Thursday, March 6, 2014

AQAID AHLUS SUNNAH WAL JAMAAT (PART-2)

 

 

Bismillahirrahmanirraheem

 

 Aqeedatul Muwahedeen ba-jawab Aqida Aqida Aqida Aqida




Allah ka Arsh par hona.


Daleel – 1 , shekhul islam abu ismayeel al ansari ne abu muti balkhi se naqal ki he unho ne , imam abu hanifa rh se pucha,

Ek shakhas kehta he me nahi janta Allah zameen par he ya aasmaan me he, iske bare kya fatwa he, Imam sahab ne farmaya wo kafir he is liye k Allah ka farman he [AR RAHMAN ALAL ARSHIS TAWA] Allah arsh par mustawi he or Allah ka arsh satwe aasman k upa he, mene kaha agar who yu kahe k Allah arsh par he lekin me nahi janta k arsh aasmaan par he ya zameen par , Imam sahab ne farmaya wo bhi kafir he kyonke Allah alal illiyeen me he. 

[shrah aqeeda tahwiya.pg.288]


1)    Tehqeeq tumhara rab Allah he jisne aasmano or zameen ko che [6] din ki muddat me peda kia fir arsh par mustawi hua 

[surah aaraf - 54]

2)    Who Rahman arsh par mustawi he 

[surah Taha - 5]


3)    Wahi Allah he jisne aasmano or zamin ko che (6) din ki muddat me banaya fir arsh par mustawi ho gaya 

[surah Hadeed - 4]


Isme ki bahut si quran ki aayate mojood he, jo is baat ki wazahat karti he k Allah Sub Hanahu Watal arsh hi par mustawi he, magar baaz logo quran ki aayat or hadeeso ka galat taweel wa tehreef karke , apni man marzi ka matlab nikal k ye sabit karna chahte he k , Allah har jagah mojud he [naozobillah] is batil aqeede ko ‘wah datul wajood’ kehte he, jo ki sufi hazrat ka banaya hua he, Inshallah iski bhi wazahat ham bahut jald hi karenge.


ALLAH k chehre Mubarak ka tazkirah

1)    Or mashriq wa maghrib ka Allah hi malik he pas tum jidhar ko muh karo udhar hi Allah k muh (chehra) he. 

[surah Baqarah - 115]

2)    Pas qarabat daro , miskin ko, musafir ko hare k ko is ka haq dijiye, ye in k liye behtar he jo Allah ka chehra (dekhna) chahte he. 

[surah room - 38]

ALLAH k Mubarak hatho ka tazkirah

1)    Ap keh dijiye k fazal to Allah hi k hath me he wo jise chahe use de, Allah wusat wala or janne wala he. [surah aale imran - 73]

2)    Or yahudio ne kaha k Allah k hath bandhe huye he. Unhi (yahudio) k hath bandhe huye he or in (yahudio) k is aqwal ki wajah se in par lanat ki gayi he balke Allah k dono hath khule huye he, or jis tarah chahta he kharach karta he. [surah mayeda - 63]

3)    Behat ba barkat he wo (Allah) jis k hath me sari badshahi he or wo har chiz par qudrat rakhne wala he. [surah mulk - 1]


Hadees e Mubarak se daleel mulaheza farmaye

1)    Abdullah bin umar rz se riwayat he k Allah k rasul Mohammad sallallaho alehi wasallam ne farmaya ‘ qayamat k din zameen is (Allah) ki mutthi me ho gi, or aasman iske dahine hath me hoga, fir wo kahega me badhsah hu 

[Bukhari - 7412]

Or bhi bahut hadees e mubaraka he, ham yaha ek hi hadees or iktifa karte he.


ALLAH ki babarkat aankho tazkirah


1)    Fir hamne is (nooh as.) ki taraf wahi bheji k tu hamari aankho k samne hamari wahi k mutabiq ek kashti bana. 

[surah mominun - 28]

2)    Or ek kashti hamari aankho k samne or hamari wahi se tyar kar or zalimo k bare me ham se koi baat cheet na kar wo pani me dubo diye jane wale he. 

[surah hood - 38]

3)    To apne rab k hukum k intezar me sabr se kam le, beshak tu hamari aankho k samne he. 

[surah toor - 48]

4)    Or hamne ise takhto or qilo wali (kashti) par sawar kar liya, jo hamari aankho k samne chal rahi thi. 

[surah Qamar – 31, 41]


ALLAH K pao Mubarak ka tazkira


1)    Anas rz se riwayat he k Mohammad sallallaho alehi wasallam ne farmaya ‘’jahannam ko bhar diya jayega or wao kahegi, or kuch lao yaha tak k Allah is me apna pao Mubarak rakh denge, to wo kahegi bas bas.’’ 

[Bukhari – 4848.4849, Muslim - 2846]


ALLAH ki pindli Mubarak ka tazkira


1)    Jis din pindli khol di jayegi or sajda k liye bulaye jayenge to na kar skenge. 

[surah qalam - 42]

Hadees e Mubarak

2)    Abu saeed khdri rz se riwayat he k mene Mohammad sallallaho alehi wasallam se suna k ap farma rahe the k , ‘hamara pawardigar qayamat k din apni pindli kholdega, is waqt tamam momin mard or momina orte is k liye sajda rez ho jayenge. 

[bukhari – 4919,  Muslim - 183]’


Yaha par ham wazeh kar dena chahte he k, kuch aqal parast hazrat Allah ki in sifato bilkul aen usi tarah samjhte he jese insane aaza magar aesa nahi he, Allah ki kefiyat, ya usne jo uski sifato ka zikr kia usme ham kuch raddo badal ya taweel nahi karenge, na hi quran ki aayto me tehreef karenge, aqeedatul muwahedeen me ye baat shamil he k , Allah ne jo sifat ka zikr kia he, use bas manna he, magar wo kesi he iska ilm sirf Allah ko he, iski sifato ko apni aqal pe rakhte huye, iska inkar karna ya taweele karna gumrahi he,  jesa k Muatazila or digar firqe k log, in sab sifato inkar karte he jo unki aqal me nahi aati jese,

1)    Jesa k Allah ki sari sifato ka inkar jinka zikr ham upar kar chuke he 

[Naqz tasees al jehmiya - 93]

2)    Qayamat me Allah ka deedar ka inkar

3)    Taqdeer ka inkar

4)    Quran ko Allah ka kalam manne se inkar [risala raduul al jehmiya li Ahmad bin hambal rh. 87]


Malik bin anas rh k pas ek shakhs aaya is ne kaha a Abdurrehman , Allah fermata he [AR RAHMAN ALAL ARSHIS TAWA] rahman arsh par mustawi he {surah taha - 5} to ye batlaye k istawa kesa he ? Malik rahimahullah ne farmaya: iski kefiyat samjhaye nahi ja skti, istawa malum he is par imam lana wajib he magar (istawa ki kefiyat se mutallik) sawal karna bidat he, mujhe andesha he k tu gumrah na ho jaye, fir malik rahimahullah ne hukum dia to ise waha se nikal diya gaya 

[sharah usoolul aetqad li hafiz al lakayee - 398]



Allah subhanahu watala se dua he k hame salf e swleheen k sahi manhaj pe amal karne ki tawfeeq ata farmaye, Allah or uske rasul ki baat k aage apni aqal ko istemal karne se bachaye, Allah ham sab ko Quran or hadees me taweel or tehreef karne se bachaye


[AAMEEN YA RABBAL AALAMEEN]