Saturday, March 22, 2014

AQEEDAT SE AQEEDE TAK...





Bismillahir Rahmaanir Raheem 


Abu Bakar Shibli k paas 2 aadmi bait k liye hazir hoye, hazrat ny ek sy kaha: 

“tu keh Laa Ilaaha IllaLLAH Shiblee Rasool Ullah”. 

Wo kehny lga: 

“Laa Haula Walaa Quwwata Illa Billah”. 

Hazrat ny b Laa haul parhi, wo kehny lga: 

“hazrat aap ny kiun Laa Haul parhi?” 

Abu Bakar Shibli kehny lgy: 

“Tu ny kiun parhi?” 

us ny jawab dia: 

“isliye k kis jaahil k pas bait k liye aa gya?” 

Shibli kehny lgy: 

“main ny is liye parhi k kis baywaqoof k samny raaz ki baat keh di.” 

Phir doosry aadmi sy kaha: 

“Tu keh Laa Ilaaha IllaLLAH Shiblee Rasool Ullah”. 

Us ny kaha: 

“Hazrat! Main to aap ko is sy ooncha muqaam deny aaya tha, aap to pehly hi gir gye? Risalat pr hi qina’at kr li?” 

Abu Bakar Shibli ny kaha: 

“Shabash! Tu beth hum tujhy taleem den gay.” )

Tazkirah e Ghausia

( Hazraat! Aqeedat kehty hain, wo Muhabbat jo kisi insane sy tah e dil sy ki jaye, or agr isi Muhabbat mein Ghuloo sy kaam lia jaye, or isy Eimaan ka hissa bana liya jaye to Aqeedat, Aqeedah ban jati hy. Kuch aisa hi haal ooper byan hoa. Jo 2 aadmi Abu Bakar Shibli k paas Aqeedat ki waja sy aaye thay, Abu Bakar Shibli ny un ki Aqeedat ka faida uthaty hoye un ka Aqeeda hi barbaad kar dia. Aaj bhi bary bary peer yehi kaam krty hain. Jo log un k paas faqat Aqeedat ki waja sy aaty hain, ye jhooty peer un ka Aqeedah hi barbaad kr dety hain. 

Koi peer sahib ko sajday kr rha hy, koi peer sahib k kehny pr chillay kaat rha hy, to koi peeron k hathon apni maon behnon ki izzaten ganwa rha hy. Peer ka khauf, ALLAH k khauf sy zyada dil mein rkhta hy. 

Kisi ny ye aqeedah bana liya k mureed ghar sy niklta hy to peer ki nazar us pr hoti hy, wo jo kuch krta hy peer usy dekhta hy. 

O Musalmano! Hosh k naakhun lo!! Kiya tum ye bhool gye k ALLAH tumhen hr waqat dekhta hy? 

Chahy tum ghar mein ho ya ghar sy baahir! Roshni mein ho ya andhery mein! ALLAH tumhen hr waqat dekhta hy. 

Phir kiun tum ALLAH sy nhi darty or peeron sy darty ho! Kiya ye ALLAH ki gustakhi nhi? 

Lehaza ALLAH k liye tanqeedi nigah sy dekhy bghair sochiye or aisi aqeedat or aqeedat mein ghuloo sy bachiye jo aap ko shirk or kufar k dahano tak puhancha dy…. ALLAH sy dua hy k 

ALLAH hum sab ko Raah e Hidayat ka Raahi banaye… aameen summa aameen…. Wa Maa Alainaa Illal Balaagh ul Mubeen. ] Sajdah khaaliq ko bhi, Iblees sy yaaraana bhi, Hashar mein kis sy aqeedat ka sila mangy ga? 

[ Hafiz Muhammad Safi Ullah