Sunday, May 10, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-11)







Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-11)



YAQEENAN NABI MUHAMMAD SALALLAHO ALAIHI WASALLAM INSAN HAIN



DALEEL NO.4


“Mushriko Ne Kaha ! Ye Toh Tum Jaisa Insane Hai, Tumhari Hi Khuraak Ye Bhi Khata Hai Aur Tumhare Peene Ka Paani Bhi Ye Peeta Hai”


(Surah Mominoon Ayat No.34 )


Allah Tala Ka Qalaam Hikmaton Se Bhara Hai, Nabion Ke Mutaallik Baar Baar Khane Ki Daleel Bayan Karna Iski Ahmiyat Ko Zaahir Karta Hai Ki Saare Nabi Basher Aur Khaane Peen Eke Mohtaaj They Wah Noori Makhlooq Ya Allah Ka Tukda Kaise Ho Sakte They, Aur Iski Ek Aur Umda Misaal Barelwion Ki Tafseer Naimiddeen Se Dena Sone Pe Suhaaga Hoga,


Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Nazraan Ke Ek Isaayi Wafad Se Munazara Hua Unhone Kaha


“ Agar Isa (As) Allah Tala Ke Bête Na Hon Toh Bataayen Inka Baap Kaun Hai??? Aur Sabke Sab Bolne Lage”

Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:


“Tum Nahin Jaante Ke Beta Baap Ke  Zaroor Mushaaba Hota Hai??  Isaaiyon Ne Iqraar Kiya”

Fir Farmaya:

“Tum Nahin Jaante Ke Mera Rabb Hayyul Aur Yamoot Hai, Iske Liye Maut Muhaal Hai, Aur Isa (As)  Par Maut Aane Waali Hai ?? Unhone Bhi Iska Iqrar Kiya”

Fir Farmaya:

“Kyat Um Nahin Jaante  Ki Hamara Rabb Bando Ka Kaarsaaz Aur Unka Hafiz Haqeeqi Aur Rozi Dene Walaa Hai”

Unhone Kaha: “Haan”

Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

“Kya  Isa (As) Bhi Aise Hi Hain?? ”

Kahne Lage:-“Nahin”

Farmaya:-“Kyat Um Nahin Jaante Ki Allah Tala  Se Zameen Aur Aasmano Ki Cheez Posheeda Nahin??, Unhone Iska Bhi Iqrar Kiya”

Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

“Toh Kya Isa (As) Be’ghair Taleem E Ilaahi Isme Se Kuch Jaante Hain,”

Unhone Kaha:-“Nahin”

Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“ Kyat Um Nahin Jaante Ki Isa (As) Hamal Me Rahne Walon Ki Tarah Hamal Me Paida Hue, Bachhon Ki Tarah Ghiza Diye Gaye, Khaate Peete They Aur Awariz Bashari Rakhte They,” Unhone Iska Bhi Iqrar Kiya

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Fir Wo Kaise Allah Ho Sakte Hain Jaisa Ki Tumhara Ghumaan Hai ??”

Is Par Isaayi Khamosh Rah Gaye Aur Unse Koi  Jawab Na Ban Pada, Is Par Surah Aal E Imraan Ki Awwal Se Kuch Upper 80 Ayat Naazil Hue,

(Tafseer Naimuddeen Muradabadi Aal E Imran Surah No.3 Ayat No.2, Fayeda No.2)


Jo Log Kisi Nabi Ko Allah Ka Beta Ya Tukda Maante Hain Unse Mere Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Munaazara Ho Chukka Hai Aur Usme Mere Nabi Ye Munaazara Jeet Bhi Chuke Hain,

Yahi Munaazara Main Aaj Ke Mushrikonn Ke Saamne Rakhta Hoon, “Hai” Koi Jisne Maadar E Ilmi Ka Dhoodh Piya Hai, Jo Merenabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Munazara Jeet Ke Dikhaaye, Agar Tum Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Ke Noor Ka Tukda Maante Ho Toh Tumhe Khula Challenge Hai Ki Allah Ke Rasool Ke Is Munaazare Ka Jawab Dekar Dikhao

Allah Tala Ka Farmaan Hai

“Beshaq Inhone Allah Ke Bandon Ko Allah Ka Juzz Bana Diya Aur Insaan Khullam Khulla Kaafir Ho Gaya”

(Surah Zukhruf Ayat No. 15)


To Be Continued

#Irfan Ali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks