Friday, April 26, 2013

MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:

Bismillahirrahmanirraheem






MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:





Aurat ke liye Pardah Islami Shariat ka ek waazeh Huqm hai, Aur iska maqsad bhi bilkul Saaf hai,

Islam ne Insaani fitrat ke Ain mutaabik ye faisla kiya hai ke Aurat aur Mard ke Taalluqaat Paakeezgi, Safaayi aur Zimmedaari ki buniyaadon par ist'waar hon,

Aur isme koi khalal (rukaawat) na aane paaye....

Isliye Islam ne Zina aur Uske asbaab Par muqammal rok lagaayi hai, kyonki Ye Apni Khwaahishaat ko poora karne ka Haiwaani Zariya hai,

Jisme tahaarat (paaki) aur zimmedari ka adna si bhi jhalak maujood nahin , balke ye Jismaani aur roohani Aafat ka sar'chasma hai,

Islam ne zina ki is buraayi ko rokne ke liye 3 tadbeeren akhtiyaar ki hain

1- Rabbani irshaadat (Quranic ayah) wa hidaayat, Nabwi waaz wa naseehat (hadith),

iska bayan Kitabullah ki aayat aur sunnat e rasool sallalaho alaihi wasallam ke mukhtalif (diffrent) Jagahon me be'hadh Mu'assir aur be'legh Andaaz se maujood hai,

Kahin iffat wa Asmat (paak daam) par bahtareen ajr wa sawaab ka zikr hai toh kahin Fahash'kari (fornication) par shakht Azaab ki Waeed (huqm),

2- Hudood (boundation) aur sazaayen jiske tahat Ghair shadi'shuda (un married) Zaani ko 100 kode (lashes) maarne aur Shadi'shuda zaani ko sangsaar karne ka Intehaayi shadeed tareen huqm hai,

snagsaar kahte hain zaani ko aadha zameen me gaadhkar pattaron se tab tak maarna jab tak uski maut nahin ho jaati,

3- Ghair mahram mard aur Aurat ki ek dusre se muqammal Doori, aur unke Baahiri taalluqaat par do took paabandi,

isi paabandi ka hissa ye hai ke Agar aurat ko Ghar se baahir nikalna aur Ajnabi mardon ke Saamne se ghuzarna padhe toh wah pardah kar le...

Chunke Chehra husn wa Qabeeh ka asal meyaar hai, aur Is par ubharne waale taasaraat (khyaalaat) dili jazbaat wa ahsaasaat ki tarjumaani karte hain,

Aur Nigaah Paigham bhejne ka kaam anjaam deti hai, balke khoofiya (secret) jazbaat wa ahsaasaat ko ubhaarti hai,

isliye Parde ke huqm ka awwaleen Nishaana ye hai ke Chehra ghair mahram ki Nigaahon se ojhal rahe, Aur aankhen ajnabi ankhon se takraane n a paaye...

Magar ye Ajeeb baat hai ke Ulema ne sab se badh kar isi masle me akhtelaaf kiya hai, aur bahut se pur'josh logon ne isko mansha e Islam Qaraar diya hai,

aur iske liye Ajeeb o Ghraeeb dalail pesh kiye hain,

Chunanche ek daleel ye pesh ki jaati hai ke

" Aurat ko haalat e namaz me chehre aur haath khula rakhne ki ijaazat hai, unhe dhaanpne ka huqm nahin diya, isliye Chehra aur haath parde me shaamil nahin"

Halaanke agar ghaur kiya jaaye toh ye bilkul be'tuki Daleel hai,

kyoki namaz ki satar'poshi ek alag cheez hai, Aur insaano se parda alag cheez ,

kahin namaz me ek Cheez ke parde ka huqm hai, magar insaano se uske parde ka huqm nahin

maslan (For example) Mard ko kandhe dhaanpne ka huqm hai, Magar insaano ke saamne nahin....

Bas isi ki tarah ye bhi ho sakta hai ke Namaz me ek Cheez ke parde ka huqm na ho aur insaano ke saamne ho,

Dar'haqeeqat Namaz me Satar ka huqm kuch aur maqsad rakhta hai aur Insaano ke parde ka huqm kuch aur hi maqsad rakhta hai,

Lihaaza ek dusre par qiyaas nahin kar sakte..........

TO BE CONTINUED....