Sunday, March 30, 2014

QUNOOT-E-NAZILAH KYA HAI ? YE KYO AUR KESE KI JATI HAI

Qunoot-e-Nazilah Ka Kya Matlab Hai, Ye Kyo Aur Kese Ki Jati Hai ?? - 

Jawab: Qunut Dua Ko Kahte Hai Aur Nazilah Ka Mayna Musibat Me Girftar Hona Hai Zamane Ke Hadsat Me Fas Jane Ke Waqt Namaz Me Allah T'ala Se Girya Wa Jari Karke Un Hadsat Se Nijat Pane Ke Liye Dua Karna Qunut Nazilah Kahlata Hai 

Duniya Me Musibate Aur Halat Kai Tarah Ke Hote Hai Maslan Duniya Ke Kai Hisso Me Muslmano Par Kuffar Wa Mushrkeen Aur Yahud Wa Nasara Zulmo Sitam Ke Pahad Tod Rahe Hai Din Rat Unko Pareshaniyo Me Mubtala Kar Rahe Hai Inko Qaid-o-Band Ki Sau'oobato Me Mubtala Kar Dete Hai Aur Kamzor Wa Bebas Muslman Unke Zulm Sitam Ka Shikar Bane Huwe Hai, To Un Tamam Halat Me Qunute Nazilah Ki Jati Hai Aur Ye Nabi e Karim s.a.w , Sahaba e Kiram, Tabaeen, Fuqha Wa Muhaddisin Aur Salaf Ka Tarika Raha Hai 

Is Dua Ka Maqsad Ye Hota Hai Ki Muslman Apne Gunaho Ka Iqrar Karte Huwe Intahaee Darr, Aajizi Wa Inkisari Ke Sath Allah Se Mu'aafi Chahe Aur Allah T'ala Se Dua Kare Ki Ai Allah Hume In Musibato Se Mahfooj Farma Gunaho Ko Bakh De - 

Rasul s.a.w Ne Farmaya Me Qunut Isliye Karta Hu Taki Tum Apne Rab Ko Pukaro Aur Isse Apni Zaruriyat Ke Bare Me Sawal Karo 

[Majma'a Ul Zawaid] 

- Nabi Karim s.a.w Ne Musibat Wa Pareshani Me Kabhi Pancho Namazo Me Qunut Ki Kabhi Baaz Namazo Me 

Isliye Haz Abu Huraira r.a Farmate Hai- Allah Ki Kasam Me Tumhare Qarib Wo Namaz Ada Karunga Jo Rasul s.a.w Ki Namaz Hai 

" Pas Haz Abu Huraira r.a Zuhar, Isha, Aur Fazr Ki Namaz Me Qunut Karte The Aur Momino Ke Liye Dua Karte The Aur Kafiro Par Lanat Karte The 

[Muslim] - 

Haz Bara'a Bin Aajib r.a Kahte Hai Rasul s.a.w Subah Aur Maghrib Ki Namaz Me Qunut Karte The 

[Muslim] 

- Haz Abu Hurairah r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Ne Namaze Isha Me Ek Maah Qunut Ki 

[Abu Dawood] 

- Haz Ibne Abbas r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Taqriban Ek Maah Zuhar, Asr, Maghrib , Isha , Aur Subah Ki Namaz Me Akhiri Rakat Me " SamiallahulimanHamidah" Kahte To Qunut Karte Aur Banu Salim Ke Chand Qabilo Re'al,Zakwan, Aur Oseyya Par Baddua Karte Aur Muqtadi Aamin Kahte 

[Abu Dawood] 

- Hadiso Se Malum Hua Ki Ap Sallallahu Alahi Wasallam Mukhtalif Halaat Ko Maddenazar Rakhte Huwe Kabhi Ek Namaz Me Kabhi 2, 3,Aur Kabì 5 Namazo Me Qunut Karte The To Hume Halaat Ke Taqaze Ke Mutabik Aisa Karna Chaiye Aur Ye Mamla Us Waqt Tak Jari Rahe Jab Tak Ki Dushmano Ki Muqammal Sarkubi (Haar) Nahi Ho Jati Aur Muslmano Ki Musibato Me Kami Waqeh Nahi Hoti - 

Haz Abu Huraira r.a Se Riwayat Hai Nabi Karim s.a.w Ne Ek Mah Tak Rukuh Ke Bad Qunut Ki Jab Ap Samiallahu Liman Hamidah Kahte To Apne Qunut Me Kahte Ai Allah Walid Bin Walid Ko Nizat De Ai Allah Salma Bin Hisham Ko Nizat De Ai Allah Ayyash Bin Abi Rabiya Ko Nizat De Ai Allah Zaif Momino Ko Nizat De Ai Allah Apna Ajaab Qabila Mujir Par Sakht Kar Allah Un Par Yusuf a.s Ke Zamane Jesa Kaht Dal De 

[Muslim] 

- Majuda Halaat Me Chunki Muslman Har Jagah Dushmano Ke Zulmo Sitam Ka Nishana Bane Huwe Hai Aur Kai Mulko Aur Yaha Bhi Muslman Kai Salo Se Zor Wa Zabrdasti Ki Chakki Me Pis Rahe Hai To Unki Nusrat Aur Aila-e-Kalimullah Ke Liye Jab Hum Jaddojahad Kar Rahe Hai To Hume Qunut e Nazilah Jese Hatiyar Se Kam Lena Chaiye Tamam Muslman Apni Namaz Namaz Me Rukuh Ke Bad 'Samillahu Liman Hamidah' Kahkar Sajda Me Jane Se Pahle Hath Uthakar Qunut e Nazilah Padhe Aur Maujahideen Wa Mazlum Muslmano Ke Liye Dua Kare 

Dua Karte Waqt Imam Mukhtalif Duaye Padhe Jab Ki Piche Muqtadi Ameen Kahe Qunut e Nazilah Se Maqsood Mazlum Wa Maqdoor Muslmano Ki Nusrat Wa Jabir Dushman Ki Halaqat Wa Barbadi Hai Isliye Is Maqsad Ko Jo Dua Bhi Pura Kare Mangi Ja Sakti Hai - 

Haz Anas r.a Se Riwayat Hai Mene Rasul s.a.w Ko Subah Ki Namaz Me Dekha Ki Apne Hath Uthaye Aur Dushmanane Islam Par Baddua Ki 

[Musnad Ahmad] 

- Yad Rahe Ki Dua Ke Bad Chehre Par Hath Pherne Ki Koi Sahi Hadith Maujud Nahi Jo Bhi Riwayat Hai Zaif Hai Aur Wo Qabile Hujat Nahi - 


Qunut-e-NazilahKi Dua Is Tarah Hai - 

Allâhummaghfir lilmu’minina wal mu’minât, wal muslimina wal muslimât, wa allif bayna qulübihim, wa aslih dhâta baynihim, wansurhum alâ aduwwika wa ala aduwwihim Allâhummal an kafarata ahlil kitâbil-ladhinayukadh-dhibüna rusulak, wa yuqâtiluna awliyâ-’ak. Allâhumma khâlif bayna kalimati-him, wazaizil aqdãmahum wa anzil bihim ba’sakal ladhi lâ tarudduhu anil qawmil mujrimin. 

- Tarjuma- Ai Allah ! Bakhs De Hume Aur Momin Mardo Aur Momin Aurto Ko , Muslman Mardo Aur Muslman Aurto Ko Aur Unke Dilo Ke Darmiyan Ulfat Dal De Aur Unke Apas Me Mamlat Ki Islah Farma Aur Unki Apne Dushmano Aur Unke Dushman Ke Muqbale Me Madad Farma Ai Allah! Ahle Kitab Ke Kafiro Par Lanat Farma,Wo Jo Tere Raste Se Rokate Hai Aur Tere Rasulo Ko Jhuthlate Hai Aur Tere Dosto Se Ladte Hai Ai Allah ! Unki Bato Ke Darmiyan Ikhtilaf Dal De Aur Unke Qadam Dagmaga De Aur Un Par Apna Azaab Nazil Kar Wo Jise Tu Mujrimo Se Nahi Lautata 

[ Sunan Al Kubra Lil Bahaiqi 2/210, Musanif Abdurrazjak Hadith - 4969] Ameen Ya Rab Alameen