Tareeqon Me Panah Dhoondhna Ya Khud Hi Ijaadaat Karte Rahna Unki Aadat Hai,

Jaisa Ke Yahan Khud Zakariya Sahab Ne Aitraaf Kiya Hai Ke Chhup Ka Chilla Thanwi Sahab Ki Ijaad Kardah Bidat Hai,

Aur Har Bidat Gumraahi Hai Aur Har Gumrahi Jahannum Me Le Jaane Wali Hai

Aur Wah Majnoon Shkahs Jisne Peer Sahab Ke Kahne Par " Khamosh" Ki Takhti Gale Me Latka Rakhi Thi Jab Log Usko Is Haal Me Dekhte Hon Toh Kya Kahte Honge,

Magar In Ahmaqon Ko Fakhr Hai Ke Wah Neki Ka Amal Kar Rahen Hain,

Halanke Ye Neki Nahin Balke Neki Se Mahroomi Ka Sabab Hai,

Maslan Kya Ye Shakhs Jisne Chhup Ki Takhti Gale Me Latka Rakhi Thi, Kya Kisi Salaam Karne Waale Ke Salam Ka Jawab Deta Tha Ya Nahin Aur Khud Kisi Ko Salam Karta Tha Ya Nahin, Agar Nahin Toh Neki Se Mahroomi Hui Ya Nahin ??

Isi Tarah Amr Bin
Maroof Nahi Anil Munkar Bhi Neki Hai , Ab Kya YE shakhs Is Haalat Me Kisi Ko Neki Ka Huqm Deta Tha Ya Buraayi Se Rokta Tha Ya Nahin ??

Aur Kya Ye Apne Waalidain Aur Biwi Bacchon Se Baat Karta Tha Ya Nahin ??


Agar Nahin ! Toh Fir Uska Ye Chilla Uske Liye Neki Se Mahroomi Ka Sabab Bhi Laazim Hoga....

To Be Continued.... InShaAllah