Namaaz (salaah) me seeny par( Chest ) hath bandhne k dalaail
bismillahirrahm anirraheem
*waail bin hajar rz se riwayat hai k maine rasul saw ke sath namaz padhi to aap saw ne apna daaya hath mubarak apne baaye hath mubarak k upar seene mubarak par rkha''
(Sahih Ibn Khuzaima, j. 1, page 243)
*Sand k tarruf :
Es rewayat k pahle rawi Hazrat waail bin hajar r.a sahabi e Rasul (s.a.w) hai, Tamam Sahaba r.a Adal-O-Inshaf me b-mesal hai , un se ye rewayat kaib bin sahab nakal karte hai.
Kaib bin shab k tarruf :
''Ulma Ibn sa'ad farmate hai k kaib Seka Aur bahut se hadees k rawi hai, mayne maheren fan ko Unke marwiyat ki tareef karte Dekha hai Aur Wo unhe kabil e hujjat tasleem karte hai''
[Al-Tabkat Al kaber jild-2,Safa-123
''Imam Abdur rahman bin Abe hatim r.al kahte hai k Imam Abu Zar'ra r.al se kaib bin Sahb r.al k bare me daryaft keya gaya tou unhone Farmaya wo Seka hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadel jild-7,Safa-167
''Abdullah bin Ahmed bayan karte hai k mere Walid Mohtaram ne farmaya k Asim r.al apne Walid kaib r.al se bayan karte hai Aur ye wahi hai jin se Ibrahim bin muhazer beyan karte hai''
[Al-Alall:1886]
**Es rewayat k tesre rewayat Asim bin kaib r.al hai**
Asim bin Kaib r.al maherin e fan ki nazar me :
''Imam yahiya bin moin Aur degar maheren e fan ne unhe Sekah karar deya hai''
[Mezan Al-Ataral jild-4,Safa-12]
''Maimuni r.al bayan karte hai k Imam Ahmed r.al ne unhe Sekah karar Deya hai''
[Sawalata :356]
''Imam Asram r.al kahte hai k mayne Imam Ahmed r.al se Suna wo farmate hai Asim ki bayan karda Hadees me koi Illat nahi''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-6,Safa-350
''Imam abu Hatim r.al farmate hai k Asim bin kaib r.al Saleh hadees hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-6,Safa-350
''Imam Abu daood r.al farmate hai k Asim bi kaib r.al Ahle-Kufa se Afzal hai Aur Imam Ibn Hibban ne Unhe Kitab AlSakat me Zekar keya hai''
[Tahzeb Al-Tahzeb jild-5,Safa-49]
''Al-lama Ibn Saib r.al farmate hai Asim r.al Sekah Aur Kabil Hujjat hai''
[Al-Tabkat Al kaber jild-2,Safa-341
**Sufyan Sure r.al Maheren e fan ki nazar me :
''Imam Auzizi r.al farmate hai k kubar Ahle-Elm me se koi aysa Salim Hayat Nahi jes per Tamam log ra'azi ho ma'sowa ek kufi Alim k Abbas r.al kahte hai wo Sufyan suri r.al hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadel jild-4,Safa-222
''Imam Sufyan bin Ayna farmate hai k Maine Sufyan Suri r.al se badker Halal o Haram k bare me Mar'rafat rakne wala koi saks nahi Dekha ,Ibn Mubarak r.al kahte hai mayne Sufyan r.al jaisa Azim Saks nahi dekha Imam yahiya bin Said Al-katan r.al kahte hai k Maine Sufayan r.al se badker Hafiz nahi dekaha''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-4,Safa-223
''yahiya bin moin r.al farmate hai k Sufyan r.al Elm e Hadees me Imaan Walo k Amer hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-4,Safa-225
''Imam Zaibe r.al farmate hai k Sufyan suri r.al k Seka Aur Hujjat Hone per Maheren Fan Muttafi hai Hala k wo Zaifa se Tadlish karte hai''
[Mezan Al-Ataral jild-3,Safa-244
**Moammil bin Ismail k tarruf :
Imam Abdur Rahman bin abi hatim Moammil bin Ismail r.al ki taref karte hue farmate hai
''Abu bakr khaisma ne mere tarag jo kuch lekh ker veja usme Unhone ye v tahrer keya k maine yahiya bin Moin r.al se Suna wo farmate the k Moammil bin Ismail r.al Seka Rawi hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-8,Safa-378
''Imam Darmi r.al farmate hai k Maine yahiya bin Moain r.al se Daryaft keya k Aap Moammil bin Ismail r.al Aur Abdullal r.al me se kise Jayada Pasand karte hai,Unhone Dono ki hum-martaba karar Deya''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-8,Safa-374
''Ibn Abi Hatim r.al kahte hai k Maine Walid Motaram se Moammil bin Ismail r.al k bare me Daryaft keya tou unhone farmaya wo Sacche Aur Sani the Jehad me Akser Sarek hote the ek Nuskha me hai unse Akser Galtiya v sarzad ho jate the''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-8,Safa-374
''Ajri kahte hai k meyne Abudaood se unke bare me Daryaft keya tou unhone unke Azmat Aur Rafa'at Saan k khule Dil Aitraf farmaya''
[Tahzeb Al-Tahzeb jild-10,Safa-34
''Imam Ibn hibban ne Enhe Kitab Al-Saka'at me bayan keya hai''
[Tahzeb Al-Tahzeb jild-10,Safa-34
''Al-lama Ibn Sa'ad r.al Aur Imam Darkutni r.al farmate hai k wo Seka hai Albatta un se kaser galtiya sarzad hote hai''
[Tahzeb Al-Tahzeb jild-10,Safa-34
Al-lama jahbi r.al Moammil bin Ismail r.al ke bare mahiren fan ki Aara ko samne rakhte hue Farmate hai:
''Moammil bin Ismail Hafiz Ahadees Aur Allama hai galtiya v karte hai''
[Mezan Al-Ataral jild-6,Safa-571
**Abu Moosa Mohammad bin
Sanya r.al k tarruf :
Abu Moosa Mohammad bin Sanya r.al siha-Satta k rawi hai yahiya bin Saeed r.al Aur Abdul Rahman bin Mehndi r.al jaise namood Mohaddisin unke Sagerd hai.
''Imam yahiya bin Moin r.al Unhe Seka Aur Imam Abu hatim saleh Ahadees kahte hai''
[Al-Zarrah wa Al-tadeel jild-8,Safa-95]
''Mohtaram kutaib bagdadi farmate hai k Mohtaram Mohammad bin Sanya r.al Ayse Seka Rawi hai , k Unke Marwi Rewayat ko Tamam Ummat ne Hujjat taslem keya hai''
[Mezan Al-Ataral jild-2,Safa-318
**Es Rewayat per Ahnaf k Aytraza'at Aur unke k jawab**
Kazi Sukani R.al ne Es Rewayat ko Nakal karne k ba'ad lekha hai k Imam Ibn Khuzaima ne Ese Sahi karar deya hai.
https://
Moulwi Abdul Aziz Deobandi punjabi Kazi sukani per Berhami k Izhar farmate hue lekhte hai.
''Ka'azi Sukani r.al wo hai Jinhone es Kitab ko Dekha tak nahi,kuki Es kitab k Sumar un kitabo me hota hai jo pahle Nadar-Al-wajud the Aur Ba'ad me Enka ho gaye,Chunanche kisi Ankh ne Es kitab ko Dekha Nahi Aur Na Es kitab k Koi Nesaan baaki hai, ha Albatta Londan Libreri me Es ki 2 jilde bataye jate hai''
[Hasiya Nasab Al-rayat jild-1,safa-314
Mousuf Aage chal ker lekhte hai :
''Bela-Subah Sahi Ibn Kuzaima r.al,Bukhari r.al,Muslim r.al,Abu-Daood r.alAur Neshai r.al ki tarah Nahi hai balke wo Imam Tirmizi r.al Aur Imam Hatim r.al ki tarah rewayat ko Nakal karne k baad hukm lagate hai Ager Wo es Rewayat ko Sahi yakin karte hai tou use Sahi karar dete hai''
[Hasiya Nasab Al-rayat jild-1,safa-315
Mousuf Apne Es kheyali Aur tasura'ati Mahal ko bunya'ad marsoh Sabit karne karne k leye Hafiz Ibn Hazar ke Andarztahr se Esnaba'at karte hue lekhate hai.
''Mohataram Wail bin Huzr r.a se Marwi hadees Muktalif Alfaz se Marwi hai,un k bayan karda baaz Alfaz ki Sahih me koi Seka nahi,Kalam tou Us Rewayat per hai jis me ''Ali Sadra'' k Alfaz hai,Hafiz Ibn Hajar ne fatul ba'ari me lekha hai k Mohtaram Wail bin Huzr se marwi Rewayat jise Imam Abu-Daood r.al Aur Imam Neshai r.al ne un Alfazo se Nakal keya hai k fer Aap (s.a.w) ne Apne daye Hath ko Baye hathele ki pust per es Tarah rakha k Wo hanth Aur Kalaye k joor per tha''
[Hasiya Nasab Al-rayat jild-1,safa-316
Es Rewayat ko Imam Ibn Khuzaima ne v Nakal keya hai Aur Use Sahi kaha hai leken Mohtaram Wail r.a se marwi wo rewayat jis me Ali sadra k Alfaz hai us Rewayat k bare me Hafiz Ibn Hajar fatul ba'ari me farmate hai k Hazrat Wail r.al se marwi Rewayat ko Ibn khuzaima ne en Alfazo se v Nakal keya hai k Aap (s.a.w) ne apne Dono Hanth ko Apne Seene per Rakha Aur Musnad Al-baz'ar me hai Seene k Najdek Rakha En jaid Alfazo k bare me Imam Ibn Kuzaima se tashsih Nakal Nahi ki Na tou Fatul Ba'ari me Na takhlees me Aur Nasa'b Al-daryat me.
*Moulwi Mohammad Hanif gangoi es Hadees per darz'Zel Alfaz me Nakal karte hai :
''Rawi wo hadees jisme Ali sadra ki jayadati hai so eske Mutallik Hafiz ne Fatulba'ari me Serf ye kaha hai, Ibn kuzaima se es jayadati ki tas'shi jekar Nahi ki na Fatulba'ari me , Na talkes me ,Na darya me Aur Na bulgul Mala'am me... En hazrat (Noudi,Bahki,Ib
[Gaya'Altayalis
Jawab :
Hafiz Ibn hazar r.al ne apne talefat me Sahi Ibn khuzaima k hawale se mutatad Ahadees Nakal farmaye hai kisi Mukam pe wo Reayat Nakal karne k baad ''Akharza Ibn khuzama'' tahrer karte hai Aur kisi Mukam per ''Sahi Ibn Khuzaima'' rakm karte hai un k Es Andaze tahrer se ulma-Ahnaf ko ye Galat-Fahme hoye k Imam Ibn Kuzaima ne Imam Tirmizi Aur Imam Hatim k Sa'andaza Ekhteyar keya hai,Bahamd Allah Sahi Ibn kuzaima Maktut na S'arf dasteyab ho chuka hai Balke Taba'at k Zor-Arista v ho chuka hai Aur eske Taba'at ne Tamam Farzi Andazo Aur Tasurati Nazreyo ko Galat Sabit kar deya hai Aur Ye Maktut-London ki libreri se Nahi Balke ''Maktab Ahmed Al Salat Astanbut '' Turki se dasteyab hua hai kitab k Mutala se ye hakikat wajeh ho chuki hai k Imam Ibn Kuzaima k tareka Imam Tirmizi k tareke se Bekul muktalif hai Mosuf jab Naye unwan k Aga'az karte hai tou us unwan k tahat darz hone Wale Tamam Ahadde per Sahi k hukm laga dete hai Aur un rewayat me se kisi Rewayat ko Ager wo apne Sarayat k Mutabik Nahi Samjhe tou us per tardad k Ezhar kar dete hai, chunance jis Unwan k tahat Imam Ibn Kuzima ne wo 2 rewayat darz ke hai jin k tazkera Ulma Abdul Aziz Deobandi punjabi ne Nasab Al-reyat k haseya me keya hai us Unwan k Aga'az Imam Ibn Khuzaima ne es tarah keya hai.
''Nabi(s.a.w) k farman Ali Saan per mustamil Masanad Sahi mukhtasar taren hai Aur un sarayat k mutabik hai,jo hum ne kitab Al-Tahara'ta k Aga'az me bayan ki hai''
[Sahi Ibn kuzima jild-1,Safa-153
Imam Sahab ne kitab Al-Taharata k Aga'az us tarah farmaya hai :
''Aap (s.a.w) k farman Sali Saan per Mustamil ye masanad Sahu mukhtasartaren hai Es unwan k tahat hum jetne v Ahadees darz karege un k Awwal ta Akher tamam rewata wa sa'af Adal se Arasta hoge Aur unke Asnaad bagair ki Enkata k Aap (s.a.w) tak pahuchte hoge , InshaAllah
[Ibn kuzaima jild-1, safa-3]
Eske Tamam rewayat jarrah k ayeb se paak hai , es unwaan k tahat Imam Ibn khuzaima r.al ne 708 Abwab Aur 1469 Ahadees darz ki hai Aur unme se un chand rewayat per saraad k Ezhar keya hai jinki sahih per Nahi yakin Na tha ya unke Jekar karda Sart per Sadek na Ate the.
Wajeh rahe k Imam Kuzaima r.al ne Mukammal tour per Apne sart k pass keya hai Chunanche Allama Zalluddin souti r.al farmate hai :
''Sahi Ibn khuzaima k darz Sahi Ibn Hibban r.al se Buland tar hai kuki Imam Ibn kuzaima r.al selsela me bahut muhtat hai mouzuf Sand me mamule sa kalam hone ki Wajah se us Rewayat per Sehat k hukm ko masrut kar dete hai Aur Faramate hai Ager ye Khaber Durust hoye ya sabet hue wagira ''
[Tar'reb Al-rawi safa-32]
Sahi Ibn khuzaima ki Tabat Aur Allama Jalalluddin Al-suti r.al ki Wajahat se nesab Al-reyat k Mahsi moulwi Abdul Aziz pujabi Aur hedaya k Sarey Moulwi Mohammad hanif gangoi k moukuf Galat Sabit hua Aur unka paida karda wo elzam (Asbakal) dur ho gaya.
Wajeh rahe k serf kazi sukani he ne Sahi Ibn khuzaima Nahi kaha balke Muhaddis Ibn saeed Alnas r.al ne v ''Wa Sahi Ibn Kuzaima '' kaha hai.
[Makhtut sareh Timizi jild-2,Safa-211
**Aasim bin Kulaib per Aitraz k **
Moulwi Mohammad Hanif gangoi jer e mutala Hadees per guftagu farmate haue lekhte hai Aasim bin kulaib r.al wahi hai jo Hazrat Abdullah bin masood se tark rafadain k rawi hai,jinke mutalik sufio ne ere-choti k joor laga ker ye Sabit keya tha ye kabil e Ahtazat he Nahi.
[Gaya'Altayalis
jawab:
Imam Ali bin Madni r.al ki agerche yahi raye hai k Aasim bin kulaib jan kisi rawiyat k bayan karne me munafird hoge tou wo Rewayat kabil hujjat na hoge mager Degar maheren fan Aasim bin kulaib ki marwiyat ko bagair kisi sart k hujjat taslem karte hai, wajah rahe k Mukam wajahAldin ki tayen nakal karne me Aasim Munaferd Nahi hai kuki majkura Alfaz Aasim ne apne Walid k tousat se hazrat Wail bin Hazr r.al se Nakal ke hai jabke yahi Alfaz Abdul Zabr bin Wail ne apne Apne Walid k touset se Hazrat Wail r.al se Nakal keya hai,Es tarah Aasim es Rewayat me Hazrat Ali bin Madni Samit r.al jamla Muhaddisen k Nazdek Hujjat hai, Rahe ye baat k Aasim bin Kulaib r.al se marwi tark Rafadain ki rewayat ku naker Hujjat Nahi? Tou es Baat me arz ye hai k rewayat k Zaif hone k mahiren fan ne Motatadad Asbaab bayan keye hai unme se serf Ellat Aasim bin kulaib r.al se mutallik hai yaani Imam Ahmed r.al farmate hai k Abdullah bin Idris r.al ne ''Sam la yaud'' k Alfaz Amla Nahi karwaye,Imam Ahmed r.al farmate hai k Aasim r.al ki kitab me wo Alfaz Nahi jo Alfaz wakaye Bayan karte hai.
[Mulkas Azalall : 714]
Imam Ahmed r.al k darz bala bayan se ye wajeh hua k Aasim bin kulaib r.al se marwi tark Rafadain ki rewayat k nakabil Ahtajaj hona Aasim bin kulaib r.al ki wajh se nahi balke ''Sam la yaud'' k Alfaz k gair mahfuz hone ki wajah se hai.
**Sufyan Sauri r.al per aytraz :
Aasim bin kulaib se ye rewayat Sufyan Sauri r.al ''An'' k sath bayan karte hai jabke Sufyan Sauri r.al zaif se tasles karne me Mashur hai lehaza es kesm k rawi k Manan rewayat makbul Nahi.
Jawab :
hazrat Sufyan Sauri r.al ki ye rewayat karda Sahi Ibn khuzaima me ''An'' k sath mankul hai, leken es ellat ki wajah se ye rewayat Zaif Nahi kuki Sahi Ibn khuzaima ki ayse Rewayat Samaat per mahmul hoge jaisa k Imam Nouwi r.al rakam taraz the :
''Bukhari r.al,Muslim r.al Aur un jaise Degar kitabo ki Mudallisin Rewayat se ''Ma'nan'' marwiyat ko sama'a per mahmul keya jayega''
[Takreb Al Nauwi mah sareh tarrib al rawi]
Mudallis rawi ki Manan rewayat me chuke ankata'a k sab mouzud hota hai es leye es rewayat ki Rewayat ko us Waqt tak Sarf kabuleyat hasel Nahi hota jabtak ta-hadees ya Sa'ma ki sarahat Nahi ho jate, Imam Bukhari r.al ,Imam Muslim r.al,Imam Ibn khuzaima r.al Aur Ibn hibban r.al wagairahum ne chuke ye sarahat ki hai k wo apne un kitabo me mankata rewayat se ahtazat Nahi kare ge. Es leye un kitabo ki Manan rewayat ko Suma per mahmul keya jata hai,Imam Ibn Kuzaima r.al ne Al-Musnad Al-Sahih (Sahi Ibn Khuzaima) me Mudallisen ki Ma'anan rewayat Nakal ki hai unhone Mudallisen ki un Ma'anan rewayat k bare me tardd k Izhar keya hai jin k Sama'a ki tasreh se wo Agah Nahi the Chand ayse Mukamat batur mesaal Mel-hajja farma hai.
''mayne es rewayat ko Sahi rewayat se mustansi karar deya hu kuki mujhe es bare me tardd tha hai k ye khaber Mohammad bin Ishak ne Mohammad bin Muslim se barah-e-rast sune hai ya mahaz tadllis se kalam leya hai''
[Sahi Ibn Kuzaima jild-1,Safa-71]
''Ye rewayat Abu Ishak r.al ''An'' k sath bayan krte hai es leye es Rewayat me Nazr hai kuki mujhe es Rewayat k bareme Abu Ishak r.al k sama ki Ittela Nahi''
[Jild-1,Safa-21
''Malum Nahi k Abu Ishak r.al ne ye khaber bared se sune hai ya tadllis se kam leya hai?''
[jild-2,Safa-15
darz e Bala Bayan se baat mahkuk ho gaye k Mudallis ki wo Manan rewayat jinke samaat ki tasreh unke pess e nazar the unper Hafiz Ibn Khuzaima ne unwan k Aga'az me sahi k hukm laga deya Aur Jin rewayat me Samaat ki sarahat se wo Agah Nahi ho sake unper Imam Ibn Khuzaima r.al ne tardd k Ezhar kar deya Zer-e-bahas Rewayat me Yakinan Samaat ki tasreh se Agah the Es leye unhone Es rewayat per Sahih k Hukm per karar rakha , banabare Kaazi Sukani r.al k es Rewayat ko sahih karar dena un k wasihat mutala Aur tabir-e-Elme k Aga'as hai, JABKE AHNAF PER BERHAM HONA TASUB-E-MAHAZ AUR ZIN WA TAKHMEN PER BANE HAI.
**Mo’mal bin Isma’eel r.al per Aytraz :
Moulwi Mohammad hanif es rewayat per bahas karte hue lekhte hai.
''Mo’mal bin Isma’eel Muhaddisen ki nazdek Zaif hai''
[Gaya'Altayalis
Allama hasim Sindhi unke bare me lekhte hai.
''Kala Al Bukhari muker al hadees''
[darhim Al-sarayt]
jawab:
Moulwi Mohammad Hanif gangoi k bayan khula mulgalat bayani k aks hai, hum Mo'mal bin Ismaeel r.al k tarruf me ye wajeh kar chuke hai k Mo'mal bin Ismaeel Namur Muhaddisen wa Nakaden k Nazdek Seka hai, Imam Yahiya bin Maoin r.al tou tou Unhe Adal wa sakahat me Abdullah bin Musa k hum bala karar dete hai yaad rahe k Abdullah bin Musa Sahihen k rawi hai, Albatta Baaz Muhaddisen ne unhe Seka taslem karte hue unke bare me lekha hai wo Aksar galtiya karte the, yaad rahe k Mo'mal r.al Ek jakher o hadees k rawi hai Zahir hai k jis k pass jitna jayada Zakhera o Hadees hoga us se use kader Galtiyo k Imkaan v jayada hoga (illah mashaAllah) yahi wo wajah hai k unke Galtiyo k Bawajud Muhaddisen ne unhe Seka karar deya hai, Rahe Imam Bukhari r.al ki unke bare me jarrah tou us baare me Arz hai k Imam Bukhari r.al ne unka Zekr Al-Tarekh Al-Kaber Aur Al-Tarekh Al-sger me keya hai mager unper koi Jarra nahi ki jabke Unhone Mo'mal bin Ismaeel r.al k baad Mo'mal bin Saeed k Zekr keya hai Aur Ese Imam Bukhari r.al ne Munker Ahadees karar Deya hai , jin Namur Maheren ne Imam Bukhari r.al k hawale se Mo'mal bin Ismaeel ko Munker e Ahadees karar deya hai unhone Mo'mal bin Saeed ko Imam Bukhari r.al k hawale se Munker Ahadees karar deya halake Mo'mal bin Saeed ko Imam Abu hatim r.al ne v Munker Ahadees karar deya hai.
[Al-Zarrah wa Al-tadel jild-8,Safa-375
Aur Imam Ibn Hibban ne use Munker e Ahadees jayada karar deya hai.
[Mezan Al-Ataral jild-2,Safa-572
Es bayan se ye hakikat Samne aate hai k Al-Tarekh Al-Kaber se Mo'mal bin Ismaeel r.al k tarzuma Nakal karne me Awwalan kisi bare Sakseyat se tasama hua hai k Mousuf ne Al-Tarekh Al-Kaber se Mo'mal bin Ismaeel k Tarzuma k Ibtadaye Aur Mo'mal bin Saeed k tarzume se Akhere Alfaz Nakal ker deya es Tarah Imam Bukhari r.al ki Mo'mal bin Saeed per jarra Mo'mal bin Ismaeel k tarzume k Akher me Darz ho gaye fer us kitab ki tamam tahzeb Aur tahzeyab k Moallifeken se es tasmah k sadur hota raha . (Wallah hu Alameen)
2- Imam Bukhari r.al jes rawi ko Munker Ahadees karar Dete hai us se Rewayat lena unke Nazdek kataye - Durust Nahi jaisa k Imam Jahbi r.al Aban bin Jabla k tarzuma me lekhte hai.
''Hafiz Ibn hajar r.al es Khayal k Ezhar ''Allisaan'' me us tarah farmate hai''
[Mezan Al-Ataral jild-1,Safa-119
''Yaani ye Qoul Imam Bukhari r.al se Sanad Sahi se Mankul hai''
wajeh rahe k Imam Bukhari r.al ne Mo'mal bin Ismaeel r.al se talikan Rewayat farmaya hai.
[Tahzeb Al-Tahzeb jild-10,Safa-33
darz e Bala Dalail se ye wajeh hua k Mo'mal bin Ismaeel Imam Bukhari r.al k Nazdek Munker e Ahadees Nahi kuki Ager Moujuf unke Nazdek Munker e Ahadees hote tou Imam Bukhari r.al un se Rewayat na lete kuki Ayse Rawi se Rewayat lena unke Nazdek hergez Durust Nahi.