Monday, March 3, 2014

BARRE SAGHEER (Hind-o-Pak) ME AHLE HADEES KI AAMAD KAB SE ? AHLE HADEE KA PAHLA KARWAN

Bismillahirramannirraheem
.
Barre Sagheer Me Ahle Hadis Ka Pahla Karwan Umar r.a Ki Khilafat Me Allah Ke Rasul s.a.w Ki Wafat Ke 4 Sal Bad Hee Sahaba Kiram r.a Ki Shakl MeAhle Hadiso Ka Pahla Karwan Yaha Aya Tarikh Kai Namo Ko To Mahfuz Na Rakh Saki Phr Bhee In 12 Sahaba r.a Ke Nam Tarikh Se Hme Milte Hai
1: Usman Bin Abulaas Saqfee r.a 15 Hijri Me Ek Behari Beda Lekar Thana wa Bharuch Ke Bndargah Tak Aye Use Fath Kia Lekin Kabja Brkarar Na Rakh Sake Wapis Oman Chale Gaye Jaha Ap Governer The
.
2: Hakam Bin Abulaas Saqfee r.a Inhone Ipne Bade Bhai Usman r.aKe Hukm Se Thana Bharuch DabelWa Makran Ke Ilako Me Jihad Kia Aur Unhe Jita
.
3: Mugeera Bin Abulaas Saqfee r.aApne Dono Bhai Usman Wa Hakm r.a Ke Sath Is Kafile Me Sharik The Nihayat Samjhdar Akalman Aur Dur Ras Nigah Rakhne Wale Shaks The Log Ap KiIjazat Wa Ahtram Karte The
.
4: Rabee'a Bin Jihad Harsee r.a 17H Me Jalik Kabul Kirman Aur Makran Ke Ilako Me Jihad Kia Us Waqt Ye Ilake Sindh Wa Blochistan Ke Hisse The
.
5:Hakam Bin Amr Gafari r.a 17H Me Makran Ke Waali Bnaye Gaye 23H Me Pure Makran Ko Fath Kia 57H Me Khurasan Me Wafat Hui
.
6:Abdullah Bin Abdullah Ansari r.a 23H Me Makran Aye Hakm Bin Amr Gafari r.a Ke Sath Jihad Me Shirkat Ki Aur Bahaduri Ke Jauhar Dikhaye
.
 7:Sahal Bin Adi Ansari r.a Badari Sahaba Me Se The 23H Me MakranAye Blochistan Ke Kai Ilako Ko Fath Kia
.
8:Shahab Bin Maharik Tamimi r.a17H Me Hakam Bin Amr Gafari r.aKe Sath Makran Ke Jihad Me Sharik The
.
9:Sahar Bin Abbas r.a Makran Ke Jihad Me Sharik The Ap R.A Ki Makran Ki Fath Khabr Lekar Umarr.a Ke Pas Gaye The
.
10: Aasim Bin Amr Tamimi r.a Sajistan Ke Karib Ka Ilaka Fath Ki Jo Tb Sindh Ka Hissa Tha
.
11:Abdullah Bin Ameer Ashjaee r.a 23H Me Sajistan Ki Jung Me Aasim Bin Amr r.a Ke Sath The
.
12:Naseer Bin Disam Ajali r.a 23HMe Blochistan Me Jihad Kia Fauz Ke Ek Daste Ki Kaman Ap Ke Pas Thi
.
UTHMAN BIN AFAAN R.A KE DAUREKHILAFAT ME Muharram 24 Hijari Me Jilhajj 35H Ke Bich Me Jo Sahaba Kiram r.a Yaha Aye Tarikh Unme Se Sirf In 5 Ke Nam Mahfuz Rakh Saki
.
1:Hakim Bin Jubla Abdi r.a Ap Sailani Ban Kar Brre Sagheer Ke Kuch Ilako Me Ghume Aur Waha Ke Halaat Ki Khabr Uthman r.a Tak Pahunchai
.
2: Ubaidullah Bin Mu'amar Timi r.a Makran wa Sindh Me Jihad KiaMaftuha Ilako Ke Gvrnr Bnaye Gaye
.
 3: Ameen Bin Usman Bin S'a'd r.a 29H Me Makran Ke Amir Bnaye Gaye .

4:Mujashe'a Bin Mas'ood Salmi r.a Kabu Me Islami Fauj Ke Ek Daste Ki Qiyadat Ki Aur Bad Me Balochistan Me Sajistan Ke Gvrnr Rahe Gujrat Ke Kathiyada Aur Rajsthan Ka Kuch Ilaka Fat'h Kia .
.
ALI R.A KE DAURE KHILAFAT ME
.
Jilhajja 35 se Ramzan 40H Ke Bich Jo Sahaba Yaha Aye Unme Se3 Ke Nam Hme Milte Hai
.
1 Kharit Bin Rashid Saami r.a Umar r.a Ke Daure Khilafat Me Fars Ke Ek Ilake Ke Waali The 37H Me Ali r.a Ke Hukm Se Makran Aye
.
 2 Abdullah Bin Suwaid Tamini r.aSindh Me Ek Jihad Me Hissa Lia Bahut Ache Shayar wa Adeeb The
.
 3 Kaleeb Bin Abuwayal r.a Ap Ne Brre Sagheer Ke Ek Ilake Me 1 Aisa Darkht Dekha Jiske Surkh Rung Ke Ek Phul Par Safed Hurf Me Muhammadrrasullah Likha Tha .
.
MUWAIYA R.A KE DAURE KHILAFAT
.
Ap Ke Daure Khilafat Me 4 Sahabar.a Yaha Aye
.
1 Muhlab Bin Abi Safrah r.a 44H Me Ek Fauji Ke Haisiyat Se Sindh Ke Shahar Kandabeel Me Jihad Kia Khurasan Ke Gvrnr Rahe 83 Me Faut Huwe
.
 2 Abdullah Bin Swar Abdi r.a 43H Me 1 Fauz Lekar Rann Kachh(ind gujrat) Aur Kalat Ke Ilako Me Jihad Kia
.
 3 Yasir Bin Swaar Abdi r.a 43H MeApne Bhai Abdullah Ke Sath Yaha Aye
.
4 Sanan Bin Salma Hazali r.a 50H Me Ek Fauj Ke Ameer Bnakar Aye Aur Fatuhat Ka Dayara Dur Tk Failaya 94 me Faut Huwe
.
YAZEED BIN MUWAIYA Ka Jamana E Hukumat 60H Me Apne walid Muaawiya r.a Ki Wafat Ke Bad Hukumat Apne Smbhali 3 Sal 8 Mah Tk Hukumat Ki 10 rabiul awal 60H Ko Faut Huwe
Inke Waqt 1 Sahabi Yaha Aye Manzar Jarur Abdi r.a 60 H Me AyeAur Bookan wa Kalat Ilako Me Jihad Ki Aur Kamyabi Hasil Ki 62H Me Sindh Me Maftuha Ilako Ke Gvrnr Rahe Phr Apka Yahi Intekal Hua
.
 BARRE SAGHEER ME AHLE HADISO KA DUSRA KARWA'N
.
Is Dusare Karwa Me Sahaba Kiram r.a Ke Shagird Tab'een rh.Yaha Aye Kuch Jihad Ke Liye ToKuch Tableegh Ke Liye Ye Qul 42 Hazrat H Jinke Nam Hme Milte Hai
.
1:Ibne Usaid rh. Inhe Abdul MalikBin Marwan rh Ne Sindh Ka WaaliBna Kar Bheja Ye Yaha Hadis Ka Dars Bhi Dete Rahe
.
2:Abu Shai'aba Jauhari rh Anas r.a Ke Shagird Aur Dabel Ke Govrnr Banaye Gaye
.
3: Tagir Bin Jahuhar rh. Apko Ali r.a Ne IslamiLashkar Ka Amir Bnakar Sindh Bheja Tha
.
 4:Hatim Bin Kabisa rh. Sindh Me Jihad Kia
.
 5:Hakam Bin Manjar Abdi rh. Sindh Aur Uske Aas Pas Jihad Kia
.
6: Rashid Bin Amr Ajdi rh. Uthman R.A Ke WaqtJihad Kia Muaawiya r.a Ne Inhe Sindh Ka Govrnr Bnaya
.
 7:Jayada Bin Hawari rh. Fat'h Sindh Ke Par Muhmmmad Bin Qasim Rh. ke Sath The .
.
8:Jiyada Bin Hawari rh Muhammad Bin Qasim Ke Kabile Aitemad Sathi The
.
9:Jiyaad Bin Rabah Qaisi rh. Abu Hurairah r.a Ke Shgirdo Me Se H Raja Dahir Ka Sar Iraq Lekar GayeThe
.
10 Hakm Bin Awana Rh. Muhammad Bin Qasim Rh. Ke Sath 93H Me Sindh Aye Iske AlwaQuran Hadis Ka Dars Bhi Dete Rahe
.
11:Muaawiya Bin Kurha Mazani Rh. Sindh Me Kafi Arse Tak Rahe
.
12:Makahul Bin Abdullah rh. Sindh Wa Sham Me Kafi Waqt Tk Rahe
.
13: Abdurrahman Bin Abbas rh. 83H Me Sindh Aye Abu Huraira r.aKe Shagird The .
.
14 Abdurrahaman Sindhi rh. Anas R.A Ke Shagird Imam Bukhari rh. Ne Inse Ek Hadis Riwayat Ki Hai
.
15 Katan Bin Mudrak Kalabi rh. 93H Me Sindh Aye
.
 16 Qais Bin S'alaba rh. Ibne Masood r.a Ke Shagird DabelSindh Me Jihad Kiya
.
17: Kahmas Bin Hasan Basari rh. Hasan Basarir.a Ke Bete Sindh Ke Jihad Me Sharik The
.
18: Yazeed Bin Abu Kabsha rh. Abu darda r.a ke Shagird 96H Me Sindh Ke Waali The
.
 19: Musa Sailani rh. Anas r.a Ke Shagird 96 Me Sindh Ke waali The
.
20:Musa Bin Yaqoob Sakafi rh. 93H Me Sindh Ki Fat'h Ke Bad Yaha Ke Kaji Aur Khatib Bnaye Gaye
.
21: Abdurrahman Kundi rh. 80H Me Sajistan Ke Gvrnr Bnakar Bheje Gaye
.
22: Abdurrahman Belgani Rh. Umar r.a Ke Azad karda Gulam H Usman r.a Ibne Umar r.a Ibne Umar r.a Saeed Bin Jai R.A Aur Muaawiya r.a Se Ahadis Byan Ki
.
23: Umar Bin Ubaidullah Karshi rh. Asmail Jo Ab Kalat Me H Jihad Kia Aur Abdurrahman Bin Sumrah r.a Ke Sath Kabul Ka Ilaka Fat'h Kiya
.
24 Shimar Bin Atiya Asa'di rh.93 Me Sindh Ke Jihad Me Shamil The
.
25 Saeed Bin Aslam Kalabi rh. Sindh Ke Wali Bnaye Gaye Rihayas Makran Me Thi
.
26:Saeed Bin Kandari Kashmir rh Shahadat E Uthman R.A Ke Waqt Makran Ke Ameer The
.
 27 S'ad Bin Hisham Ansari rh. Anas r.a Ke Chachere Bhai H Aur Makran Ke Amir The
.
28: Hubab Bin Fuzala Jahali rh. Hind Aane Wale Lashkr Me The Ans r.a Se Mulakat Thi
.
29 Abdurrahman Bin Abdullah Rh. Makran Ke JihadMe Hissa Liya 30:Haris Bin Murah Abdi rh.
.
30 Hijri Me Aye Aur 42 Me Kalat Me Faut Huwe
.
 31:Haris Bin Murah Abdi rh. Ibne Umar r.a Se Hadis Ki Riwayat Ki
.
32: Ayyub Bin Zaid Hilali rh SindhMakran Aur Bamyan Me Hijaz Ke Jamane Me Jiiad Kia
.
 33: Hur Bin Hur Bahali Rh. Ibne Jiyad Ne Ek Dasta Dekar Jihad Ke Liye Hind Bheja Tha
.
34 Abad Bin Jiyad rh. 53Hijri Me Sajistan Ke Govrnr Bne Afganistan Me Jihad Kia
.
 35: Yazeed Bin Mufrag Rh. Abad Bin Jiyad Ke Sath Afganistan Me Jihad Kia
.
36: Rabee'a Bin Sabih Basari rh. Abbasi Khalifa Mehadi Ke 159 H Me Gujrat Ke Ilake Me Jihad Kiya
.
37: Mujaya Bin S'ar Tamimi rh. makran Me Jihad Kia
.
 38: Hasan Basari rh. Kabul Khurasan Aur Sajistan Me Jihad Kia
.
 39: Atiya Bin S'ad Ufi rh.Jihade Sindh Aur Fat'h Multan Ke waqt Muhammad Bin Qasim rh. ke Sathi The
.
 40 Saifi Bin Fasil Shaibani Rh. Uthman R.a Ke Waqt Sindh Me Jihad Kia
.
 41: Abu Salma Juti rh. Ali r.a Ke Waqt Basara Me Baitulmal Ke Khachanchi The Barresagheer Ke Un Jat Gharano Se T'aalluk Tha JoArab Me Ja Bse The
.
AHLE HADISO KA TEESARA KARWAN
.
42: Muhammad Bin Qasim rh. Teesara Karwa 93H Me Muhammad Bin Qasim Rh . Ki Sipahsalari Me Aaya Ye Karib 20 Hazar Log The Jo Sindh Aaye Sindh Wa Hind Ka Bahut Sa Ilaka Inhone Fat'h Ki Aur Yaha Kallllah Wa Kalrrsul Yani Quran Hadis Ki Sadaye Buland Ki Inki Ki Tabligh Ki Inki Aksariyat Yahi Bas Gai Thi
.
CHUTHA (4) KARWA Ab Tak Ahle Hadiso Ke 3 Karwa Hamari Nazro Se Guzare Jo Barre Sagheer Me Aye Aur Yaha Khalis Quran Wa Hadis Ki Tabligh Ki Ab Is Ba Barkat Ahad Ka 4 Karwa Dekhiye Jo 18 Tab'a Taab'een ParMushtmil H Ye Sabhi Bujurg Sahaba Karim Razi. Ke Sagirdo KeShagird Hai Ye Sb Inke Sath AaneWale Sabhi Log Kitab Wa Sunnat Ke Pairookar The Kisi Taqlidi Majahb Se Inka Koi Bhi Sarokar Na Tha Balki Inke Waqt Tak Taqlidi Majhab Ka Wajud B Na Tha
.
 1: Ismail Bin Musa Basari rh. Hasan Basari Ke Shagird
.
2:Kurz Bin Abi Kurz Abdi rh Niyazat Ibdat Gujar Muhaddis The
.
3:Mau'ala Bin Rashid Basri Rh. 50 H me
.
 4: Junaid Bin Amr Makki rh 93 H Me Bharuch India Gujrat Me JihadKia
.
5:Muhammad Bin Zaid Abdi 93H
.
6:Muhammad Bin Gazan Kalbi rh 126 Hijari
.
7:Abu Uaina Ajdi rh.
.
8: Sindhi Bin Shmas Basri rh.
.
9:Abdurrahim Sindhi rh.
.
10:Abdurrahman Bin Sindhi rh Sindh Me Paida Huwe
.
11:Amr Bin Ubaid Sindhi rh.
.
12:Fat'h Bin Abdullah rh
.
13:Qais Bin Bsar Basari rh. dada Sahabi E Rasul The Sindh Me Paida Huwe
.
14:Abu M'ashar Madani rh Muhaddis The Khalifa Mehadi 160H Me Apne Sath Iraq Le Gaye 70H Me Faut Huwe Namaze Janaza Harun Rashid Ne Padhai
.
15:Muhmammad Bin Ibrahim rh. Bailman Me Paida Huwe Kai Hadise Riwayat Ki
.
16: Muhammad Bin Haris Belmani rh. Bailman Me Rahe Apne Walid Se Hadise Byan Ki
.
17:Yazeed Bin Abdullah Karshi rh.Sindh Me Paida Huwe Sufyan Sauri Aur Ibne Jarij Rh. se Hadise Byan Ki
.
18: Abdurrahman Bin Amr Aauzairh. yah Imam Auzai rh. imamul Hind Wa Sham Kahe Jate Sindh Se Apka Talluq Tha yaha Qaid B Rahe
.
NOTE: - Ye Post Muhammad Ishaq Bhatti Sahab Ki Kitab BarreSagheer Me Ahle Hadis Ki Aamad Se Taiyar Kiya Gaya Jiska Makhaz Tabkat Ibne S'ad , Tarikhtabari, Al Asaba , Tahzeeb Al Tahzeeb , Lisanulmeezan , Al Isteeaab Aur Al Bidaya Wan Nihaya Wagairh Hai Yani Unse Nakal Karke Taiyar Ki Jin Hazrat Ko Tafsil Chaiye Wo Is Kitab Ki Taraf Ruju Kare Unhone Islami Tarikh Ki Kitabo Se Hwale Ke Sath Ye Kitab Taiyar Ki Hai
.
Ye Ahle Hadis Ke 4 Wo Karwa Jinhone Islam Ke Bilkul Shurwati Daur Me Hind wa Pak Me Kadam Rakha Ye Karwe Sahaba kiram r.aTab'een rh. Tab'a Tab'een rh Par Mushtmal Hai Yahi Wo Hazrat H Jinki Koshiso Wa Mehnat Se Ap S.A.W Ki A'hadise Pak Ka Jakhira Yaha Aya Us Jamane Me Masajid B Inki Ki Thi Aur Madarse B Inhi Ke The Bad Me Waqt Gujra Log Sahi Deen Se Dur Hote Gaye Aur Badshahi Nizam Ki Wajah Se Taqlidi Mazhab Faila Leki Allah Ki Mahrbani Se Kam Tadat Me Hi Sahi Ahle Hadis Maujud Rahe
.
Isiliye Maulana Maududi sb Farmate Hai Ahle Hadis Yaha Naye Nahi H Blki Aimma Arbaa Ke Zamane Se H In Haqaik Ke Bawjud Kisi Shaks Jamat Ya Giroh Ko Ka Ahle Hadis Angrez KeDaur Ka Kahna Chilchilati Dup Me Suraj Ka Injar Krne Jaisa Hai
.
[rasail wa masail jild 1 safa 155]
Dua Me Yad Rakhe
Ayan Khan Salafi