Sunday, April 28, 2013

(BAIYY ) BECHNE ME AKHTIYAAR KA BAYAN:








Bismillahirrahmanirraheem



Assalamulaikum warahmatullahi wabarkatahu



(BAIYY ) BECHNE ME AKHTIYAAR KA BAYAN:






Hz ibne umar (R.A), Rasool (S.A.W) Se Rivaayat karte hai ki Aap (S.A.W) Ne farmaya: 


"Jab do Aadmi Aapas me sauda karne lage toH jab tak wah ikatthe  rahe or ek doosre se juda na ho un me se har ek ko Akhtiyaar hai ya ek doosre ko Akhtiyaar dede Agar ek doosre ko Akhtiyaar dede fir us par sauda tayy ho jaaye toh sauda pakka ho gaya Aor Agar Sauda tayy karne ke baad ek doosre se alag alag ho jayen aor dono me se kisi ne bhi baiyy ko fasakh (yani radd) na kiya ho to baiyy pakki ho jaye gi"


(Bukhari.Muslim.ya alfaaz muslim ke hai



FAYDA


Is Hadees me Vyapaari Aor Saudagar Bechne or Khareedne ke maamle ko rakhne ya todne ka Haq diya gaya hai



2- Hazrat Amr Bin Shoaib (ra) ne Apne Baap se,unho ne apne Dada se rivaayat kiya hai ki Nabi e Akram Sallalaho Alaihi
Wasallam ne farmaya,


"Khareedne Aor bechne wale ko Akhtiyaar haasil hai yaha tak ki ek doosre se juda ho,shart ye hai ki Sauda Akhtiyaar waala ho or  Sauda wapas karne ke andeshe ke pesh nazar jaldi se alag ho jana halaal nahin hai"


(ise Ibne Maja ke Elaawa panchon ne rivaayat kiya hai Aur Dar E Kutni aur  Ibne khuzaima or ibne Jaroob ne bhi rivaayat kiya hai

or ek me hai ki 

"jab tak wah apni jagah se juda na ho jaye"



FAYDA


Is Hadees me bhi khyare majlis ka zikr hai,khayaar majlis Imaam Shaafai Rahmatullah alayh or Ahmad rahmatullah alayh or Aksar Sahaaba wa tabain ke nazdeeq saabit hai




3-  Hz Ibne umar (r.a) se rivaayat hai ki Rasoolullah (S.A.W) ke Paas ek Aadmi ne zikr kiya ki use baiyy me aam tor par dhoka diya jata hai,

Aap (S.A.W) ne farmaya sauda karte waqt keh diya karo ki koi dhoka wa fareb nahi hoga 


(Bukhari,muslim)



FAYDA


Is Hadees ki Roshni me maloom hua ki ghaban faahish ke maloom hone par khayaar sabit hai


Salafiyyah Business Network