Tuesday, March 4, 2014

IMAM E HARAM SHAIKH SAUD AL SHURAIM HAFIDULLAH KA AHLE HADITH SE KHITAAB






Shaik Saud Al Shuraim Hafidullah Ka Ahle Hadiso Se Khitab Jab Wo Mumbai Aye The
-
Assalamu Alaikum wr Wb
Ahle Hadiso Apse Mulaqat Karna Mere Faraiz Me Shamil Hai Jab Se Mene Mumbai Me Kadam Rakha Tab Se Mere Dil Me Ye Tammna Jag Rahi Thi Ki Me Apne Bhaiyo Ahle Hadiso Se Mulaqat Karu Q Ki Wo Hmare Bhai Hai Unse Hmara Talluq Behad Gahara Hai Aur Isliye Bhi Ki Ye Ta'ifa Mansura Hai Jesa Ki Rasule Karim s.a.w Ne Farmaya Meri Ummat Ka Ek Giroh Hmesha Haq Par Rahega Aur Ye Alhamdulillah Ahle Hadis Hai A'imma Ki Sarahat Ke Mutabik Inki Nisbat Duniya Me Sbse Sachi Aur Behtarin Nisbat Hai Ahle Hadis Hmare Bhai Hai Aur Me Apne Bhaiyo Me Aakar Bepanah Khushi Mahsus Kar Raha Hu
.
Iske Bad Shaikh Saud Al Shuraim Hafidullah Ne Farmaya Unki Nisbat Hadis Ki Tarf Hai Rasule Pak Ka Deen Quran Hadis Par Mabanee Hai Aur Behtreen Naujawano Ke Liye Aml Ka Yahi Rasta Hai
Isi Me Roshani Hai Hum Apne Bhai Ahle Hadiso Se Bepanah Muhabbat Karte Hai Aur Unki Buniyad Quran-o-Sunnat Ki Itteba Hai Hmara Aur Ahle Hadiso Ka Manhaz Hmari Soch Hmari Fiqr Ek Hai Sabse Badi Bat Jo
Hmari Mohabat Ki Buniyad Hai Wo Ye Hai Ki Ahle Hadis Ne Har Nazuk Waqt Par Hmara Sath Diya Hai Jab Bhi Kisi Fitane Ne Sar Uthaya Hai To Sabse Pahle Hind-o Pak Ke Ahle Hadiso Ne Hmara Sath Diya Jab Bì Koi Mushkil Pesh Ayi Hmare Ahle Hadis Bhai Hmare Sath Rahe Yahi Wajah Hai Ki Saudi Ki Awam Hai Wo To Apni Jagah Hai Sathi Hi Waha Ke Huqmaran Bì Ahle Hadiso Se Mohabbt Karte Hai Chahe Wo Maazi Ke Huqmran Ho Ya Mauzud Haqim E Huqumat Wo Sab Ahle Hadise Se Mohabbt Karte Hai Hmare Talluqat Behad Gahare Aur Mazbut Hai
Kyo Ki Yaha Ke Ahle Hadiso Ka Manhaz Sabse Sahi Aur Durust Hai Aur Iske Siwa Kamyabi Ka Koi Aur Rasta Bhi Nahi
.
Ahle Hadis Hi Jo Sahi Tarike Aur Maslak Par Hai Aur Yaha Par Jo Log Huqumte-e-Saudiya Ke Khilaf Propaganda Karte Rahe Hai
Shaik Mohammed Ibn Abdul Wahab Rh. Ki Dawat Ke Khilaf Jo Log Propaganda Karte Rahe Unke Khilaf Fitne Chalate Rahe Ye Ahle Hadis The Jo Hmari Difa Me Khade Huwe Halanki Saikh Mohammed ibn Abdul Wahab Rh. Ki Dawat Naee Dawat Nahi Thi Ye Dawat To Wahi Dawat Thi Jo Shaikhul Islam Ibne Taiymmiya rh , Ibne Qayyim rh , Imam Malik rh, Imam Humbl Rh Aur Tamam A'imma-e-Deen Jo Dawat Pesh Ki Thi Jo Saf Suthra Mazhab Pesh Kiya Tha Ahle Hadiso Ki Dawat Wahi Dawat Hai Jo Sahi Aur Durusat Dawat Hai
Aur Wahi Shaik Mohammed ibn Abdul Wahab rh. Ki Thi

Allah T'ala Jis Par Inam Karta Hai Log Us Se Hasad Karte Hai Jalate Hai Tohmate Lgate Hai Aur Sahi Rah Chalne Walo Ki Sunnat Rahi Hai Ye Ambiyao Ki Sunnat Rahi Hai Logo Ne Unki Mukhalfat Ki Hai Un Par Tohmate Lgai Hai Aur Sabse Badi Misal Jo Hmare Rasul Janabe Muhammad Mustafa s.a.w Ki Zaat Girami Hai Jinko Shayar, Kahin, Diwana Kaha Gaya Aur Tarah-Tarah Ki Tohamate Lgai Gai To Dusro Ki Bisat Kya Hai
Phir A'imma-e-Qiram Kya Hai Un Par Bhi Tohamate Lgati Rahi Hai
Ye Tajzub Ki Bat Nahi Jab Rasul s.a.w In Tohmato Se Na Bach Sake
Log To Ye Bhi Kahte Hai Ki Ahle Hadis Sakht Hote Hai Aur Yahi Tohmat Saikh Mohammed Ibn Abdul Wahab rh. Par Lgai Gai
Ahle Hadis Mutsajid Nahi Hote Ahle Hadis To Sunnato Ke Sath Mazbuti Ke Sath Chimate Rahne Wale Hote Hai Allah Ke Nabi Sallallahu Alahi Wasallam Ki Sunnato Par Unhe Gairat Hoti Kitab-o-Sunnat Par Ahle Hadis Jame Rahna Duniya Ke Muqable Me Tarzih Dete Hai Yahi Wajah H Ki Log Inse Hasad Karte Apne Dil Ki Bhadas Inke Khilaf Nikalte Hai Jinka Manhaz Galat Ho Wo Hi Inse Nafrat Karte Hai Ye Ahle Hadis Hi Jinka Manhaz Hai
Qala Allah, Qala Rasulullah s.a.w, Qala Sahaba
Allah Ne Farmaya , Rasul s.a.w Ne Farmaya , Sahaba Ne Farmaya Yahi Ahle Hadis Ka Manhaz Hai Jis Par Ahle Hadis Jeete Hai Yahi Haq Hai Isi Par Hee Hum Sabh Ko Jame Rahna Hai Allah Se Dua Hai Ki Allah Hum Sab Ko Rasul s.a.w Ki Sunnat Ki Pairvi Karne Ki Taufique Ata Farmaye Aur Hume Is Par Qayam Wa Dayam Rakhe Ameen
Ayan Khan Salafi
-
Is Behtreen Aur Umda Khutbe Ka Video Dekhene Ke Liye Yaha Click Kare
.
http://m.youtube.com/watch?v=iN1x5YOLjLg&client=mv-ucweb-in&hl=en&gl=IN&guid
.
http://m.youtube.com/watch?v=c4_RiwFf0RU&client=mv-ucweb-in&hl=en&gl=IN&guid