Tuesday, February 15, 2011

ILM-E-GHAIB (PART 2)

ILM-E-GHAIB PART 2


Kah dijiye ke mujhe maloom nahi ke jiska wada tumse kiya jata hai wo qareeb hai ya mera Rab iske liye door ki muddat muqarar kar rakha hai[25 ], Wo Gaib ka janne wala hai aur apne Gaib par kisi ko matloo{yani zhahir) nahi karta[ 26 ] , Siwaye is Paigamber ko jise wo pasand kar le lekin iske bhi aage piche pahredar muqarar kar deta hai[27 ], isliye ke inko apne Rab ke paigaam pahuncha dene ka Elm ho jaye, Allah-Taala ne inke Ass-pass ki tamaam chizon ka Aahata kar rakha hai aur har chiz ki ginti ka shumar kar rakha hai[28 ].


{ *Surah-Al-Jinn, ayat-no---25 ,26 ,27 ,28 * }



Tashrih:- matlab ye ke Aazab aur Qayamat ka ilm ye Gaib se taluq rakhta hai, jisko sirf Allah-Taala hi janta hai ke wo qareb hai ya door, Aur Paigamber ko baaz amwaar se matloo kar deta hai(yani kuch kuch bate bata deta hai) aur zahir baat hai ke Allah ke matloo karne se (yani batane se) Paigamber Elm- e-Gaib nahi ho sakta, kyon ki Paigamber bhi agar Elm-e- Gaib hoto phir is par Allah ki Taraf se Gaib ke izhar ka koi matlab hi nahi rahta (yani Gaib ki baten Wahi ke zarya se batane ka koi matlab hi nahi rahta) kyon ke pahle se hi unhe sab maloom hota, Allah-Taala apne Gaib ka izhar issi waqt aur issi Rasool par karta hai jisko pahle se Gaib ka Elm nahi hota, isliye Elm-e-Gaib Sirf Allah hi ki zaat hai, kyon ke wahi Aalim-ul-Gaib hai, jo ho chuka(yani Past) Jo ho raha hai(yani parsent) aur jo Aainda hoga (yani in Future) is sab ka ginti Allah kar rakha hai(yani iske Elm me hai).


{ *Ahsan- Ul-Biyaan, Surah-Al-Jinn, Aayat-no---25 ,26 ,27 ,28 * )


2-Beshak qayamat ka Elm Allah hi ke pass hai aur wahi Barish nazil karta hai aur wahi janta hai jo Maaon(Mothers) ke peton me hai aur koi shaks nahi janta ke wo kal kya kaam karega aur koi shaks nahi janta ke wo kis zameen par marega Beshak Allah khoob janne wala khoob bakhabar hai,


( *Surah-Al-Luqmaan, Aayat-no--34 * )



[ 3 ]

Elm-E-Gaib Sirf Allah-Taala Ki Zaat-E-Paak Hai:- Is Aayat-e-karima me Gaib ki in kungion(keys) ka zikir hai jinka Elm Allah-Taala ne sirf apne pass hi rakha hai, Allah- Taala ke bataye Begaer kisi ko inka Elm nahi ho sakta.

Example:- Qayamat ke waqt ka Elm na kisi Nabi, Murshid aur na kisi Mulk ke Minister ko hai,

Surah-Al-Aaraaf me Allah-Taala farmata hai:- wahi(yani Allah) isse iske waqt hi par zhahir karega.

( Surah-Al-Aaraaf, Aayat-no--187 )

Issi tarah Allah-Taala ke siwa koi nahi janta ke Barish kab nazil hogi lekin jab iske bare me hukum de diya jata hai to in Farishton ko maloom ho jata hai jin ki Barish ke nizaam ke bere me Duty lagai gai hai ya isse maloom ho jata hai apni makhlooq me se Allah-Taala jise batana chhahe, Issi tarah Allah-Taala ke siwa koi nahi janta ke wo Hamla( yani pregnant) ke peat me kya paida karna chahata hai, lekin wo iske yani Ladka ya Ladki Neak hoga ya Bad hoga hone ke bare me hukum de deta hai to in Farishton ko Elm ho jata hai jinka is nizaam ke sath Duty lagai gai hain, Allah-Taala apne makhlooq me se jise chahe maloom kara de, Issi tarah koi nahi janta ke wo kal apni Dunya ya Aakhirat me kya karega, [*{*( Wa maa tadree nafsum bi'ayyi' ardin tamoot; )*}*] aur koi nahi janta ke wo kahan marega(yani Death karega) apne Mulk me ya kisi aur Mulk me isse maut aayegi, kisi ko bhi iska Elm nahi, ye Aayat-e-karima Surah-al-Aanaam ki is aayat se moshaba hai, Aur issi ke pass Gaib ki kungiyan(keys) hain jinko iske siwa koi nahi janta aur isse Jangalon aur Daryaon ki sab chizon ka Elm hai aur koi patta nahi jhadta magar wo isko janta hai, aur zameen ke andhero me koi dana aur koi gila aur sukha chiz nahi magar wazha kitaab me likhi hui hai.


( Surah-Al-Aaraaf, Aayat-no--59 )


Hadees me 5 chizon ko Gaib ki kungion ke naam se musoom kiya gaya hai. Iski puri tafseer le liye dekhe


( *Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Luqmaan, Aayat-no--34 * )


Hazrat-Abdullah-Bin-Umar{Radi-Allahu 'anhu} biyan kiya hai ke Nabi-Karim{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya: Gaib ki 5 ( five) kunjiyan(keys) hain jinhe Allah ke siwa koi nahi janta- Allah ke siwa koi nahi janta ke Madar-E- Raham me kiya hai(yani Ladka hai ya Ladki, Gura hoga ya Kala, Neak hoga ya Bad), Allah ke siwa koi nahi janta ke Kal kya hoga, Allah ke siwa koi nahi janta ke Barish kab hogi, Allah ke siwa koi nahi janta ke kis jagha koi Marega(yani death karega), Allah ke siwa koi nahi janta ke Qayamat kab qayam hogi.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 8 , Book: 98( Kitab-Ul- Tauheed), Hadees-no: 7379 * )(*Sahih-Bukhari, Vol-no: 6 , Book: 65( Kitab-Ul-Tafseer), Hadees-no: 4627 ,4778 *)( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 2 , Book: 15( Kitab-Ul-Istasqah), Hadees-no: 1039 * )

( *Tirmizi, Kitab-Ul-Tafseer, Hadees-no: 3290 * )

( *Musnad-Ahmad: 24 /2 * /// Musnad-Ahmad: 353 / 6 * )