Friday, May 1, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-8)







Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-8)



BARELWION KI 2 RUKHI JIHAALAT:


 Ahmad Raza Khan Sahab Ka Tarjuma Aur Naim Muradabadi Ki Tafseer Surah Baqarah Ayat No. 9, Faayede 13 Ke Tahat Likhte Hain


“Qur’an Me Ambiya Ko Basher Kahne Walon Ko Kafir Kaha Gaya Hai Likhte Hain Aise Lafz Adab Se Door Aur Kuffar Ka Dastoor Hai”

AB TAMASHA DEKHEN LIKHTE HAIN:


Surah Bani Israel Ki Ayat 87 Ke Tahat Faayeda 190 Me Likhte Hain


“Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Tamam Bani E Adam Ka Sardar Aur Khatimunnabi Kiya”
Yahan Par Khud Muradabadi Ne Khud Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bani E Adam Ka Sardar Kaha,

Rasoollullah Sallalaho Alaihin Wasallam Surah Nahal Ayat No. 43,89,90 Me Basher, Insaan, Mard Kaha, Surah Nisa Fayeda 3 Me Adam (As) Ko Abul  Basher Jo Be’ghair Maa Baap Ke Mitti Se Paida Kiye Gaye Aur Saare Insaan Jisse Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam, Yaqoob(As), Ko Adam (As) Ki Aulaad  Kaha,


Surah Ambiya Ayat No. 34 Me Faayeda 66 Me Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ko  Aadmi Kaha Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ka Zikr Kiya,


Surah Hajj  Ayat No 75 Fayeda 193 Me Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ibraheem (As), Musa, Isa (As) Ko Basher Aur Insaan Likha,


Surah Younus 2,3,Me Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Basher Likha, Surah Baqarah Ayat No. 177 Fayeda 312 Me Likha Ambiya Mard Hote Hain,


Surah Nisa 1 Fayeda 3 Me Likha Tamam Ambiya Basher Aur Insaan They, Surah Mominoon  24 Fayeda 33 Me Likha Basher Ko Rasool Na Manna Kamala Himaakat Hai, Surah Taghabun 6 Fayeda 11 Me Likha Munkiron Ne Rasool Ke Basher Hone Ka Inkaar Kiya Aur Ye Kamal Be’aqali Aur Na’fahmi Hai- Wgerah Wagerah


Toh Dekha Aap Logon Ne Muradabadi Ne Ambiya Ko Basher Kahne Walon Ko Kafir Kaha, Fir Iske Baad 2 Rukhi Jihaalat Ka Sabot Dete Hue Har Jagah Apni Hi  Tafseer Me Ambiya E Kiram Ko Basher, Insaan , Mard Likha Jiska Maine Chand Ek Sabot Pesh Kiya, Baqi Poora Qur’an Aise Hi Alfaazon Se Bhara Hua Hai,


Aur Ye Qur’ani Mojeza Aur Allah Tala Ki Hifaazat Ka Aisa Namoona Hai, Ki Jo Koi Bhi Is Qur’an Ko Apni Taraf Se  Zarrah Baraabar Bhi Chhed Chhad Karega Wo Yaqeenan Aage Ki Aayaton Me Zaroor Se Zaroor Fasega Aur Poori Duniya Me Zaleel Hokar Rah Jaayega Aur Kyon Na Ho Allah Tala Ne Is Qur’an Ki Hifazat Ki Zimmedari Jo Li Hai,

AMBIYA KE BASHAR HONE KI DALEEL:


Qur’an Fermata Hai

“In Auraton Ne Jab Use Dekha Toh Apne Haath Kaat Liye Aur Zabaan Se Nikal Gaya, Mashaallah Ye Harghiz Insaan Nahin Ye Toh Yaqeenan Koi Farishta Hai”

(Surah Yousuf Ayat No 31)

Malum Hua Ambiya Kiram Ki Ghair Mamooli Khususiyat Wa Imtiyaaz Ki Bina Par Unhe Insaaniyat Se Nikaal Kar Noorani Makhlook Qarar Dena Har Daur Ke Aise Logon Ka Sewah Raha Hai, Jo Nubuwwat Aur Uske Maqaam Se Na’aashna Hote Hain Jaise Barelwi Aur Deobandi Isi Tarah Insaan Ko Kamtar Samjhna Aur Nubuwwat Ke Layeq Na Samjhna Shaitano Ka Kaam Hai, 

Qur’an Kahta Hai

“Wah Bola Main Aisa Nahin Ke Is Insaan Ko Sajda Karun Jise Tone Kaali Aur Sadi Hui Khankhanati Mitti Se Banaya Hai”

(Surah Hijr Ayat No 33)

Malum Hua Shaitan Ki Inkaar Ki Wajah Adam (As) Ka Khaki Aur Basher Hona Batlaaya, Jiska Matlab Ye Hua Ki Insaan Yani Basher Ko Iski Bashariyat Ki Bina Par Hakeer Aur Kamtar Samjhna Ye Shaitan Ka Falsafa Hai, Ye Momin Ka Aqeeda Nahin Ho Sakta..

To Be Conitunued..

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi