Thursday, March 6, 2014

AHMAD RAZA KHAN KA SAFAR HEJAAZ AUR AHNAAF ME TANA'ZA KI HAQEEQAT: (PART-2)

Bismillahirrahmanirraheem

AHMAD RAZA KHAN KA SAFAR HEJAAZ AUR AHNAAF ME TANA'ZA KI HAQEEQAT: (PART-2)


Ek Taraf Toh Khan Sahab Ke Khilaaf Pooch Gachh Ki Ye Kaarwaahi Arz Haram Me Ho Rahi Thi ; Dusri Taraf Unhone Apne Asali Maqsad Ko Bhi Faraamosh Nahin Kiya Tha,

Khaleel Ahmad Saharan'puri Un Dino Makka Muqarrama Me Hi Muqeem They,

Ahmad Raza Khan Ne Apne Waqeel Sheikh Saleh Kamal Ke Zariye Ye Paigham Ameer Shareef Ko Bheja Ke

"Afsos Mujh Par Toh Is Tarah Ho Rahi Hai, Halaake Main Ahlus Sunnah Ke Khaas Ulema Mese Hoon, Jabke us Mulk Me Ek Aadmi Ye Daawa Karne Waala Maujood Hai Ke (Maaz'allah) Allah Taala Jhoota Aur Shaitaan Ka Ilm Rsoollullah (Sws) Se Badh Kar Hai, 

Magar Us Shakhs Par Kisi Qism Ka Muwakhaza Nahin Kiya Jaata"

Jis Waqt Mufti Saleh Kamaal Ne Ahmad Raza Khan Ki Ye Baat Shareef Ki Majlis Me Pahunchayi Toh Sheikh Shuaib Aur Sheikh Ahmad Faqeeh Maujood They, Isi Tarah Deegar Ulema Aur Araakeen Majlis Maujood They,

Sabne Ahmad Raza Khan Ka Ye Qaul Sunkar Kaha Ke Ye Mahaz Bohtaan Aur Aftara Hai Kyinke Koi Musalman Kahalwaane Waala Shakhs Aisi Baat Harghiz Nahin Kar Sakta,

Sheikh Saleh Kamal Ko Us Waqt Ahmad Raza Khan Ki Waqaalat Par Nadamat Wa Shar'mindagi Hui,

KHALEEL AHMAD SAHARANPURI KA IZHAAR HAQEEQAT:

jab Khaleel Ahmad Saharanpuri Sahab Ne Is Waaqeye Ke Baare Me Suna Toh Apne Baaz Ehbaab Ke Hamraah Sheikh Shuaib Aur Mufti Saaleh Kamal Ke Paas Gaye Aur Dauraan E Mulaaqaat Unse Kaha Ke

"Maine Suna Hai Ke Ek Aadmi Ne Ameer Shareef Ke Paas Kisi Shaks Ke Allah Aur Uske Rasool Ke Baare Me Bahut Ghalat Aur Faasid Aqeede Ki Shikaayat Ki Hai"

Jab Un Dono Shuyookh Ne Is Ka Aitraaf Kar Liya Toh Sheikh Khaleel Ahmad Ne Kaha

" Jiske Baare Me ye Bohtaan Lagaaye Gaye Hain Wah Main Hoon Aur In Ilzamaaton Ka Haqeeqat Se Koi Taalluq Nahin,

Asal Baat Ye Hai Ke Maine Ahlus Sunnah Ke Aqeedah "Jawaaz Khalf Wa Adu Waeed Ke Imtana Bil'ghair" Aur Nabi (Sws) Ke Ilm Ghaib Ka Kulli Ke Inkaar Ka Main Qayel Hoon Aur Iska Barmala Izhaar Karta Hoon"

Sheikh Khaleel Ahmad Ne In Dono Maslon Par In Dono Hazraat Se Tafseel Se Guftughu Ki Aur In Dono Ulemaon Ne Is Par Taed Karte Hue Unhe Ahle Sunnah Wal Jamat Ka Aqeedah Qaraar Diya Aur Kai Ayaat Wa Hadith Nabawiyah (Sws) Iski Taeed Me Pesh Ki,

Ye Majlis Taweel Guftughu Ke Baad Khatam Ho Gayi,

Sheikh Khaleel Ahmad Saharapuri Iske Baad Madeena Munawwara Ki Taraf Safar Kar Gaye , Albatta Ahmad Raza Khan Ke Liye Safar Karne Ki Pabandi Thi,

(Shihab Us Saaqib Page 31-32)

RISAALA HISAMUL HARAMAIN KI TAALEEF:

makka Muqarrama Ke QAYAM Ke Dauraan Ahmad Raza Khan Ne Ulema E DeoBand Ki Kutub Me Se Baaz Ibaaraton Me Kaant Chhaant Karke Apni Taraf Se Kuch AisI Ibaaratein Tarteeb Di Jisse Kufr Wa Shirk Waazeh Taur Par Ayaan Hota Tha Jisme,

1- Ulema E Deoband Ko Wahabi Zaahir Kiya Hai

(Hisamul Haramain 11-28)

2- Dusra Makar O Farb Ye Kiya Ke Ahmad Raza Khan Ne Apni Kitab Ki Ibteda Me Mirza Ghulam Ahmad Qadyani Ke Mahdi Hone Aur Nabi Hone Ke Daawe Zikr Kiye Hain Aur Hz Eesa (As) Ki Tauheen Aur Ahle Bayt (ra) Ka Tafseeli Zikr Kiya Jisse Har Musalman Ka Jazbaati Hona Yaqeeni Baat Hai,

Phir Uske Saath Hi Mutsal Ulema E Deoband Ka Tazkirah Is Ehaam Ko Pukhta Bunyaad Faraaham Kar Deta Hai Ke Yaqeenan Maukhir Uz Zikr Hazraat Awwal Ul Zikr Hi Ke Saath Qawi Taalluq Rakhte Hain,

FiR Mukhtalif Tareeqon Se Is Talluq Ka Baar Baar Tazkirah Is Baat Ko Aur Bhi Pakka Kar Deta Hai

(Hisamul Haramain 11-12)

3- Ahmad Raza Khan Ne Sheikh Qasim Nanotwi (Rh) Par Ye Bohtaan Baandha Ke Nabi (Sws) Khaatmiyat Zamani Yani Nabi Aakhirul Zaman Hone Ke munkir Hain,

Aur Is Maqsad Ke Liye Unki Shahrah Aafaaq Kitaab "Tahzeerul Naas" Ki Teen Alag Alag Saffaat Ki Ibaaraat Ko SIYAAQ wa saBaaq Se Nikaal Kar Unme Taqdeem Wa Taakheer Karke Pahle pahle Apne Ek Ibaarat Tarteeb Di, Phir Uske Arabic Tarjume Me Intehayi Ilmi Bad'diyaanati Ka Muzaahirah Karke Uske Aise Maayene Pahnaaye Jinke Kufriya Kalimat Hone Me Kisi Adna Musalman Ko Bhi Zarra Baraabar Shak Nahin Ho Sakta, Aur Ye Sab Khan Sahab Ki Taba Haath Ki Safaayi Wa Aqalmandi Ka Karishma Tha"

(Hisamul Haramain 19-20)

4- Isi Tarah Ahmad Raza Khan Ne Rasheed Ahmad Gangohi Ke Bare Me Ek Man'ghadant Fatawa Mansoob Kiya Jisme Aapki Taraf Is Tahreer Ki Nisbat Ki Gayi Ke Agar Koi Allah Ki Nisbat Ye Kahta Aur Aqaid Rakhta Hai Ke Allah taala Jhoot Bolta Hai Toh use Kafir Mat Samjho "

(Hisamul Haramain 21-22)

5- Isi Tarah Khaleel Ahmad Saharan'puri Ki "Baraheen Qatiya" Ki Ek Ibaarat Ka Siyaaq Wa Sabaaq Se Alaheda Karke Apne Alfaaz Me Aisa Mukhtasar Matlab Nikala Jo Saraasar Kufr Ke Maane Par Dalaalat Kar Raha Hai, Wah Yun Ke  
Mausoof Apni Kitab "Baraheen Qaatiya" Me (Maaz'allah) Shaitaan Ke Ilm Ko Nabi (Sws) Ke Ilm Se Zyada Kahte Hain Aur Shaitaan Ko Nabi (Sws) Se Bada Aalim Qaraar Dete Hain"


(Hisamul Haramain 21-22)


6- Isi Tarah Ashraf Ali Thanwi Sahab Ke Risaala "Hifzul Imaan" Ki Ibaarat Ko Qatar'baunt Ke Baad Ye Maana Pahnaaye Ke

"(Maaz'allah) Nabi (sws) Ka Ilm Zaid Wa Umar Balke Chaupaayon Ke Ilm Jaisa Hai"

(Hisamul Haramain 27-28)

Akaabir ulema E Deoband Ki Tahreeron Ko Yun Manmaane Mane Wa Alfaaz Pahna Kar Aur Ibaarat Me Qatar'baunt Aur Taqdeem Wa taakher Karke Un Ko Hatta La'makaan Bhayanak Bana Kar Ek Risaala Ke Naam Ke Saath Ulema E Makka Muqarrama kE Saamne Pesh Kiya Aur Baaz Ulema E Haramain Se Us Par Tasdeeqaat (Muhar) Bhi Haasil Ki

(Hisamul Haramain 24-31)

Sheikh Manzoor (Nomani Deobandi) Ne Apni Kitab "Al Munazirul Faasila" Me Ahmad Raza Khan Ke "Hisamul Haramain" Me Ulema E Deoband Par Lagaaye Gaye Bohtaan Zikr Kiye Hain....