Friday, April 26, 2013

AMR BIL MAROOF WA NAHI'ANIL MUNKAR--- EK EHAM DEENI FAREEZA:

Bismillahirrahmanirraheem





AMR BIL MAROOF WA NAHI'ANIL MUNKAR--- EK EHAM DEENI FAREEZA:





Islam ke Intehaayi Saadah aur Asaan Mazhab hai,

Zindagi ke har Hisse Ke liye Isme Rahnumaayi Maujood Hai, wah PesH Aamdah Masail Ke Hal karne ka Zaaman hai,

Baaz Logon Ka ye Kehna Ke Islam Me Har Gosha Aur Har Masail Ke Liye Rahnumaayi Maujood Nahin, Ye Unki Ghalat Soch hai, Unhe Islam ke Silsile Me Ilm Nahin,

Islam Me Har Masle Ka hal Aur Ilaaj maujood hai,

Mu'ashre me FailI Buraayi ka Hal Bhi Islam Me pesh kiya gaya hai Jise Ham

"Amr bil maroof wa Nahi'anil munkar (Bhalaayi Ka huqm dena aur Buraayi Se rokna)"

ke Fareeze se Tabeer Karte hain,

Agar is usool Ko Dhayaan me Rakh kar Kaam Kiya jaaye Toh Mu'asshre Me faili Buraayi ka Khaatma mumkin hai,

Lekin Jab ham Is Fareeze aur Apni Society Me Paaye jaane Afraad ke darmiyaan Compare karte hain Toh Aise Logon Ki Bheed Milti hai Jo is Fareeze se Laaparwaahi Hi Nahin balke Hakeer Bhi Samjhte hain Aur is raaste me malaamat karne Waalon ki Malaamat se Khauff Khaate hain,

Yahi Asbaab hain Jiski Wajah se Is fareeze Ke anjaam Dene Ka Khyaal Logon Ke zehno se Puraane Khyaalaat Ke Mahi hone ki Tarah Khatm hota ja raha hai,

Aaj is fareeze Ko Wah Maqaam wa Martaba Nahi Mil pa raha hai Jo Ise Milna Chahiye,

Quran Kareem ke mutaale se Is Kaam Ki Azmat maalum Hoti hai,

Allah taala ne Musalman Mard aur Aurat Dono Ko Is fareeze Ke ada karne Ka muqallaf thahraaya hai,

is Ayat me Mard aur Aurat Ko Khitab Kiya gaya hai

" Momin mard aur Momin Aurtein Ek dusre Ki Rafeeq Hain, Bhalaai Ka huqm dete hain aur Buraayi se Rokte hain, Namaz qayem karte hain Aur zakaat dete hain, Aur Allah aur uske Rasool Ki Itaat karte hain, Yahi Log hain Jinko Allah Apni Rahmat se Nawaaze ga, Yaqeenan allah ghalib aur Hiqmat waala hai "

(Surah tauba Ayat 71)

Is kaam ki ahmiyat is baat se Ho jaati hai ke Allah ne Is kaam ko momin Mardon Aur Momin aurton Ka Kaam Qaraar diya hai aur ye bhi Waazeh kiya hai ke Agar imaan ke saath Amr bil'maaroof wa Nahi'anil munkar ka Fareeza bhi Ho Toh "Khair Ummat" Hone ka maana Mazeed Waazeh aur roshan Ho jaata hai,

Aur Irshad Hai

" Tum Khair Ummat Ho Jise Logon Ki Islah Aur Rahnumaayi Ke liye barpa kiya gaya hai, tum bhalaayi ka huqm dete ho aur buraayi se rokte ho aur Allah par imaan rakhte ho"

( Surah aal e imran Ayat 110)

Ek dusri jagah Allah taala ne Is fareeze Ko anjaam dene waalon ko Kaamyaab kaha hai aur unke is fael ko Saraaha hai

" Tum Mese Ek jamaat aisi Hone chahiye jo Bhalayi Ke kaamo ki taraf Bulaaye, Neki Ka huqm De aur Buraayi se roke Yahi Log Asal Kaamyaab hain"

(surah aal e imran ayat 104)

Jis faraiz ko ada karne par Quran ne Hamen ubhaara hai unme Amr bil maroof wa nahi'anil munkar Ka fareeza Ajar wa sawaab aur Dusre Fawaid Ke lihaaz se Kaafi Badha hua hai,

Agar amr bil'maroof wa nahi'anil munkar Ka jazba saadiq logon Me Paida Ho jaaye toh Mu'aashre me Khair aam hoga, Aapsi Taalluqaat acche honge,

muhabbat ka chalan hoga.. 

Aur bhi bahut si acchaiyyan paida hongi..

Allah Taala ne Is Kaam ko Paighambaron Aur Rasoolon ka kaam Qaraar diya hai

Allah taala ne bataya

"Jo Is Rasool Ki Jo Ummi (unpadh) hai, Pairwi Karenge, Jiska Zikr wah apne yahan Taurat wa Injeel me likha hua paate hain Wah unhe Bhalaayi ka huqm deta hai aur buraayi se rokta hai"

(Surah aaraf 157)

Dusre log jo Is kaam Ko anjaam de Rahe hain Unki Bhi Tareef Ki Gayi Hai

"Toba Karne waale , Ibaadat karne waale, ruku Karne waale, sajdah karne waale, bhalai ka huqm dene waale aur Buraayi se rokne waale aur Allah ke hudood ki Hifaazat karne waale, aiy Paighambar

in Momino Ko Khush'khabri de do"

(Surah toba 112)

Aur Is kaam ko Duniya wa aakhirat Me Logon Ke nijaat Aur Madad kiye jaane ka zariya bataya hai

"Allah zaroor un Logon Ki Mada karega Jo Uski Madad karenge, Allah bada Taaqatwar aur zabardast hai,

Ye wah Log hain Jinhe Agar ham zameen Me Iqtedaar Bakhsen Toh wah Namaz qayem karenge, Zakaat Denge, Maaroof ka Huqm denge, Aur Munkar se mana Karenge"

(surah hajj ayat 41)

ye baat bilkul waazeh hai ke Bhalaayi ka huqm dene waala pahle khud us bhalayi ko baja laayega. Aur Aise hi Munkar se Rokne waala Pahle khud munkar Se baaz rahega,

Allah taala ne Bani Israel ko Unke Qaul wa fael ke Muta'ariz hone ki wajah se Fatkaar dete hue kaha

" Kya Tum Logon Ko Neki Ka huqm karte ho aur Apne aap ko Bhool jaate ho, Halaanke tum kitaab ilaahi ki tilaawat karte ho, Fir kya tum aqal se Kaam nahin Lete"

(Surah baqarah ayat 44)

To Be Continued.......