Bismillahirrahmanirraheem
SAHIH HADITH KI AHMIYAT KO SAMJHO:
Agar saheeh hadees aa jaaye to Quraan karim se bhi uska mu'aarza {comparison} Durust nahi.
Jaisa ke ek hadith pesh ki gayi k "Agar koi shaks Imam ke peeche Surah Fatiha na padhe to uski namaz nahi hoti."
Ab kya kah rahe hain yeh (muqallideen} ?
Kahte hain yeh to Quran me hai ke
"Jab Quran padha jaye to khamosh raho."
jab hadees pesh ki gyi to to tum {muqallidin} Quran se mu'aazna kar rahe ho..?
Kya aisa karna Durust hai..?
Ji nahi..durust nahi hai.
Daleel...Daleel istarah..
"Hazrat saeed ibne Jubair r.a kahte hain unhone ek din nabi kareem s.a.w ke hawale se ek hadees bayaan ki.
Ek aadmi khada ho kar kahta hai ke aapne yeh jo hadith abhi pesh ki hai,woh Quran ki ek aayat ke khilaaf hai.
Hazrat saeed ibne jubair r.a us aadmi se kahte hain," aye sun, mai
hadeese rasool bayaan kar raha hun,aur tu Quran e hakim se uska mu'aazna
kar raha hai.
Rasool s.a.w kitaabullah ke tum se zyada aalim {jaanne wale} the. (rawaahu Daarmi)"
iska matlab yeh hua k agar saheeh hadith ke aa jane k baad koi Shaks
Qurane hakim se mu'aarza pesh karta hai,to Nabi s.a.w ki Tauheen krta
hai, ke nabi s.a.w ne us aayat e karima ko samjha hi nahi.Nauzu billah..
{ Hafiz Jalaluddin Qasmi - Muqallideen Ke eterazaat ka radd }