Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-9)
NABI SALLALAHO ALAIHI
WASALLAM KE BASHAR HONE KI MAZEED DALEEL:
“Hamne Aap Ne Pahle
Kisi Bhi Aadmi Ko Hamesha Ki Zindagi Nahin Di, Agar Aap Marr Jayenge Toh Kya Ye
Hamesha Zinda Rahenge”
(Surah Ambiya Ayat
No.34)
Is Qur’ani Ayat Me
Allah Tala Ne Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Mahaz Ek
Insaan Kaha Aur Tamam Insaano Ki Tarah Saada Aura Am Insaano Ki Tarah Aapki
Maut Ka Bhi Zikr Farmakar Ek Insaan Saabit Kiya,
“Allah Tala Ne Imaan
Walon Par Ehsaan Kiya Ki Inme Se Rasool Bheja”
(Surah Aal E Imran
Ayat No. 164)
Is Ayat Me Bjhi Allah
Tala Ne Elaan Kiya Ke Muhammad Salallaho Alaihi Wasallam Tumhari Hi Qaum K Eek
Insaan Hain Jisko Hamne Nubuwwat Ke Liye Chun Liya Hai
“Ye Kahte Hain Allah Ne Kisi Basher Par Koi
Cheez Naazil Nahin Ki , Aap Kah Dijiye
Wah Kitab Kisne Naazil Ki Hai, Jisko Moosa Laaye They Jiski Kaifiyat Ye Hai Ki
Wah Noor Hai“
(Surah Ana’am Ayat
No. 91)
“Aur Ye Qur’an Bhi
Aisi Hi Kitab Hai Jisko Hamne Naazil Kiya”
(Surah Ana’am Ayat
No.92)
Kuffar Aur Mushrikon Ka Aqeeda Tha Ki Allah Tala Ne Kisi
Basher Par Kitab Naazil Nahin Ki Aur Na Hi Kiasi Insaan Ko Nubuwwat Se Sarfaraz
Farmaya, Allah Tala Ne Is Aqeede Ka Jawab Diya Ki Moosa Bhi Toh Ek Insaan Hi
They Aur Hamne Un Par Tauraat Naazil Kiya, Fir Tumhara Ye Kahna Ki Kisi Insaan
Ko Nubuwwat Aur Kitab Nahin Mili Ye Kahna Tumhe Kaise Zeba Deta Hai,
Is Tarah Allah Tala
Ne Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Basher Kaha Aur Ye Bhi Kaha Ki Hamne
Is Nabi Ko Kitab Di , Is Aayat Me Allah Tala Ne Kitab Ko Noor Kaha Yani Kufr
Aur Zulmaat Ko Door Karne Wali Hidayat Ki Roshni ,
Yahan Par Ye Bida’ti
Noor Se Muraad Haqeeqi Noor Murad Nahin Lete, Balke Hidayat Ka Noor Lete Hain,
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Liye Allah Tala Ne Poore Qur’an Me Waaze Taur
Par Basher Kaha Hai Aur Kahin Bhi Noori Makhlooq Nahin Kaha, Lekin Ye Bidati
Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Kahte Hain, Lekin Isi Qur’an Me Isi
Aayat Me Jo Upper Likhi Hai Kitab Ko Waazeh Taur Par Noor Kaha Hai Iske Elawa
Aur Bhi Aayaton Me Kitab Ko Noor Kaha Hai, Magar Kitab Ko Ye Log Haqeeqi Noor
Muraad Nahin Lete,
Agar Noori Maante
Hain Toh Kyon Apne Apne Gharon Me Lights Laga Rakha Hai, Aur Be’wajah Bijli Ka
Bill Dete Hain, Kyon Nahin Andheron Me Qur’an Khol Khol Kar Baithte Hain Aur
Apne Gharon Ko Roshan Karte Hain ??
Noor Ka Matlab Roshni
Hi Roshni Hoti Hai Aur Allah Tala Ne Qur’an Ko Noor Kaha Hai Toh Apne Gharon Me
Lights Hataao Aur Qur’an Kholkar Gharon Ko Roshan Banao, Lekin Tab Yahi Bidati
Kahte Nazar Aayenge Ki
“Noori Kitab Se
Muraad Hidayat Wali Kitab Hai Andhere Me Chamakne Wala Noor Nahin”
Lekin Yahi Bidati Log
Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Mutaalliq Haqeeqi Noor
Muraad Lete Hain Tab Nahin Kahte Ki Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam
Hidayat Ke Noor Hain Allah Ke Noor Nahin,
Ye Wo Deen Hai Jiski
Hifaazat Ki Zimmedari Allah Ne Li Hai Batil Ek Jagah Dandi Maarega Toh Dusri
Jagah Zaroor Fasenga , Bidation Ke Saath Bhi Aisa Hi Hua,
In Logon Ne Nabi E
Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noor Ka Saabit Karne Ke Liye Kaha
Nabi Ka Saaya Nahin Tha Kyonki Aap Noor Hain, In Logon Ne Socha Ab Toh Nabi
Duniya Me Hain Nahin Fir Hamare Kufr Ko
Duniya Kaise Jhoota Saabit Karegi, Magar Ye Bhool Gaye Ki Rabb Ka Farmaan Hai
“Haq Aata Hai Aur
Baatil Mitt Hi Jaata Hai”
Suno Jaahilon ! Allah
Tala Ne Qur’an Ko Bhi Toh Noor Kaha Hai, Aur Allah Tala Ne Ba’qaul Tumhare Nabi
E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noor Banaya Hai Toh Isi Qur’an Me Allah
Tala Ne Qur;An Ko Bhi Noori Kitab Kaha Hai, Toh Goya Allah Tala Ne Duniya Me 2
Noor Bheja, Ab Agar Ek Noor Yani Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Chale Gaye
Toh Kya Hua Dusra Noor Yani Qur’an Toh Duniya Me Mahfooz Hai, Laao Apne Apne
Gharon Se Qur’an Nikaal Kar Aur Suraj Ya Lights Ki Roshni Ke Saamne Rakho Fir
Dekho Is Noor Ka Saaya Hota Hai Ya Nahin Aur Baatil Kis Tarah Aundhe Muh Girta
Hai Aur Khaak Aaluda Hota Hai, Iska Faisla Duniya Khud Kar Legi,
Ab Tumhari Shaitaani
Chalen Duniya Ke Saamne Aa Chuki Hain, Ab Inshaallah Tumhari Fareb’karion Ke
Jaal Me Koi Nahin Fasega, Isi Tarah Agar Nabi E Kareem Muhammad Salallaho
Alaihi Wasallam Noor Ke They Yani Roshni Hi Roshni Toh Toh Unke Gharon Me
Chiraagh Ka Kya Kaam, Ghar Waise Hi Roshan Ho Jaana Chahiye Tha…
To Be Continued..
#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi