Saturday, March 8, 2014

IMAM BUKHARI WA MUSLIM (RH) KO MUQALLID KAHNE AALON KA TAJZIYA





Bismilla-hir-rahma-nir-rahim..

Aaj kal akasar muqallideen yeh kahte hue nazar aate hai ke duniya me jitne bhi muhaddis gujre hai  wo sab kisi na kisi imam ki taqleed karte the.

Khusunan imam bukhari w muslim ke naam par kuchh muqallid ne yeh afwah faila rakha hai ke yeh imam shafa'ee ki taqleed karte the.

Aiye aaj is mamle ki ham tahqeeq karte hai ke kya imam bukhari w muslim taqleed karte the. Ya unki taraf taqleed parasto ne jhuthi afwa faila rakhi hai,

sabse pahle ham tohfatul qari sarah bukhari dekhte hai, jiske likhne wale molvi saieed sahab jo abhi darul uloom devband me bukhari padhate hain, wo likhte hai ke

"imam bukhari mujtahid mutlaq the. Wo kisi ki pairwi nahi karte the. Unhone apne bukhari sharif me ahnaaf par bhi radd kiya hai, shafaiee,malali,w hambali ka bhi radd kiya hai"

tohtaful qaaqi sarah sahi bukhari jild 1/page 109 muqaddma....

Yeh to tha devbandiyo ki jubani...
 


Magar fir bhi kuchh obaas type ke muqallid hai jo shayad is ibaarat ko padhkar bhi naa maane.. unke liye kuchh aur malumat...

 

 Imam ibne zakariya
 


"farmate hai ke imam muslim aur imam bukhari muhammad bin yahya ke paas tahseel e hadis ke liye jaya karte the. Ek dafa kisi ne imam bukhari se sawal kiya
 

"maa taqulu fi lafzi bil qur'aana makhluq huwa gaira makhluq"

tarzama:-
 

ham jo quraan ko padhte hai iske muta'aliq aap kya kahte hai.?

aaya wo padhna haadis hai ya qadim?

Imam sahab ne koi jawab nahi diya.
 

saieel baar baar aapse puchhta raha...

Aakhir kaar tisri baar farmaya:-

"al qur'aan kalamllahi gaira makhluq,w afaalul ibaada makhluqhu,wal imta-haana bid'at"

Tarzma:-
 

qur'aan allah ka kalaam hai aur qadeem hai, aur bando ke af'aal haadis hai.yani padhna haadis hai, aur
aajmaish karna naa jayej hai...

Logo ne imam bukhari ka jawab muhammad bin yahya ki majlis me bayan kar diya. Jis par
Ibne yahya ne farmaya ke 


"qur'aan haadis hai .."

Is baat pe imam bukhari aur ibne yahya ke darmiyan takraar hone lagi, takraar itni badh gai ke  ibne yahya ne imam bukhari ko apne halqa e tadrees se bahar nikal diya aur elaan kar diya ke koi imam bukhari se na mile....

Ibne yahya nishapur ke buland paya muhaddis the.aur nishapur me unki dhak baithi hui thi, isliye is hukam ki tamil ki gai.aur logo ne imam bukhari ke paas aana jana tark kar diya.

Magar imam muslim barabar aate jate rahe..

Logo ne imam muslim ki shikayat ibne yahya se kar di ke imam muslim ab bhi imam bukhari se milte rahte hai..

Ek roj imam muslim ibne yahya ke daras me shamil the ke ibne yahya ne sare sagirdo ko mukhatib karke kaha

"tum me se jo qur'aan ke qadeem hone ka kaieel ho wo meri majlees se nikal jaye.usko meri mahfil me baithna haram hai"

yeh sunkar imam muslim uthe aur waha se chale gaye. Dusre din un hadis ka zakhira jo ibne yahya se sunke likha tha.

Lauta diya.uske baad fir unse kabhi nahi mile.

Tahzeeb asma w sifaat lil imam ibne zakariya jild 12/453...

Imam muslim iske aage ka ahwal likhte hai ke
 

" jab main imam bukhari se mila to unhone barham hokar farmaya...

Tumne ibne yahya ki majlis kyo chhod di kya tune meri taqleed ki aur mere raste pe chala?

Ispar imam muslim ne farmaya
 

"maine aapki taqleed nahi ki, balki  aapko ahle haq ke karib paaya..".

Itna sunkar imam bukhari ne unko sine se laga liya aur farmaya...

"Allah ka shukar jisne mujhe aise logo se milaya jo deen ki samajh rakhte hai, aur taqleed nahi karte..."

kitabul tabqaat jild 1/136

ummid hai ke jo log imam bukhari w muslim ki taraf galat baat mansub karte hai unko is ibaarat se ehsas ho gaya hoga ke yeh log buland paya sakhsiyat hai, aur taqleed parasati se koso dur the...

Allah ham sab ko taqleed se bachne ki aur apne nabi ki ita'at karne ki tofiq ata farmaye... Aamin