Thursday, March 6, 2014

TAREEKH E AHLE HADEES bajawab AHLE HADEES PEDAWAR E ANGREZ


TAREEKH E AHLE HADEES bajawab AHLE HADEES PEDAWAR E ANGREZ



Abeerah Fragrance says - MUHADDISEEN ke baat se AHL-E-HADEES kaha they?

Asal haqeeqat (jawab) – Ahle hadees kal ki pedawar he, ek na qabil e qabul baat duniya me fela kar, is khatrnak jhut ko duniya me fela kar , dushmanane islam ne bechare bhole bhale musalmano k dilo me kayi aese sawal peda kar diye he , jiski koi bunyad hi nahi, kher sawal to ho hi chukka he to har sawal ka ek jawab bhi hota hi he,

jesa k ap logo ne yaha pehla sawal dekha k, muhaddeseen ki baat se pehle ahle hadees kaha they?

Sab se pehle ham iske jawab me ye kehna chahenge k agar wakayi me ahle hadees muhaddeseen k zamane me the to fir kya baat thi muhaddeseen ne Ahle hadeeso ko kyo qabul kia ?
Muhaddeseen ne Ahle hadeeso ki bato ko kyo gale se lagaya ?
Muhaddeseen ne Ahle hadeeso ko kyo gale se lagaya ?

Iska mukhtasar sa jawab yahi he k muhaddeseen khud Alhamdulillah ahle hadees hi the.

Ab ham apko tareekhi pase manzar k hisab se Ahle hadees ki pedayish batate he.

Daleel no 1 – 

abu hurerah rz. Ne apne apko Ahle hadees kaha he 

[tazkiratul huffaz 1/29, tareekh e Baghdad 1/174]

Daleel no 2 – 

Abdullah bin abbas rz ko Ahle hadees kaha gaya 

[tareekh e bagdad al khateeb 3/227]

Daleel no 3 – 

abu sayeed khudree rz ne farmaya k ‘hamare baad tum Ahle hadees ho’ 

[kitab sharful khateeb 12]

Daleel no 4 – 

imam shaa’abi ne tamam sahaba ikram ko Ahle hadees kaha he, or 5oo sahaba ikram ko dekha tha. {matlab ap tabayee he} 

[tazkiratul huffaz 1/42]

Is baat se malum hua k sahaba  ikram or tabayeen  rh Ahle hadees hi the.
-----------------------------

Ab ham ap ke samne aimma arba k kuch aqwal pesh karenge, jinko ap mati he , magar unki kabhi bhi nahi manti , kher

IMAM ABU HABIFA RH.


‘imam abu hanifa k usool [aqayeed wa jam taqleed] me ahle hadeeso k usoo par he 

[asuluddeen – 1/30]’

Wo khud farmate he , mera mazhab sahi hadees he 

[shami mujtabayi – 1/46]

Sufyaan bin oaena rh kehte he ki 

‘’mujhe pehle pehal imam abu haneefa rh ne Ahle hadees banaya he’’ hayaiqul hanifa 134 {ye alfaz ‘molvi faqeer mohammad dehlwi hanafi ki kitab – hayaiqul hanifa 134 – taba (nawal kishor) k he’}

Malum hua k imam abu hanifa rh khud ahle hadees the


IMAM ABU YUSUF RH.


Ibn mueen ne apko sahibe hadees or sahibe sunnat kaha he 

[tareekh e Baghdad – 1/267]


Ap Ahele hadees se mohabbat rakhte or unhi ki taraf mayeel the, Ahle hadeeso ko apne darwaze par ikatha dekh kar farmaya tha ki ‘ruye zameen par tum Ahle hadeeso se behtar or koi nahi’ 

[kitab ashraful khateeb 61]

IMAM MALIK RH.


Ap bhi ahle hadees the imam muslim rh ne apko apni kitab sahi muslim k muqadme me apko aimma e Ahle hadees me shumar kia he, or imam wahib rh ne apko imam e Ahle hadees kaha he 

[tazkeerul huffaz 1/188]


IMAM SHAFAYEE RH.


Imam shafayee rh ne apne liye Ahle hadees ka mazhab pasand kia tha 

[minhajussunnah 4/143]


IMAM AHMED BIN HAMBAL RH.


Apko kati bin sayeed ne ‘Ahle hadees’ kaha he 

[kitabul sharful khateeb 74]


Ek martaba ap se firqa najiya k bare me pucha gaya to , ap ne kaha , yah Ahle hadees, agar yah firqa najiya na hua to me nahi janta k or kon firqa he 

[kitabushsharf - 24]


Ap ne ek martaba farmaya k mere nazdeeq Ahle hadees se behtar koi nahi 

[kitabushsharf - 49]

Ek martaba apke samne kisi ne Ahle hadees ko bura kaha to apne us bura kehne wale ko teen martaba ‘zindeeq (be deen)’ kaha. 

[tabqat ul hambal – 40, kitabushsharaf – 76, uloomul hadees lil hakim - 41]


SHEKH ABDUL QADIR JILANI RH.

Ap ne apni kitab (gunyatutalebeen) me Ahle hadees ko bura kehne wale ko ahle bidat me shumar kia he. 1/90 [apki pedayeesh pachwi sadi k aakhir me hui he]

SARHADO K  MUSALMAN


Isi pachwi sadi k tamam sarhado k musalmano ka mazhab Ahle hadees ka paband hona [Allama abu mansoor Baghdadi ki kitab usuluddeen 1/317] se wazeh hota he


Rum or sham or jazeera aajrbejaan ki sarhado k bashinde sab k sab Ahle hadees k mazhab par he 

[usuluddeen 1/317]

HINDUSTAAN


Or usi zamane me hindustaan me bhi Ahle hadeeso ka wajood milta he mashhoor arab tourist ‘bashshari muqaddasi jo 375 me hindustan aaya tha, ’ apni kitab me sindh k mashhoor mansura k haal me likhta yaha k zimmi [ger muslim] but parast log he or musalmano me aksar Ahle hadees he, 

[ahsun taqseem fi marifatul akalim, tareekh e sindh 124]


Is bayan se logo ko bahut taajjub ho ga or agar ap zara bhi sahi tareekh ka ilm rakhti he to apko bhi hoga, k hindustaan me jamat e Ahle hadees molana ismayil shaheed or Allama mohammad bin Abdul wahab rh ki pedayeesh se bhi sekdo saal pehle mojood he, kyonke ye arab tourist muqaddasi chothi sadi 4th hijri me guzra he.


Abeerah Fragrance says - 1300 saal ki taareekh me 400 saal starting ke nikal do aur 200 saal abhi ke hata diya jaye to darmiyan me 700 saal bachte hain, ab aap bataiye ke in 700 saalo ke darmiyan AHL-E-HADEES kaha they?


Asal haqeeqat (jawab) – jesa k ap farmati he 1300 saal ki tareekh me 400 saal starting k nikal do = 900, 200 saal abhi k nikal do = 700, Darmayan me 700 saal bachte he, Alhadulillah . ap ne sirf previous 700 salo ka tareekhi pasemanzar ka mutaba kia tha magar hamane upar 1300 saal se lekar abhi tak ka tareekhi pasemanzar dalayeel k sathbayan kar diya, ab ap isme na 1300 – 400 kare , or na hi 900 – 200 kare. bade itminaan k sath upar diya gaya jawab fir se ek martaba neutral zehan karke, bager kisi jalan wa tassub k ek martaba fir se mutala [reading] kare.   


Abeerah Fragrance says - Tareekh Gawah hai, aur aap hazraat ki kitabo me bhi maujood hai ke aap logo ne angrezo se Apna Naam AHl-E-Hadees Alaat karwaya tha


Asal haqeeqat (jawab) – ab hame nahi malum k ap ne ham hazraat ki kon si kitab padhli k jisme hamne khud  ne Ahle hadees naam allot karwaya he, kher agar ap hame kuch hi daleel faraham kar deti to badi hi meharbani hoti, nab hi bataye to chalega.  

Abeerah Fragrance says - ab aap yeh bataiye ke Aap Log Jab Pehle se they toh yeh achanak ANGREZO se naam alaat karwane ki Zaroorat kyu pesh aayi?

Asal haqeeqat (jawab) – mashallah , ap bhi pura nahi magar thora thora tasleem karti he Ahle hadees pehle se mojood he, magar hame ye nahi samajh aa raha k ap ne kis Ahle hadees ko apna naam lete huye angrez k pas jate huye dekh liya. Daleel ka intezar rahega.



Abeerah Fragrance says - kya in 700 saalo ke darmiyan aap log ne kuch aur naam rakh liya tha?

Asal haqeeqat (jawab) – 1300 saal starting se Alhamdulillah Quran hadees ko manne walo ko Ahle hadees hi kaha jata he, wese jalne wale no kayi naam diye, wo naam ap ham se behtar janti he, batane ki zarurat nahi.


Abeerah Fragrance says - agar kuch aur naam rakha tha to kya name tha? aur kyu rakha tha?


Asal haqeeqat (jawab) – naam rakha to nahi tha magar rakh diye gaye the, or kyo iska jawab bhi Alhamdulillah ap janti he.


Abeerah Fragrance says - in 700 saalo ke darmiyan AHL-E-HADEES duniya ki kis Country me they? aur waha par un ka kya name tha?


Asal haqeeqat (jawab) – dniya ki har country me , or waha har jagah unka naam Ahle hadees hi tha.


Abeerah Fragrance says - Soch kar jawab dijiye..


Jawab – mashwara dene ka shukria, jazakallah ho kher…

Ummid karta hu k iske baad apke zehan me tareekh e Ahle hadees k mutallik koi sawal peda na hoga, or na hi ap Ahle hadeeso ko angrezo ki pedawar kahengi.


Allah se dua he ki hame sirf or sirf quran hadees se mohabbat karne wala bana de [Aameen ya rabbal aalameen]

{talib e dua , ek adna sa talib e ilm - M.M.}