Friday, February 11, 2011

ILM-E-GHAIB






AS SALAM O ALLAIKUM WR WB




1-Aap farma dijiye ke main khud apni zaat khas ke liye kisi nafaa ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kisi nuksaan ka magar itna hi ke jitna ALLAH ne chaha ho,

Aur agar main “Gaib” ki bate janta hota to main bahut se nafaa hansil kar leta aur koi nuksaan mujhko na pahunchta main to sirf Darane wala aur basharat dene wala hu in logon ko jo Emaan rakhte hain.


( *Surah-Al-Aaraaf, Aayat-no---188 * )



Tashrih:- Allah- Taala ne apne Rasool{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ko ye hukum diya hai ke tamaam kamon ko iske(yani Allah ke) bharose kar de aur apne bare me ye bataye ke aap mustakbil(yani Future) ki “Gaib” ki baton ko nahi jante, inme se kisi ki apko itaala(yani Malumaat) nahi, siwaye iske jiske bare me Allah-Taala ne aapko matlo farma diya(yani Bata diya) ho,

Jaisa isne farmaya:- wahi “Gaib” ki baat ko janne wala hai aur kisi par apne baat ko zahir nahi karta.


( surah-tul-jinn, aayat-no---26)


aur irshad-e-bari-taala hai: Aur agar main “Gaib” ki bate janta hota to bahut se fayede jama kar leta.




2-Zuhaak(r.a) ne Hazrat-Ibne-Abbas{Radi- Allahu 'anhu} se rawayat kiya hai ke iske maane(meaning) ye hai ke main bahut sa maal jama kar leta.


( *Tafseer-Ibne- Aabi-Haatim, 1629 /5 * )


Dosri rawayat me alfaaz ye hain ke kharedari ke waqt mujhe ye maloom ho jata ke mujhe kis chiz me nuksan hoga aur istarah jo chiz bhi main farokht( yani Sell) karta mujhe isme nafaa hi hansil hota aur mujhe koi taklif na pahunchti yani mujhe Faqar-wa-Faqah na pahunchta.


( *Tafseer-Ibne-Aabi-Haatim, 1629 /5 * )'


Imaam- Ibne Jaryer farmate hain ke Mufasareen ne iske maane(yani Matlab) ye biyaan kiye hain ke agar main “Gaib” ki bate janta hota to khush-haali ke daur me Qahat-Sali ki taiyari kar leta, chizon ke sasta hone ke daur me mangai ke daur ki taiyari kar leta.


( *Tafseer-Tibriyai: 190 /9 * )



Abdul- Rahman-Bin-Aslam(r.a) ne iske maane(meaning) ye biyaan kiye hain ke kisi Musibat ke aane se pahele main isse bachne ki tadbir ikhtiyar kar leta aur aur isse bach jata.



( *Tafseer-Ibne-Aabi-Haatim, 1630 /5 * )



Phir bataya ke aap to Nazir aur Bashir hain, yani Allah-Taala ke aazab se darane wale aur Momin ko Jannat ki khush-khabri sunane wale ho,


Jaisa ke Irshad-Bari-Taala hai: Aye paigamber! Humne ye Quraan apki zubaan me aasaan( yani Easy) nazil kiya hai, take aap isse parhezgaron ko khush-khabri de aur jhagdalo ko dara de.


( *surah-tul-maryam, aayat-no---97 * )


{ 3 } Ye Aayat is baat me kitni wazaha hai ke Nabi{sall’ Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Elm-E-Gaib nahi, Elm-E- Gaib sirf Allah ki zaat hai, lekin zulm aur jahalat ki inteha hai ke iske bawajud Ahl-E-Bidat apko Elm-E-Gaib batate hain, halake baaz jung me apke danth-e-mubarak bhi shayeed hue, apka chahra-e-mubarak bhi zakhmi hua aur apne farmaya ye Qauoom kaise Falah-Yaab hogi jisne apne Nabi ke sar ko zakhmi kardi,


Hazrat-Aaysha{Radi-Allahu ' anhu} tohmat lagi to Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} pure ek mahina(yani one Month) nehayat pareshan rahe, ek yahudi Aaurat(woman) ne apko “Dawat” ki aur khane me Zahar mila diya jise apne bhi khaya aur Sahaba(r.t.a) ne bhi, hatta ke kuch Sahaba(r.t.a) to khane ki Zaharrelepan se halaq(yani Death) hi ho gaye aur khud Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} umar bhar is Zahar ke aasaraat mahsoos farmate rahe, ye aur is qisim ke bahut sare waqiyat hai jinse sabit hai ke apko Adum-Elm ki waja se taklif pahunchi nuksaan uthana padha, jisse Quraan ki biyaan kardah Aayat ki haqiqat sabit hota hai ke- Agar main “Gaib” janta hota to mujhe koi nuksaan na pahunchti.


( *Ahsan-Ul-Biyaan, Surah-Tul-Aaraaf, Aayat-no---188 * )

Aur iski puri tafsir ke liye dekhe

( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al- Aaraaf, Aayat-no,188 )


Maa Aisha{Radi-Allahu 'anhu} ne bayan kiya ke agar tum se koi ye kehta hai Mohammed{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} ne apne Rab ko dekha to woh galat kehta hai ( jhoota hai) kyon ki Allah-Taala apne bare me khud kehta hai ke nazrein is ko dekh nahin saktein aur jo koi kehta hain ke Allah ke Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Elim- e-gaib jante the to galat kehta hai (jhoota hai) kyon ki Allah-Taala khud kehta hai ke Gaib ka ilm Allah ke siva aur kisi ko nahin.


{ *Sahi Bukhari, Vol No:-8 , Hadees No:-7380 * }